Google AdSense Identity Verification Kaise Kare? (2024)

Google AdSense Identity Verification Kaise Kare – Agar aap ek AdSense user hai ya phir aapka account kuch time pehle hi approved hua hai. To ye post aapke liye behad important hai.

AdSense account approved hone se pehle, Aapne iske baare me Jankari to collect ki hi hogi. Aur shayad aapko pata bhi hoga. Adsense 10 Dollar ka threshold pura hone par aapka Address aur Identity verification karta hai.

Agar aapko is baat ka pata hai to bhut achi baat hai. Aur agar aap iske baare me nahi jante. To is post me hum aapko batayenge. Google AdSense ye verification kyon karta hai aur AdSense identity verification kaise pura kare.

To chaliye aage iske baare me detail me jante hai.

Google Adsense Identity Verification Kaise Kare? (How to Complete Google AdSense Identity Verification)

Google AdSense Me Identity Verification Kaise Kare

Ye to aapko pata lag gaya Adsense use karne ke liye Identity verification karwana jaruri hai. Lekin Adsense identity verification process janne se pehle, Samajh lete hai ye verification akhir kyon jaruri hai.

Google AdSense identity verification Kya hai aur kyon jaruri hai?

AdSense Identity verification ek tarah ka verification hai. Jisme aapki pehchaan karne ke liye aapse ek id proof manga jata hai.

Identity verification ko pura karne ke liye aapko apna ek id proof Adsense account me upload karna hota hai. Jisse Adsense aapki identity ko verify kar sake.

Is verification ko pura karne ka maksad sirf itna hota hai ki Google Adsense aapki pehchan kar sake. Matlab jo naam aap apne account me use kar rahe hai wo sahi hai bhi ya nahi.

Kuch time pehle is tarah ka koi process nahi tha. Jiski wajah se log Adsense ka galat istemal karne lage. Kisi aur ke naam se account banakar sale karne lage.

Bhut logo ne to ek se adhik account banaye hue the. Isi fraud ko khatam karne ke liye Google Adsense ne ye verification process nikala. Jisse ek genuine person Adsense ka istemal kar sake.

Agar aap Adsense se chalaki karte hai. Aur ek se adhik ya phir koi bhi jaali document upload karte hai. To aapka account suspend kiya ja sakta hai.

AdSense Identity Verification Process Kaise Pura Kare?

Google Adsense identity verification pura karna bhut hi simple hai. Humne neeche aapko screenshots ke sath kuch steps bataye hai. Jinhe follow karke aap aasani se apna verification complete kar sakte hai.

  • Step 1. Sabse pehle apne browser me Google AdSense ki website open kare.
  • Step 2. Uske bad Adsense account Login kare.
  • Step 3. Login Karne ke bad aapke home page par aapko 2 notifications milenge. Jisme aapse kaha jayega…

“Your payments are currently on hold. Because you have not verified your address.”

Pehle notification me aapse address verify karne ke liye kaha jayega. Jiske liye Adsense aapke billing address par ek PIN bhejega. Jiske dwara aapko apna address verify karwana hoga.

“Your payments are currently on hold. Action is required to release payment.”

Dusre notification me aapko apni identity verify karwani hai.

Jiske liye aapko “Action” button par click karna hoga. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

AdSense identity verification
  • Step 4. Jaise hi aap action button par click karenge. Aapke samne new page open hoga. Yahan aapko “Verify Now” par click karna hai.
Google AdSense Identity Verification Process
  • Step 5. Ab aapke samne ek pop up window open hogi. Jahan aapse aapka id proof upload karne ke liye kaha jayega.
  • Step 6. Id proof upload karne ke liye “Upload Photo Id” par click kare.
Upload identity proof for adsense identity verification

Neeche bataye gaye documents me se koi bhi ek document upload kare.

  • Driving Licence
  • National Identity Card
  • Passport

Note:- ID upload karte time ye dhyan jarur rakhe photo clear honi chahiye. Photo me blur ya phir flash light ka use na kare.

  • Step 7. Sahi tarike se Id proof upload kare. Uske bad neeche aapko aapki personal details dikhengi. Jisme aapka naam aur address hoga.

Aap Chahe to “Edit Icon” (Pencil button) par click karke details change bhi kar sakte hai. Lekin ek bar id proof upload ho jaane ke bad aap ise change nahi kar payenge.

  • Step 8. Saari details sahi tarike se check karne ke bad “Confirm Info” par click kare.

Ab aapke samne phir se ek pop up window open hogi. Jahan aapko “Got it” par click karna hai.

Adsense identity verification complete

Is tarike se aapka Adsense identity verification process me chala jayega. Verification successful hone par Google AdSense ki taraf se aapko aapki registered email id par ek confirmation mail bhi aayega.

Identity Proof Upload Nahi Kiya To Kya Hoga?

Aapne ye to jaan liya id proof upload kaise karte hai. Lekin agar kisi bhi wajah se aap apna id proof upload nahi karte hai. To aap payment method me apni Bank details add nahi kar payenge. 

Adsense se payment receive karne ke liye identity verify karwana bhut hi jaruri hai Jisse aapki pehchan ho sake. Aur adsense track kar paaye ke aap ek genuine user hai.

Conclusion – AdSense identity verification Process

So friends, Umeed karte hai aapko ache se samajh aagaya hoga Google AdSense identity verification kya hai aur identity verification process kaise pura kare, adsense verify identity karne ke liye aapko bataye gaye process ko sahi tarike se follow karna hai.

Agar post se juda aapka koi bhi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke jarur bataye.

Is blog par hum aesi jaruri jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye blog ke Notifications ON karna na bhoole.

Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.

Post pasand aaya ya phir aapki isse kuch help hui. To social networking sites par share karke apna pyar aur support jarur de.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:- 

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

3 thoughts on “Google AdSense Identity Verification Kaise Kare? (2024)”

Leave a Comment