Google AdSense Auto Ads Kya Hai Aur Kaise Use Kare?

Google AdSense Auto Ads kya hai aur kaise use kare – Friends, Aaj is post me hum baat karne wale hai Google AdSense ke ek bhut hi badhiya feature ke baare me Jisne bhut se AdSense publishers ki sir dardi kam kardi hai.

Ji Haan, Auto Ads ek aesa feature hai jiska use karke aapko baar baar Ad unit create karne ki jarurat nahi padti.

Agar aap ek Blogger hai to aap is feature ke baare me bhut ache se jante honge. Aur agar blogging me naye hai to ghabrane wali koi baat nahi hai. Is post ko padh kar aapke saare doubts clear ho jayenge.

To chaliye thoda detail me jante hai aakhir Auto Ads kya hai, kaise kaam karta hai, Set up kaise kare aur Auto ads use karne ke kya fayde aur nuksaan kya hai.

AdSense Auto Ads Kya Hai? (What is AdSense Auto Ads in Hindi)

Google AdSense Auto Ads Kya hai

Auto Ads ek aesa feature hai jiske dwara aap bina kisi jhanjhat ke ek hi Baar me Ad unit create karke apne Blog/Website par Ads laga sakte hai.

Kuch time pehle tak ye rule tha ke aap apne blog ke ek page par Google Adsense ke 3 se jyada Ads nahi laga sakte the.

Lekin kuch time baad ise allow kar diya gaya. Iske liye apke blog post par sufficient content hona jaruri tha. Agar content kam hai aur Ads jyada lage hai to aese AdSense account ko Google dwara disable hone ka khatra tha.

Isi problem ka solution Google ne February 21, 2018 ko Auto Ads feature ko Launch karke nikala. Chaliye ab jante hai ye kaam kaise karta hai.

AdSense Auto Ads Kaam Kaise Karta Hai?

Auto Ads lagane ke liye aapko ek hi code generate karke apne Blog/website ke <head> section me paste karna hota hai. Jiski help se aap bina kisi dar aur confusion ke apne blog par Ads chala sakte hai.

Iske liye aapko manually Ads unit create karne ki jarurat nahi padti. Google khud apne hisab se aapke website structure ko analyze karke ads show karta hai.

Auto Ads ki help se aap is jhanjhat se bach jate hai Ke konse page par kitni ads lagani hai aur kahan lagani hai. Ye saare kaam Google khud dekhta hai. Aur isse aapka account disable hone ka khatra bhi nahi rehta.

Adsense Auto Ads kaise Lagaye?

Friends, Auto Ads lagana bhut hi aasan kaam hai. Maine neeche step by step bataya hai Auto Ads ko Kaise setup karna hai.

  • Step 1. Sabse pehle apne browser me AdSense account Login karle.
  • Step 2. Ab Ads ke option par click kare. Aapke samne kaafi saare option dikhenge usme se “Auto Ads” par click kare. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
What is AdSense auto ads in Hindi
  • Step 3. Agar aap first time Ad unit create kar rahe hai to Auto Ads par click karne ke bad aapke samne ek page open hoga. Wahan “Get started” par click kare.
Click on Get Started Auto Ads unit
  • Step 4. Ab aapke samne jo page open hoga wahan aapko woh sabhi ad formats select karne hai jinhe aap apne blog par dikhana chahte hai.
Select Auto Ad Format

Yahan aapko 6 tarah ke Ad format dikhenge Jaise Test & Display ads, In-feed ads, In-article ads, Matched content, Anchor ads & Vignette ads. Aap apni ichcha anusaar jo chahe select kar sakte hai.

Jis bhi format ko aap select karna chahte hai uske samne bane button ko enable kare, On karte hi button ka colour blue ho jayega.

“Automatically get new formats” ke samne bane check box par click kare. Isse ad ka jo bhi new format hoga wo automatically add ho jayega.

Ab “Save” button par click kare.

