YouTube Ke Like Dislike Ko Kaise Hide Kare? (2024)

How to Hide Likes and Dislikes Friends, Aap koi YouTube channel chala rahe hai ya phir start karne ki soch rahe hai. Tabhi aap yahan search karke aaye hai YouTube ke Like Dislike ko kaise Hide kare

Aapne YouTube par bahut se channel dekhe honge jo apne like dislike ko Hide kiye hote hai. To aaj is post me mai aapko yahi batane wali hu aap apne YouTube videos ke like dislike ko kaise turn off kar sakte hai.

Mai is post me aapko Computer or Mobile dono me bataungi. Jisse aapke pass jo bhi device available hai uske dwara aap apne videos ke like dislikes ko chupa sake.

Lekin Usse pehle aapka ye janna jaruri hai aakhir Like/Dislike ko log hide kyon karte hai.

YouTube Video Ke Like Dislike Ko Hide Kyon Kiya Jata Hai?

How to Hide Like Dislike on YouTube in Hindi
  • Like Dislike ko Hide karne ka ek sabse bada reason ye hai ke jo viewer hai wo aapki video par kitne like dislike aaye hain unko na dekh paaye.
  • Jyadatar New YouTuber apni video ke like dislike ko hide karte hai. Reason yahi hota hai starting me video par views to milte hai lekin kayi baari new YouTuber hone ki wajah se log jyada dislike kar dete hai. 
  • Log aapko starting me Like Dislike se Judge na par paaye. Kyonki Mostly log video ke Like Dislike ko dekh kar hi us video ko watch karte hai.
  • Bahut se YouTuber apne personal reason ki wajah se bhi YouTube video ke Like Dislike ko hide kar dete hai. Wo reason kuch bhi ho sakta hai. 

To chaliye ab jante hai aap Computer me kis tarah se apni YouTube videos ke like dislike ko hide kar sakte hai.

Ye bhi padhe:- 

How To Hide Like and Dislike on YouTube Video (Computer Se)

Yahan maine aapko Computer se YouTube ke Like or Dislike ko Turn off karna bataya hai. Neeche diye gaye complete steps ko follow kare.

  • Step 1. Sabse pehle apna YouTube account login kare. Jis bhi email se aapne channel create kiya hai.
  • Step 2. Uske bad Right hand side top me apne channel ki image par click kare. Yahan aapko bahut se options dikhenge. Aapko “YouTube Studio” par click karna hai.
  • Step 3. Ab aap apne YouTube Studio ke Dashboard me aajayenge. Aapko YouTube video ke like dislike ko hide karne ke liye Videos wale option par click karna hai.

Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

YouTube video ke Like Dislike Ko Hide Kaise Kare
  • Step 4. Aap jaise hi videos par click karenge aapke samne jitni bhi videos aapne ab tak upload ki hongi sabhi videos aa jayengi. 

Agar aap new YouTuber hai or aapne ab tak ek hi video upload ki hai to aapke samne aapki wahi video dikhayi degi.

Dono ke like/dislike disable karne ka procedure same hi rahega.

  • Step 5. Agar aap particular koi ek video ke like dislike ko turn off karna chahte hai to us video ke samne bane check box par click kare. 

Or agar sabhi videos ko select karna chahte hai to Top me diye gaye “Video” wale option ke samne bane check box par click kare.

  • Step 6. Isse front page par show ho rahi sabhi videos select ho jayengi. All video select karne ke liye Top me “Select All” wale option par click kare.

Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

YouTube Video Ke Like Dislike Ko Turn off kaise Kare
  • Step 7. Ab aapko select all ke samne diye gaye “Edit” option par click karna hai. Click karne ke baad aapko diye gaye options me se “User Ratings” ko select karna hai.
  • Step 8. Ab aapke samne User ratings On/Off karne ka option aa jayega. Aapko “Off” par click karke “Update videos” par click karna hai.
  • Step 9. Update videos par click karte hi ek notification aayega. Yahan aapko check box par click karke again “Update videos” par click karna hai.

Update karte hi ye thoda sa time lega. Aapki upload ki hui videos par depend karega. Jyada videos hongi to thoda jyada time lag sakta hai. Kam hongi to jaldi update ho jayega.

So friends, Is tarah se aap apni YouTube video ke Like Dislike ko Hide kar sakte hai.

Android Phone Se YouTube Like/Dislike Kaise Hide Kare (How to Turn Off Likes & Dislikes on Android)

Mobile phone se like dislike hide karne ke liye aapko sabse pehle YouTube Studio App download karna hoga. Jise aap Google play store se download kar sakte hai.

Ya phir Download YouTube Studio is link par click karke bhi download kar sakte hai.

Note:- Agar aap Studio App Download nahi karna chahte to aap sidha browser me jakar bhi ye settings kar sakte hai. Maine iske liye neeche ek video bhi share ki hai.

  • Step 1. YouTube Studio App download karne ke bad us email id se login kare jisse aapne channel create kiya hai.
  • Step 2. Ab aapka dashboard login ho jayega. Yahan aapko dashboard ke samne left side me bani “3 Lines” par click karna hai.
  • Step 3. Ab aapke samne jo options aayenge usme se “Videos” wale option par click kare. Jaisa neeche screenshot share kiya gaya hai.
Hide Like or Dislike
  • Step 4. Ab aapke samne videos ki list show ho jayegi. Jis bhi video ke like dislike ko turn off karna chahte hai. Us video par click kare.

Ab aapke dwara select ki video open ho jayegi. Aapko Uspar bane “Pencil icon” par click karna hai.

Click on Pencil Icon
  • Step 5. Ab Advanced settings par click kare.
Click on Advanced Settings
  • Step 6. Yahan aapko “Users can view ratings for this video” wale option ke samne bane button ko disable karna hai.
Turn off likes and dislikes

Is tarah aap aasani se Android phone se apni YouTube videos ke like or dislike ko chupa sakte hai.

Maine isse related ek video bhi banayi hui hai aap chahe to ? neeche di gayi video ko watch kar sakte hai.

Ye bhi padhe:- 

Note:-

  •  Hide karte time Like/Dislike dono hide ho jayenge. Aap akele Like ya phir Dislike ko disable nahi kar sakte hai.
  • Ye settings sirf aapke viewer ke liye hogi. Lekin aap apne Dashboard/YouTube Analytics me Like/Dislike ka data dekh sakte hai.
Conclusion

So, Friends aapko ache se samajh aagaya hoga YouTube video ke Like Dislike ko kaise hide kare (How to Hide Like Dislike on YouTube).

Post se juda aapka koi sawal hai ya phir aap kuch sujhav dene chahte hai to neeche comment box me comment karke jarur bataye.

Aapke har comment ka jawab aapko milega.

Post helpful lagi to apne baki YouTuber friends ke sath share karke unki bhi help kare or aese hi apna pyar or support is Blog ko dete rahe.❤️

Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:- 

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

Leave a Comment