Paytm Postpaid Kya Hai or Kaise Use Kare? (2024)

Dosto, Aaj is post me hum baat karne wale hain Paytm Postpaid Kya Hai (What is PayTm Postpaid in Hindi). Kya aap bina paiso ke online shopping karna chahte hai, Bijli ka bill bharne ke abhi paise nahi hai ya phir salary nahi aayi lekin emergency me kahin travel karna hai to aaj ki post khaas aapke liye hai.

Aaj hum isi problem ke solution ke baare me baat karne wale hai. Ji haan aapne bilkul thik padha bina paiso ke aap apne saare jaruri kaam kar sakte hai “Paytm postpaid” ki help se.

Agar aap PayTm postpaid ke baare me jante hai to bhut achi baat hai. Agar aapko nahi pata to post ko pura padhe jisse aap bhi iska benefit utha paaye.

Paytm postpaid Paytm ka hi ek feature hai. Is feature ki help se hum log bill, ticket, shopping aur mobile recharge jaise kaamo ke liye PayTm postpaid se credit le sakte hai.

Agar sahi shabdo me baat ki jaaye to PayTm postpaid ek aesa platform hai. Jiska use karke Paytm user digital loan le sakta hai. 

Is post me hum janenge PayTm postpaid kya hai, Kaise use kare, Paytm Postpaid eligibility kya hai aur Paytm postpaid activate kaise kare. To chaliye shuru karte hai.

Paytm Postpaid kya hai (What is Paytm Postpaid in Hindi)?

Paytm Postpaid kya hai

Paytm postpaid Paytm company dwara launch kiya gaya ek bhut hi badhiya feature hai. Jiski help se aap bina paiso ke Paytm mall se online shopping, Mobile recharge, Tickets, Bill pay jaise sabhi jaruri kaam kar sakte hai.

Basically, Ye ek credit card ki tarah kaam karta hai. Bus fark itna hai ise aap Paytm se kharidari karne ke liye hi use kar sakte hai.

Waise to market me bhut saari aesi companies hai jo digitally loan provide karati hai. Lekin Paytm un sab me se ek bhut hi jyada popular aur trustable company hai.

Paytm postpaid Credit ki facility aapko ICICI Bank dwara di jayegi. Is service ke liye Paytm aur ICICI bank sath mil kar kaam kar rahe hai.

Paytm postpaid ke credit ka bhugtan aap next month ki 7 tarikh tak kar sakte hai. Matlab jis mahine aapne credit balance ka use kiya uski repayment agle mahine ki 7 tarikh ko aapko jama karni hogi.

PayTm Postpaid Ke Fayde (Benefits of Paytm Postpaid in Hindi)

Paytm Postpaid Ke Fayde

Paytm Postpaid ke kuch jabardast fayde hain jinke baare me humne neeche bataya hai.

  • Pay Later:- Is feature ka use karke aap aasani se online shopping kar sakte hai. Aapko salary ka wait karne ki jarurat nahi hai. Aur next month un paiso ko return kar sakte hai.
  • Zero interest:- Jo credit facility aapko milegi uske liye aapko kisi bhi tarah ka koi interest nahi dena padega. Bus jitna aapne kharch kiya hoga wahi payment aapko return karna padega. Payment Return karne ke liye aapko 37 Days ka time diya jayega. Jabke dusri companies sirf 30 Days ka hi time deti hai.

Note:- Due date par paise return na karne par late fee fine lagega. Jiske baare me humne neeche detail me bataya hai.

  • Easily Pay credit bill:- Use kiya hua credit amount aap aasani se apne Debit/Credit card aur Net banking dwara return kar sakte hai.

Paytm Postpaid Money Use Kaise kare?

Paytm postpaid ko use karne ke liye sabse pehle aapke pas ek Paytm account hona jaruri hai, To aapko sabse pehle ek Paytm account create kar lena hai.

Paytm postpaid ka benefit lene ke liye aapko sabse pehle ise apne Paytm account me activate karne hoga.

PayTm postpaid ka use kar rahe sabhi users ke wallet me kuch credit amount diya jata hai. Ye aapki PayTm transaction or ICICI Bank policies par depend karta hai.

Jitna jyada aapne Paytm ko transactions ke liye use kiya hoga. Utna jyada aapko credit limit milne ke chances honge.

Ye amount 2000 – 100,000 ke beech me hota hai. Jo ki Lite, Delite aur Elite users ke liye hota hai. Ye limit PayTm postpaid dwara hi decide ki jati hai ki Kitna credit amount kounse user ko dena hai.

Paytm Postpaid Activate Kaise Kare?

Jaise maine aapko uppar bataya ye suvidha abhi sabhi ke liye available nahi hai. Lekin mai iske liye Eligible hu. Mujhe ₹ 750 ka credit amount diya gaya hai. Jiska use transactions ke liye kiya ja sakta hai. Neeche screenshot me aap dekh sakte hai.

