Paytm KYC Kaise Kare Ghar Baithe | पेटीएम केवाईसी कैसे करें (2024)

Agar aap ek PayTm user hai to aapko pata hi hoga PayTm KYC karana kitna jaruri ho gaya hai. Aaj is post me hum aapko yahi batayenge Paytm KYC kya hai, Paytm KYC kaise kare ghar baithe aur Paytm KYC karane ke kya fayde hai.

Agar aapne abhi PayTm account banaya hai ya phir pehle se Paytm use kar rahe hai Lekin abhi tak aapne apna KYC verification complete nahi karaya hai. To hum aapko bata dete hai aesa na karne par aapka Paytm account close kiya ja sakte hai.

Ek KYC verified customer hone par aapko special benefits diye jaate hai. To chaliye sabse pehle jante hai KYC kya hai aur uske bad janenege Paytm KYC kaise pura kare.

Paytm KYC Kya Hai?

Paytm KYC kaise kare

KYC ka matlab hai (Know Your Customer) yaani Hindi meaning me baat ki jaaye to apne “Grahak ko Jaane”. Ye KYC word Banking aur Financial institution me use kiya jaane wala sabse jyada famous term hai.

Basically, Jitne bhi Banks, Insurance ya phir Loan dene wali companies hai. Woh sab apni services dene se pehle apne customer ki pehchan karti hai.

Aur uske liye woh person ka ID Verification aur Address verification karti hai. Is process ko pura karne ke liye KYC ka use kiya jata hai.

Jiski help se ye sabhi customer ki pehchan karte hai aur uske baad apni services us customer tak sahi tarike se pahuncha paate hai.

Aur aap jante hi honge Paytm bhi kafi time pehle Paytm payment bank ban chuka hai. Aur isliye Paytm KYC karana jaruri ho gaya hai.

PayTm KYC kaise kare Online (PayTm Me KYC Kaise Banaye)

Paytm account se apne Bank account ya phir PayTm wallet me paise bhejne ke liye Paytm KYC karana jaruri ho gaya hai. Neeche humne aapko 2 methods bataye hai jinhe follow karke aap aasani se apni Paytm KYC complete kar sakte hai.

Pehle KYC ke liye Aadhar card ki jarurat padti thi lekin Supreme court ke order ke bad Aadhar card based process ko close kar diya gaya. Aur Iske alternative documents se KYC ki jaane lagi.

KYC karne ke liye aapke paas khud ka Paytm account hona jaruri hai. Agar aapne abhi tak Paytm account create nahi kiya to sabse pehle account banale. Uske baad KYC ka process shuru karen.

Paytm Minimum KYC

Minimum KYC aap ghar baithe online kar sakte hai iske liye aapko kahin jaane ki jarurat nahi hai.

  • Step 1. Sabse pehle apne phone me “PayTm App” open kare.
  • Step 2. Uske bad left side top me bani “3 Lines” par click kare. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
Paytm KYC Upgrade
  • Step 3. Ab jo new page open hoga wahan right side me aapke naam ke aage bane “Square icon” par click kare. Neeche screenshot me dekh sakte hai aap.
Paytm KYC linking
  • Step 4. Ab aap dekhenge aapke samne jo page open hua hai wahan neeche “Your wallet is not active” likha aayega. To aapko “Activate Now” par click karna hai.
Click on Activate Now for Paytm KYC
  • Step 5. Jaise hi aap Activate now par click karenge aapse aapki document detail maangi jayegi.

Neeche diye gaye documents me se koi bhi ek document select kare.

PAN Card
Passport
Voter ID
Driving License
NREGA job Card

Iske bad puchi gayi details fill kare. “I confirm” ke samne bane check box par click karke “Submit” button par click kare. Neeche screenshot dekh sakte hai.

Paytm KYC Update

Ab aapke samne jo page open hoga wahan aapko ek message show hoga.

“Pan details submitted”
Validity of your wallet has been extended by 1 year.

Process complete hone ke bad aapke wallet me aapko ₹ 10,000 per month ki limit mil jayegi.

Ab aapki “Minimum KYC” complete ho chuki hai. Jisme aapke wallet ki validity 1 saal ke liye badha di gayi hai.

Note:- Is online KYC me aap apne friends aur apne Bank account me paisa transfer nahi kar sakte hai.

