Facebook Page Kaise Banaye? | How To Create Facebook Page in Hindi

Dosto, Isse pehle wali post me humne bat ki thi Facebook kya hai aur Facebook par account kaise banaye. Aaj hum baat karenge Facebook page kya hai aur Facebook page kaise banaye.

Facebook page se judi aur bhi jankari share karenge bus aap post ko last tak dhyan se padhe.

Aaj ki date me jyadatar sabhi log Facebook ka use karte hai daily photos, videos, post aur status dalte hai ya phir chatting ke liye messenger ka use karte hai. Lekin ye bat bhut hi kam log jante hai ke Facebook ki help se hum apne business ko bhi promote kar sakte hai. Bus uske liye aapka ek Facebook page hona jaruri hai.

Chaliye sabse pehle baat karte hai Facebook page kya hai aur uske bad janenge Facebook page kaise banaye.

Facebook Page Kya hai?

Facebook Page Kya Hai

Facebook page ko hum “Fan page” bhi kehte hai ye ek public profile hai. Jiska use Company, Brand, Groups, Celebrity, Local Business, Club ya phir kisi community dwara kiya jata hai. Jisse hum log apne customer aur fans se jude reh sake.

Jaise ki aap jante hi honge hum apne Facebook account me 5000 tak friends bana sakte hai. Lekin Facebook page me aapse unlimited fans jud sakte hai. Aur unlimited log aapke page ko like bhi kar sakte hai.

Facebook personal profile ka use hum log apni daily life se judi cheeze share karne ya phir apne purane friends ko dhundne ke liye karte hai. Jabke Facebook page ki help se hum apne product ya phir business ko advertise kar sakte hai.

Facebook page banane ke liye aapka Facebook account hona bhut jaruri hai. Agar aapne abhi tak apna Facebook account nahi banaya hai to sabse pehle aap apna facebook account create karen. Facebook account kaise banaye mobile se iske liye aap link par click karke detailed post padh sakte hain.

Facebook Page Kaise Banaye?

Facebook page kaise banaye

Aapko bataden Facebook Page bilkul free hai iske liye aapko kisi bhi tarah ka koi charge dene ki jarurat nahi padti. Bus aapke pas apna khud ka ek Facebook account hona chahiye. Agar aapka koi online business hai aur aapka abhi tak koi Facebook page nahi hai to ye aapke liye bhut badi galti ho sakti hai.

Facebook ki tarah hi aap apna Twitter account create kar sakte hain.

How to Create Facebook Page in Hindi

Facebook page create kaise kare iske liye neeche bataye gaye sabhi steps ko follow kar sakte hain.

  • Step 1. Sabse pehle apne browser me Facebook account Login kare.
  • Step 2. Uske bad Right hand Top me “Arrow” ke uppar click kare. Phir “Create page” par click kare.
How to create Facebook page in Hindi
  • Step 3. Ab aapke samne category select karne ke liye 2 options aayenge.
Facebook par page kaise banaye

1. Business or Brand:- Agar aap apna koi product ya service promote karna chahte hai ya phir aapka koi local business ya phir Brand hai to aap is category ko select kare.

2. Community or public figure:- Is category me aap apni community ke logo ke sath jud sakte hai, Kisi organisation, club ya phir group ke liye bhi aap is category ko select kar sakte hai.

  • Step 4. Humne yahan “Business or Brand” ko select kiya hai. Kyonki hume apne blog ke liye page banana hai. Category Select karne ke bad “Get started” par click kare.
  • Step 5. Ab aapke samne new page khulega yahan aapko puchi gayi details fill karni hai. Aap jis bhi cheez ke liye page banana chahte hai wo category select kare. Sabhi Details sahi tarike se fill karne ke bad “Continue” par click kare.
fb page kaise banaye
  • Step 6. Ab aapse Profile picture upload karne ke liye kaha jayega. “Upload a profile picture” par click karke picture upload kare.
facebook main page kaise banaye
  • Step 7. Uske bad “Upload a Cover photo” par click karke cover photo upload kare.
facebook fan page kaise banaye
  • Step 8. Ab aapka “Facebook page” create ho chuka hai. Aap chahe to ek se jyada bhi page create kar sakte hai. Aur jitne chahe utne Fans apne page ke sath jod sakte hai.

