WordPress Meaning in Hindi | WordPress Kya Hai (2024)

Hello Friends, Aaj hum baat karenge WordPress Kya Hai (WordPress Meaning in Hindi). Aur janenge WordPress Blogging field me itna jyada popular kyon hai. To chaliye shuru karte hai.

Aap blogging karte hai ya web developer hai to aapne WordPress ka naam zarur suna hi hoga. Jis tarah online shopping karne wale Amazon aur Flipkart ke baare me jaante hai, Usi tarah blogging aur website ki knowledge rakhne wale lagbhag sabhi log WordPress ke baare me bhi jaante hai. To chaliye samajhte hai WordPress kya hai (What is WordPress in Hindi).

WordPress Meaning in Hindi (WordPress Kya Hai?)

WordPress meaning in Hindi

WordPress Website/Blog banane ka sabse aasan tarika hai. Ye duniya ka ek bhut hi jyada popular aur powerful open source CMS (Content Management System) hai. Jiske dwara aap bhut hi aasani se apni website ya blog bana sakte hai.

WordPress ko Matt Mullenweg (WordPress founder) aur Mike little (WordPress Co-founder) ke dwara banaya gaya tha. Aur ise 27 May 2003 me open source ke roop me launch kiya gaya tha.

Technically bhasha me kahe to WordPress PHP (Programming language) aur MySQL (Database) ke dwara banaya gaya hai. WordPress par site banane ke liye aapko technical knowledge ki zarurat nahi hai.

Pehle ke time me aesa hua karta tha agar aapko website banani hai to aapko programming language ki knowledge hona zaruri tha. But aaj aap WordPress ke zariye bina kisi technical knowledge ke aasani se apni website bana sakte hai aur apni zarurat ki anusaar usey customize bhi kar sakte hai.

Kehne ka matlab yahi hai WordPress har kisi ke liye aasani se website banane me help karta hai. Jin logo ko website development ki knowledge nahi hai unhe bhi.

WordPress ki tarah bhut saare free open source CMS hai jaise Joomla, Drupal, Bootstrap, Jekyll, Tumblr. But in sab me se sabse jyada upyog kiye jaane wala CMS WordPress hai jo sabse jyada popular hai. Internet par 35% website/blog aese hai jo WordPress ki help se banaye gaye hai.

WordPress meaning in Hindi to aap samjh gaye honge chaliye baat karte hai WordPress kaise kaam karta hai.

WordPress Kaise Kaam Karta Hai?

Jaise ki abhi humne uppar baat ki ke pehle ke time me agar aapko khud ki website create karni hoti thi to uske liye aapko web developing ki knowledge hona zaruri hota tha ya aapko kisi web developer ke dwara website ya blog banwana padta tha.

CMS bana hua nahi tha web developers pehle usey banate the phir uspar kam karna start karte the.

Ek CMS banane ke liye kafi jyada technical knowledge ho tabhi usey banaya ja sakta tha. Aur is par website banane aur uski designing karne me kaafi time lagta tha. 

Technical knowledge ke bina aap website nahi bana sakte the. But aaj WordPress ke dwara ek aam insan bhi apni khud ki website aur blog bana sakta hai.

Blogging ke liye WordPress sabse aasaan aur powerful tarika hai. WordPress ki wajah se ek developer ko website designing ke liye har kam khud nahi karna padta. Kyonki WordPress Plugins, Mobile responsive themes bane banaye mil jate hai. Aur unhe aap install karne ke bad activate karke use kar sakte hai.

Plugins ka matlab hai jaise aap Android phone me Google play store par jakar apni zarurat ke anusar Application install karte hai. Similarly, WordPress me aap apni zarurat ke anusar plugin install kar sakte hai aur istemal me le sakte hai. Aap chahe to iske dwara product sale karne ke liye woo-commerce website bhi bana sakte hai.

WordPress Itna Jyada Popular Kyon Hai?

WordPress itna jyada popular kyon hai
  • Easy to Use

Aap bina kisi technical knowledge ke WordPress ko install karke setup kar sakte hai. Aur blog ya website bana sakte hai. Uske bad usme easily pages, post, photo, video aur plugin add kar sakte hai. Iska admin dashboard simple aur user friendly hota hai. Jiske liye aap agar web developer nahi bhi hai to usme koi preshani nahi hai aap ise aasani se use kar sakte hai.

  • Free and open source

Open source hone ki wajah se yeh bilkul free hai. Isme kisi bhi tarah ki koi limitation nahi hoti. Aap jaisi bhi website ya blog banana chahte hai bana sakte hai. Woh personal ya commercial kaisa bhi ho sakta hai.

