Google AdSense Address PIN Verification Kaise Kare [2024]

Google AdSense Address PIN Verification Kaise Kare – Friends, Google AdSense Blog ya phir YouTube channel se earning karne ka ek bhut hi badhiya tarika hai. Jyadatar sabhi new Bloggers sabse pehle AdSense account se hi online earning karte hai.

Waise to Affiliate marketing aur e-book sell karke bhi Blog se paisa kamaye ja sakte hai. Lekin shuruaati daur me Traffic kam hone ki wajah se AdSense se earning karna hi new blogger ka lakshya rehta hai.

Sabse pehla kaam hota hai AdSense par account banakar usey approve karana. Jo ki ek aasan kaam hai bhi aur nahi bhi hai. Kyonki kayi bloggers ko isme kaafi dikkat aati hai.

Ek bar account approve ho jane ke bad, Jaise hi aapke account me 10 Dollar complete ho jate hai. Uske bad aapke AdSense account me Identity verification karne ka ek notification aata hai.

AdSense Identity verification kaise karaye Iske liye humne ek detailed post likhi hai. Jise padh kar aap easily apne account me identity verification karwa sakte hai.

Ek bar identity verification pura ho jane ke bad. Aapke adsense account me phir se ek notification aayega. (Your payments are currently on hold you have not verified your address). Jisme Address verify karne ke liye kaha jayega.

Address verify karane ke liye aapke registered address par ek PIN bheja jayega. Jiska complete process humne neeche step by step share kiya hai.

Note:- Identity verification pura karte time, Jarur check karle aapne correct address to fill kiya hai. Warna aapke address par PIN nahi aa payega.

Google AdSense Address PIN Verify Kaise Kare?

AdSense Address Verification Kaise Pura Kare
Google AdSense Address PIN Verification

Address Verification pura karne ke liye, Adsense aapke registered address par by post Google adsense address verification letter bhejega.

Letter post karte hi Adsense ke dwara aapke account ke home page par ek notification aajayega. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

AdSense Address Verification Notification

Adsense address verification Karne ke liye neeche diye gaye steps ko follow kare.

  • Step 1. Sabse pehle AdSense account login kare.
  • Step 2. Ab aapke home page par top me ek notification dekhne ko milega. Neeche screenshot me dekh sakte hai.
Verify address in AdSense
  • Step 3. Aapko “Action” button par click karna hai. Agar Notification nahi dikh raha to Settings me jakar “Account information” par click kare. Wahan aapko Verify Address ka link mil jayega.
  • Step 4. Ab aapke samne new page open hoga. Jahan address verify karne ke liye aapko complete instructions di jayengi.
Address verification process in AdSense account
  • Step 5. Aapko “Enter Your PIN” ke samne bane box me apna 6 digit ka PIN enter karke “Submit PIN” par click karna hai.

Note:- PIN enter karte time saavdhan rahe. Agar aapne 3 baar galat PIN enter karke submit kar diya to aapka AdSense suspend ho sakta hai.

Is Process ke jariye aap successfully apna address verify karwa sakte hai.

AdSense Address PIN verification se jude FAQ’S

AdSense letter bhejte time koi mail karta hai?

Nahi, Jab aap apna Idenity verification pura kar lete hai. Uske bad hi aapke account me notification aajata hai. Kis din letter post kiya gaya hai aur kitna time aane me lagega.

Address Verification PIN aane me kitna time lagta hai?

2-4 hafte ka time Google mention karta hai. Mujhe 10th Day par Letter receive ho gaya tha.

Address verify post ke liye Kitni bar apply kar sakte hai?

Max. 3 baar Uske bad bhi agar aapko letter nahi milta to aapko AdSense team se contact karna padega.

Kya 3 baar apply karne par code different hoga?

Nahi, Code same hi rahega. Isliye jo bhi PIN aapko mile wahi enter kare.

AdSense letter dikhne me kaise lagta hai? Hume kaise pata lagega?

AdSense letter ki humne neeche ek image share ki hai. Jise aap apne area ke postman ko dikha sakte hai.

Google AdSense PIN Letter

Agar aap village ya phir aese area me rehte hai. Jahan aapko post recieve karne me dikkat aarahi hai. To aap is image ko postman ko dikha sakte hai. Jisse wo iski pehchan kar paaye. Aur post aane par aapko bata paaye.

Aap chahe to neeche di gayi video bhi dekh sakte hai. Yahan humne detail me bataya hai AdSense Address PIN Verification pura kaise kare.

Conclusion

Friends, Is post me humne aapko bataya hai Google AdSense verification kaise pura kare. Phir bhi agar aapko Address verify karte time koi bhi problem aati hai to aap bejijhak hume comment karke puch sakte hai. Hum jald se jald aapki problem ko solve karne ki puri koshish karenge.

Yahan hum Blogging, WordPress aur BlogSpot se judi jankari share karte rehte hai. Latest jankari ke notifications paane ke liye blog ke Notifications ON karna na bhoole.

Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.

Post informative laga ya aapki isse kuch help hui, To apne baaki Blogger aur Youtuber friends ke sath share karke apna pyar aur support jarur de.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

4 thoughts on “Google AdSense Address PIN Verification Kaise Kare [2024]”

Leave a Comment