Hello Friends, Aaj ki post me hum baat karenge PayTm me Paise kaise dale (How to Add money in PayTm wallet).
Debit card se Paytm me paise kaise dale (How to add money in Paytm wallet by Debit card/Credit card/Net Banking?).
Paytm wallet use karne ke liye hamare wallet me paisa hona jaruri hai. Paytm wallet ek purse (Batue) ki tarah hai. Jaise shopping karte time hum apne purse me paise rakhte hai. Thik usi tarah Paytm wallet ek Digital wallet hai. Jahan aap paise rakh kar kuch bhi khareed sakte hai.
Iske liye aapko hamseha apne Debit/Credit card ko sath lekar ghumne ki jarurat nahi hai.
Ek baar aapne apni jarurat ke hisab se wallet me paise add kar liye uske baad aap aaram se transactions kar sakte hai. Chaliye ab jaante hai Paytm account me paise kaise dale
PayTm Me Paise Kaise Dale (How to Add Money in PayTm Wallet By Debit Card)?

Aapne Paytm App Download nahi kiya hai to Download par click kare.
- Step 1. Paytm me Home page par aaye. Ab aapke samne 3, 4 options aarahe honge wahan “Add Money” par click kare. (Agar Add money ka option un options me nahi aaraha hai to baaki options ko dekhe wahan aapko mil jayega).

- Step 2. Add Money par click karne ke baad apke samne new page open hoga. Ab aap jitne bhi paise add karna chahte hai utna amount daal de uske bad “Add Money” par click kare. Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

- Step 3. Ab aapke samne new page open hoga. Yahan aapko money add karne ke liye 4 options diye gaye hai. In options me se aapko Debit card select karna hai.

- Step 4. Debit card par click karte hi aapke samne new page open ho jayega. Yahan aapko puchi gayi sabhi details fill karni hai.
- Card No. enter kare (16 Digit ka card number daale).
- Enter MM = Month, YY = Year (Month, Year aapke Debit card me diye gaye hai).
- CVV number dale (Yeh 3 digit ka number hota hai jo aapke card ke backside me aapko mil jayega).
- Agar aap next time paise add karne ke liye card details save rakhna chahte hai to “Save this card for faster checkout” ke samne bane check box par click kare.

- Step 5. Sabhi details fill karne ke bad “Pay Now” par click kare.
- Step 6. Pay Now par click karte hi aapke registered number (Jisse aapne Paytm account banaya hai) uspar OTP code aayega. Code enter kare aur uske bad “Submit” par click kare.
Ab aapke wallet me paise Add ho chuke hai. Iska confirmation message aapke number par ajayega. Umeed hai aapko samajh aagaya hoga Debit card se Paytm me paise kaise dale.
Credit Card Se PayTm Me Paise Kaise Dale?
Agar Aap Credit card se Paytm me money Add karna chahte hai to Debit card ki tarah hi aap aasani se paise add kar sakte hai.
Bus aapko Debit card ki jagah Credit card select karna hai jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai. Baaki ke steps same hi rahenge.
Card details fill karte time aapko Credit card ki details enter karni hai.

Note:- Credit Card se paise add karte time PayTm aapse add kiye gaye paiso ka kuch % Charge karega, Jo ki Time ke hisab se kam jyada hota rehta hai.
Net Banking Se PayTm Me Paise Kaise Dale?
Net Banking se paise add karne ke liye neeche diye gaye steps ko follow kare.
- Step 1. Diye gaye options me se Net Banking select kare.
- Step 2. Ab aapke samne new page open hoga Jahan aapko Bank select karne ke liye kaha jayega. Apna Bank select kare jisme aapka Net Banking khata hai.

- Step 3. Bank select karne ke bad “Pay Now” par click kare. Ab kuch seconds ka time lagega aapke bank se redirect hone me.
- Step 4. Ab aapke samne aapke selected Bank ka page open hoga jahan aapko “username” aur “password” enter karna hai.
- Step 5. Uske bad apne Net Banking account me login kare aur transaction ko pura karte hi aapke Paytm wallet me money add ho jayega.
Paytm wallet me paise add karne ke liye aap Debit/Credit card/Net Banking ke alawa BHIM UPI ka bhi use kar sakte hai. Ek bar Card details save karne ke bad aapko baar baar card details dalne ki bhi jarurat nahi padegi.
Paytm wallet bhut hi jyada secure hai. Card details save karte time aapko tension lene ki jarurat nahi hai. Ye aapki security ka pura dhyan rakhta hai.
Conclusion
Umeed karte hai is post se aap samaj hi gaye honge Net Banking/Credit/Debit card se Paytm me paise kaise dale (How to Add money in Paytm wallet by Debit card/Credit card/Net Banking). Money add karte time koi bhi problem aati hai to aap hume comment karke puch sakte hai.
Aage bhi hum aesi jankari share karte rahenge. Latest updates ke liye is Blog ke Notifications ON kar lijiye. Jisse aap sidha apne inbox me notification pa sake.
Post Helpful laga to Social sites par share karna na bhoole. Aage bhi aese hi apna support dete rahiye.
Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-