What is PayTm in Hindi (PayTm Kya Hai)? – Hello Friends, Aaj is post me hum baat karenge PayTm ke baare me jisne bhut se logo ki life ko aasan bana diya hai.
Aap apne daily life se jude jyadatar kam is App se pure kar sakte hai woh bhi bina time gawaye.
To chaliye thoda detail me jante hai PayTm kya hai aur Paytm par account kaise create kare.
Bhut hi kam log jaante hai PayTm ka pura naam “Pay Through Mobile” hai. Kyonki PayTm ki pehchaan uske short name se hi hui hai. TV me Ads “PayTm karo” bhi isi tarah se aati hai ke har koi iske short name Paytm se wakif ho jaye.
What is PayTm in Hindi – PayTm kya hai?
PayTm ek e-commerce website hai. Jiska Headquarter India ki Noida city me hai. PayTm ki shuruaat August 2010 me Vijay shekhar sharma dwara ki gayi thi. Jisko prepaid mobile aur DTH recharge karne ke liye banaya gaya tha. Aur baad me time to time isme kaafi cheeze badhayi gayi hai.
Aaj lagbhag hum PayTm se apne sabhi zaruri kaam pure kar sakte hai. Woh bhi bina line me lage. Jisme se kuch ki List maine Neeche di hai.
1. Mobile Recharge.
2. Postpaid bill payment.
3. Electricity bill.
4. Metro card recharge.
5. Water bill
6. Gas cylinder
7. DTH
8. Petrol Challan
9. LIC
10. Movie Tickets
PayTm se hum online shopping karne ke sath sath apne aaspas local shops ki bhi payments kar sakte hai agar us dukandaar ke pass PayTm ki service uplabdh hai to.
Iske alawa bus, train, flight tickets, hotel rooms booking aur uber cab rides ka bhugtaan kar sakte hai. PayTm ka main maksad India ko cashless banana hai.
Cashless ka matlab hai humare pass paisa to rahe. But physically nahi Digitally. Ab aap soch rahe honge Digitally kaise?
Basically, PayTm wallet me. Jo ki aapke batue ke saman hi hota hai. To chaliye jante hai PayTm wallet aakhir kya hai (what is paytm wallet) aur kaise use kare.
Ye bhi padhe:-
- Paytm postpaid kya hai aur iska laabh kaise uthaye?
- PayPal kya hai kaise account banaye?
- ATM se paise kaise nikale
- Google Task Mate App kya hai or isse paise kaise kamaye
What is PayTm Wallet – PayTm Wallet Kya Hai?
Paytm Kya hai (What is Paytm in Hindi) ke baare me to aapko pata lag hi gaya. Ab Paytm wallet ki agar hum baat kare to ye ek digital payment instrument hai.
Jahan aap jo bhi transaction karna chahte hai uske liye apne Debit (ATM) ya Credit card ka use kar sakte hai.
Bus aapko ek Paytm account setup karne ki zarurat hai uske baad aap aasani se Paytm wallet ka use kar sakte hai.
Transactions karte time aapko cash back offers bhi milte hai. Uski details bhi aap Paytm wallet me dekh sakte hai.
Aapko bus apne smart phone se Paytm App download karke install karna hai aur account setup karne ke bad aap aasani se iska use kar payenge.
Computer aur Laptop me bhi aap Paytm ka use kar sakte hai. Paytm use karne ke liye aapki KYC hona Jaruri hai. KYC pura kaise kare iske liye ye post padhe.
Ye bhi padhe:-
Ab aap samjh gaye honge what is Paytm in Hindi & what is Paytm wallet. To ab dekhte hai Paytm par account kaise create kare.
PayTm Par Account Kaise Create Kare?
Paytm Kya hai (What is Paytm in Hindi) iske baare me to humne ache se jaan liya. Lekin ab baat aati hai ispar account kaise banaye.
Aapko batade ye bhut hi simple kaam hai. Bus aapko neeche bataye gaye steps ko follow karna hai.
Step 1. Sabse pehle Paytm ki website open kare. Aap smart phone me Paytm App download karke bhi account create kar sakte hai. Uske bad “Log In/Sign up” par click kare.
Step 2. Neeche “Log In/Sign Up with mobile number and password” par click kare.