PayTm Full KYC Kaise Kare

Minimum KYC me aapko Paytm ki complete facility nahi mil pati hai. Iske liye aapko apne Paytm account ko Fully verified karwana padta hai.

Fully Paytm KYC verification karane ke liye neeche aapko step by step bataya gaya hai.

  • Step 1. Sabse pehle apne phone me “PayTm App” open kare.
  • Step 2. Uske bad Uppar dikh rahe “Nearby KYC” option par click kare.

Agar aapke samne “Nearby KYC” ka option nahi aaraha to aap sabse pehle apne Paytm App ko update kare.

Agar aap ek Android user hai to App Update karne ke liye Google play store me jaaye.

Ya phir jaisa aapko uppar bataya gaya hai left side top me bani “3 lines” par click kare. Uske bad Aapke naam ke samne bane “Square icon” par click karke bhi aap apna account Upgrade kar sakte hai.

  • Step 3. Ab aapke samne jo page open hua hai wahan aap “Know more” par click karke check kar sakte hai aapki minimum KYC complete ho chuki hai.

Ab aapko “Upgrade account & Unlock Benefits” ke option par click karna hai.

  • Step 4. Ab aapke samne Paytm Payments Bank ka option show hoga. Yahan aapko apni State aur District select karna hai.
  • Step 5. State aur District select karne ke bad aapke samne aapka Pincode aajayega. Aur aapke aaspas jitne bhi Paytm KYC Outlet (पेटीएम केवाईसी केंद्र) hai sabhi ki list show ho jayegi.

Aapko Near by outlet ka address aur phone number dikh jayega. Jiski help se aap direct call karke authorize person se baat kar sakte hai aur Outlet visit karne ke liye timing confirm kar sakte hai.

  • Step 6. KYC Outlet ka pata karne ke bad koi bhi Government approved Id proof lekar us KYC outlet me jaaye.

Government-Approved IDs List:-

  • Voter ID
  • Passport
  • Driving Licence
  • NREGA Job Card

Note:- Wallet aur Saving account ke liye PAN card ya phir Form 60 jama karana jaruri hai.

  • Step 7. KYC outlet pahunch jaane ke bad kisi bhi authorize person se apna KYC upgrade karne ke liye kahe. KYC process ke liye woh person aapse aapka Id proof lekar uski photo click karega. Iske bad wo kuch personal details aapse puchega jaise Father/Mother name.
  • Step 8. Sabhi details confirm karne ke baad aapke registered mobile number par ek OTP code aayega. Us code ko authorize person ko bataye.

Iske bad kuch hi der me aapki KYC update ho jayegi.

Paytm KYC Online verification karane ke Fayde:-

  •  KYC update karwane ke bad aap ek mahine me ₹ 20,000 se jyada kharch kar sakte hai.
  • Paytm wallet Upgrade karne ke baad aap apne wallet me ₹ 1 Lakh tak rakh sakte hai. Jiska use aap Online shopping ya phir Paytm se bhugtan karne ke liye kar sakte hai.
  • KYC customer hone par aap Paytm payment Bank (Saving account) aasani se open kar sakte hai.
  • Paytm postpaid ka laabh utha sakte hai.
  • Paytm KYC customer hone par aapko cashback aur special offers adhik milte hai.
  • Aasani se kisi bhi bank me apne wallet se paise transfer kar sakte hai.

Neeche di gayi video bhi aap dekh sakte hai:-

PayTm KYC से जुड़े सवाल (FAQs)

KYC कैसे करें?

KYC करने के दो तरीके हैं – Aadhar card OTP और Aadhar आधारित बायोमेट्रिक KYC. Aadhar OTP से KYC को मिनटों में पूरा कर सकते हैं, जबकि Aadhar based बायोमेट्रिक KYC में, KYC के लिए Online apply करना होता है.

पेटीएम केवाईसी के लिए क्या क्या चाहिए?

Voter ID
Passport
Driving Licence
NREGA Job Card

Conclusion

So friends, Ab aap samajh hi gaye honge PayTm KYC kya hai, PayTm KYC kaise karen ghar baithe, PayTm ka kyc kaise kare karne ke liye kya karna hoga. Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke jarur bataye.

Post pasand aaya to social sites par jarur share kare. Jisse baaki logo ko bhi ye jankari mil sake.

Aesi jankari ke liye aap Mera Facebook page bhi Follow kar sakte hain. Yahan aapko aese updates ka notification sabse pehle milta hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

Leave a Comment