In easy steps ko follow karke aap aasani se apne dusre pages bhi bana sakte hai. Haina ye kitna simple.

Facebook Page Banane Ke Fayde?

  • 1. Easy to Create

Facebook page ko create karna bhut hi jyada aasan kam hai. Kuch hi seconds me aap apna Facebook page bana sakte hai.

  • 2. Easy to Promote

Facebook page ko promote karna bhut easy hai. Bus aapko content share karna hota hai aur aapka page automatically logo tak pahunch jata hai. Aapke page par jitne jyada likes honge aapke liye utna hi acha hai.

  • 3. Easy to Manage

Page ko manage karna bhut hi simple hai. Iska interface user friendly hai.

  • 4. Easy to Share

Facebook page ki help se aap apna content apne groups, timeline, apne friends ki timeline me aasani se share kar sakte hai. Jiski wajah se ye jyada logo tak pahunch sakta hai.

  • 5. Publishing Tools

Yahan aapko ek feature aur milta hai “Publishing tools” jiski help se aap apne page ka analytics check kar sakte hai. Matlab ki aap dekh sakte hai kitne log aapki post tak pahunche, kitne logo ki engagement bani, Kitne logo ne reaction kiya means post ko like kiya.

Jiski help se aapko idea mil jayega kis post par aapko jyada acha response mila hai aur aage isi analytics ko check karke aap us post se related hi dusri koi post likh sakte hai. Jisse us post par jyada logo ka engagement ho.

  • 6. Professional Look

Aap apne Facebook page ko ek professional look de sakte hai. Jis name se aapka Blog ya phir website hai. Same name se Apna Facebook page create kare. Jisse aapka page professional lage.

Jaise sabhi bade Brands karte hai. Same isi tarah aap bhi apne page ko professional look de sakte hai.

Facebook Page Par Like Kaise Badhaye Hindi Me:-

Facebook Page par like kaise badhaye

Facebook par Like badhane ke liye maine neeche aapko kuch tips share kiye hain:-

  • Regular post kare.
  • Jyada se jyada friends ko page par invite kare.
  • Post ke sath images bhi add kare. Jisse jyada log attract ho.
  • Trending topic par post share karte rahe. Jisse jyada logo ka engagement bana rahe.
  • Post share karte time apne friends ko tag jarur kare. Jisse unki timeline me aapki post unke friends ko dikhe aur post jyada logo tak pahunch sake.
  • Aese time Post publish kare jab jyada log Facebook par active ho. Morning ya phir evening ka time best mana jata hai. Kyonki is time Log apne office ja rahe hote hai ya phir office se aarahe hote hai aur Facebook jarur check karte hai.
  • Apne topic se related Groups ko join kare aur apni post us group me share kare. Jisse us group ke member bhi post ko dekhe.

Mobile se Facebook Page banane ke liye Neeche di gayi video Dekhe.

Conclusion

So friends, Umeed karte hai post aapko informative laga hoga. Aur aap samajh hi gaye honge Facebook page kya hota hai, Facebook page kaise banaye (How to create Facebook Page in Hindi). Phir bhi aapka koi sawal ya kisi bhi tarah ka sujhav hai to hume comment karke jarur bataye.

Is blog par hum Internet, Blogging se judi jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye blog ke Notifications jarur ON kare.

Post pasand aaye to social sites par share karke apna support jarur de. Jisse baki log bhi iske baare me jaan paye aur apne business website ke liye page create karke iska fayda utha sake.

Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera YouTube channel jarur SUBSCRIBE kare.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:- 

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

4 thoughts on “Facebook Page Kaise Banaye? | How To Create Facebook Page in Hindi”

Leave a Comment