Step 3. Login/Sign Up par click karne ke baad aapke samne ek pop up window khulegi. Wahan “Sign Up” par click karke Mobile number fill karna hai jo bhi number aap paytm banane ke liye rakhna chahte hai.
Phir ek password enter karna hai jo aapko dhyan rahe. Uske baad email id optional hai fill karna chahe hai to kar sakte hai otherwise proceed par click kare.
Step 4. Jis number se aapne paytm account banaya hai us par ek OTP (One Time Password) aayega jo aapko proceed par click karne ke baad enter karna hai.
Step 5. OTP enter karne ke bad aapko “Create New Account” par click karna hai.
Ab aapka Paytm account ready hai. Iske bad aap apni personal details fill karke apna profile ready kar lijiye. Uske bad aap jo bhi transaction karna chahte hai aasani se kar sakte hai.
Paytm wallet me paise add karne ke liye “Add Money” par jakar paise add kar sakte hai.
PayTm Cash ko Bank me Transfer kaise kiya jaaye?
Step 1. Bank account me paise transfer karne ke liye paytm aap ya paytm website me login karle. Uske baad “Passbook” ka ek option hoga wahan jaaye.
Step 2. Jaise hi passbook par click karenge aapko “Summary” ke section me neeche Paytm wallet ka option dikhenge us par click kare.
Step 3. Ab aapke samne 3 option dikhenge usme se dusra option “Send money to Bank” par click kare.
Step 4. Ab aapko jo form dikhege wo fill karna hai. Jisme kuch details aapse puchi jayegi.
1. Account Number
2. Account Holder’s Name
3. IFSC Code
4. Amount (Jo bhi amount aap transfer karna chahte hai).
5. Description ye optional hai
6. Details fill karne ke bad proceed par click karde.
Ab kuch hi seconds me paise aapke account me transfer ho jayenge.
Paytm ne ab khud ka ek Rupay Debit (ATM) card uplabdh karwa diya hai. Jisme sabhi features available hai jo ek bank ke debit card me hote hai.
Paytm ATM card se aap kisi bhi ATM machine se cash nikal sakte hai. Aur jis bhi store se aap shopping karte hai wahan card swipe bhi kar sakte hai.
Paytm ATM card ke liye Aap apne Paytm App se request kar sakte hai ya phir sidha website par bhi ja sakte hai. Request karne ke 7 se 10 din andar aapka card aapke postal address par pahunch jata hai. Aur ATM card banwane ke 125 Rupees charge fees lagti hai.
Kya PayTm Wallet Safe Hai?
Ji haan, Paytm wallet bilkul safe hai. Ye ek RBI approved wallet hai. Paytm wallet me 128-bit encrypted technology ka use kiya jata hai.
Jiska matlab hai jo secret key transactions karte time use hoti hai woh 128-bits ke sequence me hoti hai aur password ki length ya content ke baare me kuch bhi reveal nahi karti.
Ye platform PCI DSS 2.0 certified ka upyog karta hai. Iska matlab hai ye Credit card ke data ko unencrypted form me save nahi karta hai.
Ye bhi padhe:-
- Gmail account ka password kaise reset kare?
- Gmail id kaise banaye?
- RozDhan Best Earning App
- Google Task Mate App kya hai or isse paise kaise kamaye
Conclusion
Umeed karte hai is post ke madhyam se aap samaj gaye honge Paytm kya hai (What is Paytm in Hindi), What is Paytm wallet aur Paytm account kaise create kare. Phir bhi aapka koi sawal hai to aap comment box me puch sakte hai.
Aage bhi hum Paytm se judi jaruri jankari share karte rahenge. Latest updates ke liye aap Hindi Blogging Hub ko subscribe kar lijiye. Aur regular is blog ko visit karte rahiye.
Ye post aapko informative laga ya isse aapki kuch help hui to ise social site par share karna na bhoole.😃
Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to 👇 Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Our Services
“Agar aapko Blog/Website se related Neeche di gayi services me se kisi bhi service ki Requirement hai to aap humse contact kar sakte hain”
Services List:-
1. WordPress Setup 2. Kisi bhi tarah ki WordPress Website ya phir Blog Banana 3. Kisi bhi Theme aur Plugin ko Setup karna 4. Any WordPress issue fix 5. Blog ke liye SEO Friendly and High Quality Articles likhwana (Only Hindi/Hinglish Blog).
Is Email par humse Contact Kare:- [email protected]
|