Google Drive kya hai? | What is Google Drive in Hindi

Google Drive kya hai (What is Google Drive in Hindi)? – Yeh Online data save karne ka sabse acha tarika. Aaj kal jyadatar sabhi cheeze digital hoti ja rahi hai. Aesa hi online data save karne ke case me hai. Pehle ke time me hum offline sara data rakhte the jaise SD Card (Memory card), Pen Drive ya phir Hard disk me.

Lekin usme data storage tools ke kharab hone ya phir data ke delete hone ka khatra bana rehta hai. Google drive ki help se aap apna sara data jaise ki jaruri documents, videos, photos, files online save rakh sakte hai aur yahan kisi bhi prakar ka khatra nahi rehta hai. Isme aapka data bilkul secure rehta hai.

Aaj is post me hum aapko yahi batayenge Google Drive kya hai (What is Google Drive in Hindi) iska use kaise kare aur Google drive ke features kya hai. To chaliye jante hai in sabhi ke baare.

Google Drive Kya Hai? (Google Drive Meaning in Hindi)

Google Drive kya hai

Google Drive 2012 me Google dwara launch ki gayi thi. Ye ek file storage service hai. Jiski help se aap isme kisi bhi prakar ka document save kar sakte hai. Chahe woh koi File, video, photo, audio ya phir kisi bhi tarah ka koi online document ho sakta hai.

Iske sath hi drive ke dwara aap kayi free Web-based Applications ko access kar sakte hai. Jaise ki koi document create karna, presentation ya phir spreadsheet banana aur aesi hi bhut si cheeze.

Agar iske competitors ki baat ki jaaye to isme kaafi badi companies ki file storage services isko compete karti hai jaise ki Microsoft one drive, Dropbox, Apple icloud etc.

Iska sabse shaandar feature yahi hai ke hum ise kahin se bhi access kar sakte hai. Maan lijiye agar aapne apne photos mobile se Google drive me save kiye hai. To aap ise Laptop, Computer, Tablet ya phir kisi bhi device ki madad se access kar sakte hai. kyonki ye Gmail account se chalta hai.

Agar aapke pass Gmail account hai to ise aap direct access kar sakte hai. Aur agar aapne abhi tak Gmail account create nahi kiya hai to is post ke madhyam se aap aasani se Gmail id create kar sakte hai Gmail id kaise banaye.

Chaliye ab jante hai Google drive ko kaise use kare.

Google Drive kaise use kare?

  • Step 1. Google Drive open kare

Sabse pehle aapko apne browser me Google drive open karna hai. Open karne ke liye https://www.google.com/drive/ is URL ko open kare. Ya phir aap direct Google par jakar search kare ya yahan par click kare Google Drive.

Jaise hi aap is par click karenge aapke samne new page open hoga. Jahan aapko “Go to Google Drive” par click karna hai. Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai. Iske bad apna Gmail id aur password enter karke login kare.

Google Drive kya hai in Hindi
  • Step 2. New par click kare

Jaise hi aap Gmail id se login karenge aapke samne left side me New ka option dikhega. Aapko “New” option par click karna hai. Ab aapke samne kuch options dikhenge jahan agar aap koi new folder create karna chahte hai ya phir koi file ya folder upload karna chahte hai to kar sakte hai.

Bus aapko apni jarurat ke hisab se us option par click karna hai.

What is Google drive in Hindi

Iske alawa more ke option par click karne se Aapko aur options dikhenge jahan aap Google Forms, Google Drawings, Google My Maps jaise features ka use kar sakte hai. Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

google drive kya hai kaise use kare

Mobile me Google Drive kaise use kare?

Mobile me drive us karne ke liye aapko alag se kuch karne ki jarurat nahi hai. Smart phone me bhi isko use karne ka same hi tarika rehta hai. Agar aapke pass Android phone hai to iska App aapke phone me pehle se install hota hai. Ye Drive ke name se aapko dikhega.

Agar aap Apple ka phone use karte hai to aap Apple store se download karke ise install kar sakte hai.

Google Drive Ke Features Kya Hain?

Google Drive ke Features kya hai

Waise to Google Drive ke bhut se features hai. Lekin humne yahan iske Best features ke baare me baat ki hai.

  • Easy Access

Iska sabse best feature yahi hai ke ise hum kahin se bhi access kar sakte hai bus aapko isko login karna hai. Ab chahe woh aap Mobile, Laptop, computer ya phir tablet se kare.

Dusra iski help se aap kisi ke sath bhi apna data aasani se share kar sakte hai. Aur jitni access functionality aap unhe denge utna hi access woh kar payenge.

  • Free Space

Har device me ek storage limit hoti hai chahe wo aapka Mobile, Computer ya phir SD card hi kyon na ho. Jyada files, photos ya phir documents hone ki wajah se data storage limit full hone lagti hai. Jiski wajah se hume kabhi na kabhi jayda space ki jarurat padti hi hai. To Google drive isme aapki help karta hai.

