Paytm Debit/ATM Card Apply Kaise Kare? – Friends, Agar aap ek Paytm user hai to aapko pata hi hoga Paytm ne kaafi time pehle se ATM Card ki service apne users ko di hui hai.
Agar aap is baare me nahi jante ya phir aapko nahi pata Paytm Debit card apply karne ke liye kya karna hoga. To aap is post ko last tak padhe.
Humne is post me aapko step by step bataya hai Paytm physical debit card apply karne ke liye aapko kya karna hoga.
Paytm card apply karne ke liye aapka account Paytm payments bank me hona chahiye.
Tabhi aap Paytm ATM card ke liye online apply kar sakte hai. To sabse pehle agar aapne Paytm payments bank me account open nahi kiya hai to aap account open kar le.
Paytm account open karne ke liye aapki Paytm KYC complete honi chahiye. Agar ab tak aapne KYC complete nahi ki to Paytm KYC complete kare.
Saving account open karne ke bad aap aasani se apne Paytm App se Paytm physical debit card ke liye apply kar sakte hai.
PayTm Debit/ATM Card Apply Kaise Kare – (How Can I get Physical Paytm Debit Card)?
Paytm App se aap ghar baithe Paytm ATM Card ke liye apply kar sakte hai. Bus aapko neeche bataye gaye steps ko follow karna hai.
Step 1. Card Apply karne se pehle aap apne “Paytm App” ko update karle.
Step 2. Update karne ke bad aapko neeche bane “Bank” icon par click karna hai. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
Step 3. Ab jo page open hoga wahan apna “Passcode” enter kare.
Note:- Agar Passcode bhool gaye hai to “Forgot Passcode” par click karke passcode recover karle.
Step 4. Passcode enter karte hi aapke samne new page open ho jayega. Yahan aapko “Digital Debit Card” wale option me bane card par click karna hai.
Step 5. Ab aapse ATM Card ke liye request add karne ke liye kaha jayega. “Request Your ATM Card” par click kare.
Step 6. Aapke samne phir se new page open hoga. Jahan aapko bataya jayega ATM card issue karne ke ₹125 Lagenge.
Aur address confirm karne ke liye kaha jayega. Jis bhi address par aap card order karwana chahte hai wo address aapko add karna hai.
Pehle se aapko aapka address show ho jayega. Agar wahi address hai to uske samne bane circle par click kare. Otherwise “Add New” par click karke naya address daale.
PayTm Card Apply Online
Step 7. Address sahi tarike se confirm karne ke bad “Proceed to Pay ₹125” par click kare.
Paytm debit card apply karne ke liye aapke Paytm bank saving account me ₹125 hona jaruri hai. Kyonki ye amount aapke Paytm Payments bank se hi katega.
Step 8. Jaise hi aap Proceed to pay par click karenge. Aapse delivery address confirm karne ke liye kaha jayega “Confirm address” par click kare.
Step 9. Ab aapke Paytm payment bank se ₹125 deduct ho jayenge aur aapka card successfully issue ho jayega.
Iski confirmation ke liye aapke registered mobile number par bhi message aayega.
Note:- Card Issue karne ki fees paytm kabhi bhi ghata ya badha sakta hai. Ye totally Paytm ke uppar depend karta hai.
Lijiye friends, Aapka Paytm physical debit card issue ho chuka hai😃.
Card ko aapke delivery address par aane me 1 week ka time lag sakte hai.
PayTm card aane ke baad usko Activate karne ke liye is post ko padhe:- How to activate Paytm Debit/ATM card
Ye bhi Padhe:-
- Paytm wallet me paise kaise dale?
- Paytm Postpaid kya hai?
- Affiliate marketing kya hai aur isse online paise kaise kamaye?
- Gmail id kaise banaye?
PayTm ATM Card se jude puche jaane wale sawal – PayTm ATM Card FAQ’s
Paytm card issue karne ke baad bhi humara kaam khatam nahi hota. Jab ATM card humare address par deliver ho jata hai. Uske bad hume us card ko bhi baaki cards ki tarah activate karna padta hai.
Ye bhi Padhe:-
- Online Aadhar card kaise download kare?
- Aadhar card status kaise check kare?
- ATM se paise kaise nikale?
- Google kya hai – Janiye pura sach
- Instagram account kaise banaye?
Conclusion
Friends, Aasha karte hai Paytm Debit/ATM Card apply kaise kare (How can I get physical Paytm debit card) aapko ache se samajh aagaya hoga.
Phir bhi post se juda aapka koi bhi sawal hai ya aap kuch puchna chahte hai to hume comment karke jarur bataye.
Is blog par hum aesi jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye blog ko subscribe karna na bhoole.
Post pasand aaya ya aapki isse kuch help hui to ise social networking sites par share karke apna pyar ❤️ aur support jarur de.
Internet se judi jankari ke liye aap mujhe Facebook page par bhi Follow kar sakte hain. Wahan aapko aese updates ka notification sabse pehle milta hai.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Our Services
“Agar aapko Blog/Website se related Neeche di gayi services me se kisi bhi service ki Requirement hai to aap humse contact kar sakte hain”
Services List:-
1. WordPress Setup 2. Kisi bhi tarah ki WordPress Website ya phir Blog Banana 3. Kisi bhi Theme aur Plugin ko Setup karna 4. Any WordPress issue fix 5. Blog ke liye SEO Friendly and High Quality Articles likhwana (Only Hindi/Hinglish Blog).
Is Email par humse Contact Kare:- [email protected]
|
That’s good sister
Thanks keep visiting.