What is Paytm postpaid in Hindi

Agar aap bhi ise activate karna chahte hai to sabse pehle aapko ye check karna hoga aap iske liye eligible hai ya nahi.

Paytm Postpaid Eligibility check karne ke liye aapke Paytm home page par ek banner dikhega jahan likha hoga “Check your spend limit”.

Agar banner nahi dikhta hai to aap profile me jakar “PayTm postpaid” ke option par click karke bhi check kar sakte hai. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.

Paytm postpaid ka use kaise kare

Agar aap eligible hote hai to aapko Name, Gender, Date of birth, Email id, Current address, Aadhar no. aur Pan card details fill karke apply karna hai. Uske baad aapko credit limit mil jayegi.

Ye bhi padhe:-

PayTm Postpaid ka use kis jagah kiya ja sakta hai?

Ek digital loan hone ki wajah se aap iska use Online transactions ke liye kar sakte hai. Jaise D2h recharge, Bill, Ticket booking, Movie tickets ya phir Paytm mall se shopping karne ke liye. Credit amount sirf online/offline transactions ke liye use kiya ja sakta hai. Credit amount ko aap apne Bank me transfer nahi kar sakte.

Paytm Postpaid Terms and Conditions

Is feature ka use karne ke liye Paytm ne kuch terms & conditions diye hai. Jisko aap ache se samaj kar Paytm postpaid ka behter tarike se istemal kar sakte hai. Kuch terms and condition ke baare me humne neeche bataya hai.

  • Iska use aap Paytm ke sabhi products ke liye kar sakte hai.
  • Credit limit aapki Paytm transaction history par depend karegi.
  • Paytm postpaid me diye gaye paiso ko aap apne Bank account me Transfer nahi kar sakte hai.
  • Iske dwara kaharch kiya gaya amount aapko 37 Days ke andar return karna hoga.
  • Next month ki 1 Tarikh ko aapka bill generate kar diya jayega.
  • Kharch kiye gaye paiso ka bhugtan next month ki 7 Tarikh ko karna hoga.
  • Agar bhugtan time se nahi kiya gaya to account automatic block kar diya jayega.
  • Ghabrane ki baat nahi hai jaise hi aap kharch kiye hue paiso ko return kar denge aapka account activate kar diya jayega.
  • Kharch kiya gaya amount aap Debit/Credit card ya phir Net banking dwara return kar sakte hai.

Paytm Postpaid Late Fee Fine List

Aapko credit amount par kisi bhi tarah ka interest nahi dena hoga. Bus jo amount kharch karenge wahi return karna hoga. Lekin agar repayment due date par nahi ho pati to late fee fine pay karna padega.

Neeche Maine Late fee fine ki list share ki hai:-

Due Amount ₹Late Fee/Per Month
Upto Rs. 1000
₹101 to ₹250₹10
₹251 to ₹50025
₹501 to ₹100050
₹1001 to ₹2000₹100
₹2001 to ₹5000₹250
₹5001 and above₹500

PayTm Postpaid Advantages & Disadvantages

Waise to Paytm postpaid ke bhut se laabh hai. Lekin usi ke sath iske kuch nuksaan bhi hai.

Paytm Postpaid Advantages

Bina kisi interest ke aapko 100,000 tak ka loan mil sakta hai. Jise aap apni jarurat ke hisab se kharch kar sakte hai.

Agar aapne Paytm KYC karai hui hai to Loan lene ke liye aapko kisi bhi tarah ka document dene ki jarurat nahi hai. Agar nahi krayi hui to bus ek Aadhar no. aur Pan card details dekar aap iska benefit utha sakte hai.

Paytm Postpaid Disadvantages

Agar baat ki jaaye nuksaan ki to bus late fee fine hi ek khaami hai. Kyonki Late fee fine aapko amount ka 10% ke aas paas pay karna hoga.

Neeche di gayi video ke madhyam se bhi aap Paytm postpaid kya hai ke baare me jaan sakte hai.

Conclusion

So friends, Umeed karte hai aapko achche se samajh aagaya hoga PayTm postpaid kya hai (What is PayTm postpaid in Hindi) aur iska use kaise kare.

Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai is post ko lekar to aap hume comment box me comment karke jarur bataye.

Is blog par hum Internet se judi jankari share karte rehte hai. Latest updates paane ke liye blog ke Notifications ON karna na bhoole.

Post pasand aaya to social sites par jarur share kare. Jisse baaki log bhi iska fayda utha kar apni jarurate puri kar sake.

Aesi jankari ke liye aap Mujhe Facebook par bhi Follow kar sakte hain. Wahan aapko aese updates ka notification sabse pehle milta hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

Leave a Comment