Online Data ko store rakhne ke liye ye sabhi users ko 15 GB ka free storage deta hai. Jiski help se aap apni sabhi files, folders, photos ya phir koi bhi document yahan save kar sakte hai. Aur apne device ke space ko baki jaruri documents, videos aur photos ke liye khali kar sakte hai. Jisse aapke device me free space to hoga hi sath hi sath uski performance bhi achi ho jayegi.

  • Any Platform

Drive ki Application ko aap kisi bhi platform me use kar sakte hai chahe woh Android, Windows, iOS, Web-based version hi kyon na ho.

  • Google Forms

Google forms drive ki hi ek application hai. Iska use aap kisi bhi prakar ke survey ke liye kar sakte hai. Iska use aap dusro ka data collect karne ke liye bhi kar sakte hai. Jyadatar isko function, events registration aur offices me employees ki details collect karne ke liye kiya jata hai.

  • Inbuilt Apps

Google drive ko aap Microsoft office ki hi tarah use kar sakte hai. Jahan aap forms, presentation, spreadsheets, slides kisi bhi tarah ka document bana sakte hai.

  • Powerful search

Google ki service hone ki wajah se ye ek powerful service hai jo photos aur scanned documents ke andar ke objects ki bhi pehchan badi aasani se kar leti hai.

  • Other features

Ye aapke data ko store rakhne ke sath sath aapke data ko sahi tarike se arrange bhi karti hai.

Google Drive me kis tarah ki files create ki ja sakti hai?

Friends, Jaise ki humne uppar baat ki Google drive aapke data ko online store rakhti hai. Iske sath aap yahan bhut se documents create, manage aur share kar sakte hai. Google drive ke productivity Apps Microsoft office jaise suite ki tarah hi hai. Agar aapne Microsoft office me kaam kiya hai to aapke liye ye waise hi hai.

Neeche kuch files ke naam bataye gaye hai. Jinhe aap is drive ki help se create aur share kar sakte hai:-

  1. Documents:- Iska use letters, essays, flyers aur dusre text-based files ko compose karne ke liye kiya jata hai. (Jo ki Microsoft word document ki tarah hi hote hai).
  2. Forms:- Iska use data ko collect aur organize karne ke liye kiya jata hai.
  3. Spreadsheets:- Iska use information ko store aur manage karne ke liye kiya jata hai. (Yeh bilkul Microsoft Excel ki tarah hoti hai).
  4. Presentations:- Isko slideshows banane ke liye use kiya jata hai. (Yeh Microsoft powerpoint ki tarah hota hai).
  5. Drawings:- Iska use Diagrams aur simple graphics create karne ke liye kiya jata hai.
  6. Google My Maps:- Iski help se aap Maps ko customize kar sakte hai.
  7. Google Jamboard:- Yeh ek Class me bane black board ki tarah hota hai. Jise hum Digital board keh sakte hai. Iska use aap kisi meeting ya phir training ke liye kar sakte hai.
  8. Google Sites:- Google sites ki helps se aap yahan free me site create kar sakte hai.
  9. Zip Extractor:- Iska use kisi bhi zip file ko extract karne ke liye kiya jata hai. Iski help se aap bina kisi tool ke Zip file ko badi aasani se extract kar sakte hai.

Google Drive ka use kyon karna chahiye?

Google drive ek cloud storage service hai. Jo ki apne har ek user ko 15 GB ka free online storage space deti hai. Jo ki ek user ke liye kaafi hai. Lekin agar aapko jyada space ki jarurat padti hai to iske kuch charges rehte hai. Woh aap Google ko pay karke apna online storage space badhwa sakte hai.

Yeh online data store rakhne ke liya bhut hi jyada popular service hai. Iska sabse bada fayda yahi hai ke aap apna data internet aur Gmail account ki help se ise kahin se bhi access kar sakte hain.

Iski help se aap kisi ke sath bhi aasani se apni files share kar sakte hai. Yahan aapko data save rakhne ke liye kisi bhi traha ke USB ki jarurat nahi padti hai.

Google Drive kya hai ke baare me agar video dekhna chahe to dekh sakte hai.

Conclusion

Friends, Umeed karte hai is post ke madhyam se aap samajh gaye honge What is Google Drive in Hindi, Google Drive kya hai kaise use kare aur iske features kya hai. Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke jarur bataye.

Aage bhi hum Technology se judi jankari share karte rahenge. Latest updates ke liye is blog ke Notification ON jarur karen.

Post pasand aaya ya phir informative laga to social sites par jarur share kare. Aur aese hi apna support dete rahe.

Aesi jankari ke liye aap Mera Facebook page bhi Follow kar sakte hain. Wahan aapko aese updates ke notification sabse pehle milte hain.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

Leave a Comment