  • Step 5. Ab aapke samne jo page open hoga wahan aapko Auto Ads ke liye code milega. Aap “Set up Auto Ads” par click karke bhi code le sakte hai.
  • “Copy Code Snippet” par click karke code copy kare.
  • Uske bad Apne blog/website ke <head> section me paste kare.
  • Code paste karne ke bad “Done” button par click kare.
Set up Auto Ads

Ab aapka Auto ads successfully create ho chuka hai. 15-20 minutes ke bad aapke blog par Ads show hona start ho jayega.

Auto Ad create karne ke bad agar aap kisi bhi Ad format ko add ya phir delete karna chahte hai. To aap Ads section me Auto ads par jakar “Edit icon” par click karke apne anusar Ad format set kar sakte hai. Jaise neeche screenshot me no. 1 me dikhaya gaya hai.

Create New Group URL for Auto Ads

Agar aap auto ads ki performance check karna chahte hai to “Advanced URL settings” me New URL Group banakar Domain, Subdomains aur Page ke hisab se performance dekh sakte hai.

AdSense Auto Ad Code ko WordPress me kaise paste kare?

  • Sabse pehle WordPress me login kare.
  • Uske bad WordPress Dashboard me “Appearance” option par jaaye. Phir “Editor” option par click kare. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
Add Auto Ad code in WordPress
  • Editor page open hone ke bad right side me Theme header (header.php) ke option par click kare.
  • Php file open hone ke bad “CTRL+F” press karke <head> section ko find kare.
  • <head> section milne ke bad just uske neeche Auto ad code ko paste karde.
  • Paste karne ke bad “Update file” par click karke save karde.

AdSense Auto Ad Code ko Blogger (BlogSpot) Blog me kaise paste kare?

  • Sabse pehle Blogger (BlogSpot) me login kare.
  • Jis bhi blog me Ads show karna chahte hai us blog ko select kare.
  • Left side me “Theme” option par click kare.
Paste Auto Ad code in Blogger Blog
  • Ab jo page open hoga wahan “Edit HTML” par click kare.
  • Editor open hone ke bad “CTRL+F” press karke <head> section ko find kare.
  • <head> section milne ke bad uske neeche auto ad code ko paste karde.
  • “Save Theme” par click karke setting ko save kare.

Note:- Auto Ad code paste karne ke 15-20 minutes baad aapke blog me Ads show hone lagenge.

Auto Ads use karne ke Fayde?
  1. Auto ads use karne ke liye alag alag tarah ki ad unit create karne ki jarurat nahi padti. Google AdSense apne hisab se hamare blog ke pages par ad show karta hai.
  2. AdSense Auto ads use karne se ad par click hone ke chances jyada bane rehte hai. Kyonki AdSense sahi place par sahi ads dikhata hai.
  3. Ads kahan aur kaise lagaye in cheezo se chutkara mil jata hai. Aur AdSense account block hone ka khatra bhi nahi rehta.
  4. Abhi ke time me Auto ads me 6 tarah ke ad format hai. Jisme hum jab chahe koi bhi ad format enable aur disable kar sakte hai.
  5. Advance URL settings karke apni dusri sites par different type ke ads bhi show kara sakte hai.
Auto Ads use karne ke Nuksaan?

Auto Ads use karne ke fayde hi fayde hai. Nuksaan sirf itna hi hai Auto Ads blog par kisi bhi jaga show ho jate hain.

Maine is blog par khud Auto ads ka use kiya hai mere experience ke hisab se ye ek behterin feature hai.

Conclusion

Friends, Umeed karte hai is post ke madhyam se aapko samaj aagaya hoga AdSense Auto ads kya hai aur kaise kaam karta hai. Phir bhi post ko lekar aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke jarur bataye.

Is blog par hum Blogging, Internet, AdSense, Affiliate marketing aur SEO se judi jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye Blog ke Notifications ON jarur kare.

Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.

Post informative laga ya aapki isse kuch help hui to social networking sites par share karna na bhoole.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

6 thoughts on “Google AdSense Auto Ads Kya Hai Aur Kaise Use Kare?”

Leave a Comment