PayTm ATM/Debit Card Activate Kaise Kare? – Friends, Agar aapne Paytm ATM/Debit card ke liye apply kiya tha aur Finally card aapke address par deliver ho chuka hai.
To ab aapko apne PayTm card ka use karne ke liya usey activate karna hoga. Kyonki activate kiye bina aap apne card se koi bhi transaction nahi kar payenge.
Is post me hum aapko Paytm Debit/ATM card Activate karne ki complete information share kar rahe hai. Apna card activate karne ke liye post ko last tak jarur padhe.
Yahan aapko step by step screenshot ke sath humne detail me bataya hai.
Paytm ATM/Debit Card Activate Kaise Kare? (How To Activate Paytm Debit Card)?
Card ko activate karne ke liye neeche bataye gaye steps ko sahi tarike se follow kare. Kyonki yahan hum aapko aapke ATM/Debit card ka PIN generate karna bhi batayenge.
Step 1. Sabse pehle aapko apne mobile me PayTm App open karna hai.
Step 2. App open karne ke bad neeche diye gaye “Bank” option par click kare.
Step 3. Ab aapse aapke Paytm payments bank ka passcode manga jayega. 4 digit ka “Passcode” enter kare.
Note:- Agar aap passcode bhool gaye hai to Forgot passcode par click karke apna passcode recover kare.
Step 4. Passcode enter karne ke baad. Ab aapke samne aapka Paytm payment bank open ho jayega.
Step 5. Yahan aapko Bank account services me first option “Debit & ATM Card” par click karna hai.
Step 6. Uske bad aapke samne kuch options aayenge usme se “Activate your card” par click kare.
Step 7. Ab aapke samne new page open hoga. Jahan aapko card activate karne ke liye instructions di jayengi. Aapko “Activate your card” wale option par click karna hai.
Step 8. Jaise hi aap click karenge aapse aapke ATM/Debit card ke piche bane QR code ko scan karne ke liye kaha jayega. “QR code” ko scan kare.
Step 9. Jaise hi aap QR code ko scan karenge. Aapse phir se aapke Paytm payment bank ka passcode enter karne ke liye kaha jayega. passcode enter kare.
Step 10. Ab aapko aapka Debit card aur account number verify karne ke liye kaha jayega. Ek bar cross check jarur karle dono cheeze sahi hone ke bad hi “Confirm” button par click kare.
PayTm Debit Card PIN Kaise Set Kare?
Step 11. Click karte hi aapse PIN generate karne ke liye kaha jayega. Jo bhi PIN aap rakhna chahte hai wo enter kare.
Step 12. PIN enter karne ke bad ek bar phir se aapse confirm karne ke liye kaha jayega. Dubara PIN enter kare.
PIN confirm karte hi aapka Paytm ATM/Debit Card activate ho jayega aur aapke pass “Debit & ATM card activated successfully” ka message bhi show ho jayega.
Aapko “OK Got it” par click karna hai. Ek bar card activate hone ke bad aap iska use kar sakte hai. Transactions, Money Withdraw jaise bhi use karna chahe use kar sakte hai.
Ye bhi aapke baaki ATM/Debit card ki tarah hi kaam karega.
Friends, In aasan steps ko follow karke aap kuch hi minutes me apna Paytm Debit card PIN generate kar sakte hai.
Ye bhi padhe:-
- PayTm KYC kaise kare?
- PayTm postpaid kya hai or isse bina paise ke online shopping kaise kare
- ATM se paise kaise nikale?
- Paytm wallet me paise kaise add kare?
- RozDhan App se paise kaise kamaye
Conclusion
So friends, Umeed karte hai aapka PayTm Debit/ATM Card PIN set ho gaya hoga. Phir bhi post se juda aapka koi bhi sawal hai ya aap humse kuch puchna chahte hai to comment karke jarur bataye.
Is blog par hum Internet & technology se judi jaruri jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye blog ko Subscribe karna na bhoole.
Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to 👇 Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.
Post informative laga ya aapko isse kuch help mili. To post ko social sites par share karke apna pyar aur support jarur de.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Our Services
“Agar aapko Blog/Website se related Neeche di gayi services me se kisi bhi service ki Requirement hai to aap humse contact kar sakte hain”
Services List:-
1. WordPress Setup 2. Kisi bhi tarah ki WordPress Website ya phir Blog Banana 3. Kisi bhi Theme aur Plugin ko Setup karna 4. Any WordPress issue fix 5. Blog ke liye SEO Friendly and High Quality Articles likhwana (Only Hindi/Hinglish Blog).
Is Email par humse Contact Kare:- [email protected]
|
very interesting , good job and thanks for sharing such a good blog
Thanks Dear, Blog ko visit karte rahyiye.
achhi jankari dete hain ap. sabhi post achhi aur jaruri jankari ke sath hain, keep growing. all the best
Thanks Dear:), Keep visiting
Bahut Badhiya Jankri Apne Diya Hai
Thanks Dear😇