Website banane ke liye aap kahin se bhi Domain name aur Web hosting khareed sakte hai. Jaise ki Reseller club, Bluehost, Godaddy, HostGator, Hostarmada etc.

  • SEO Friendly

WordPress par blog ya website banate time aapko SEO ke liye jyada dhyan dene ki zarurat nai hoti. Kyonki aapko yahan SEO ke liye plugins milte hai jaise ki SEO by Yoast plugin & Rank Math.

  • Flexible and Extensible

WordPress me aapko hazaaro themes aur plugins milta hai jinhe aap apne hisab se customize kar sakte hai. Aur apne according blog ya website ko aur bhi acha look de sakte hai.

Is Blog par mai GeneratePress Theme ka use kar rahi hu. Jo ki bahut hi jyada light weight aur SEO Friendly Theme hai.

Yahan aapko 55,000+ ke around plugins milte hai. Jiska use aap apni zarurat ke hisab se kar sakte hai.

WordPress meaning in Hindi aur WordPress itna popular kyon hai ye dono baate aapko samajh aagayi hongi. Ab baat karte hai Blogger VS WordPress konsa better hai.

Blogger Vs WordPress Kaunsa Best Hai Blogging Ke Liye

Blogging ki agar baat ki jaaye to yahan 2 platform sabse jyada popular hai.

1. Blogger.com (BlogSpot)
2. WordPress

Blogger.com

Blogger.com aesa platform hai jo Google ki ek free service hai. Yahan aap free me blog bana sakte hai jiske liye aapko BlogSpot ka ek Subdomain milta hai aur yahan aapko koi hosting service lene ki bhi zarurat nahi hoti. But free hone ki wajah se yahan kuch limitations bhi hoti hai.

Blog ke SEO ke liye aapko khud hi saari cheeze manage karni hoti hai. Yahan aapko plugins ki suvidha nahi milti hai.

WordPress Platform

Agar aap nahi jante ke WordPress free hai ya nahi to ji ha WordPress bilkul free hai. But WordPress apni service 2 tariko se deta hai, Jisme isne apne aap ko 2 platform me divide kya hua hai.

1. WordPress.com
2. WordPress.org

WordPress.com

Agar aap blog banane ke liye koi free platform chahte hai to wordpress.com par aapka kaam ban sakta hai. Yahan aapko koi domain ya hosting service lene ki zarurat nahi hai. WordPress.com aapko ek subdomain deta hai jaise example.wordpress.com. Free hone ki wajah se blogger ki tarah isme bhi bhut si limitations hai.

Yahan aap plugins ka use nahi kar sakte hai aur alag se koi theme bhi upload nahi kar sakte.

WordPress.org

Jab aap apna khud ka domain name aur web hosting khreed lete hai. Aur us par WordPress install karte hai to aapka blog ya website WordPress.com ki jagah wordpress.org par kaam karti hai. Iske liye aap Top level domain (TLD) aur kisi bhi achchi company se web hosting le sakte hai.

WordPress Par Website Banane Ke Fayde
  • Themes

WordPress.org par aapko hazaaro themes free me install karne ke liye milti hai. Aap kabhi bhi ek theme se dusri theme ko badal sakte hai. Aur use apne hisab se customize bhi kar sakte hai. Iske liye aapko koi bhi coding me changes karne ki zarurat nahi padegi.

  • Plugins

WordPress par aapko bhut saare plugins milte hai jinhe install karke aap website ke features aur quality ko aur jyada achcha bana sakte hai.

  • Multi user Blogging

WordPress.org par aapko ek bhut khaas suvidha milti hai. Jisme aap apni zarurat ke hisab se user add kar sakte hai aur unhe alag alag role bhi de sakte hai. Isme aap kitne bhi user bana sakte hai 5,6 jitni bhi aapko zarurat hai.

Ab tak aapne samjha WordPress kya hai, WordPress itna popular kyon hai, Blogger vs WordPress ab hum baat karenge Importance of WordPress aur kuch important plugins ke baare me.

Importance of WordPress in Hindi
Importance of WordPress

Jo blogging field me hai wo log WordPress ke baare me pehle se hi jaante hai. Because jyadatar log blogging ki starting blogger.com se karte hai aur kuch time bad jab unhe wahan limitations ka pata lagta hai to WordPress par shift ho jaate hai.

Ab aap ye janna chahte hi honge ke aesa WordPress me kya hai jiske liye bloggers WordPress ko jyada use karna pasand karte hai.

Aap jante hi honge ek blogger ke liye SEO ki jankari hona bhut zaruri hota hai. Blogger.com par SEO ke liye saara kaam khud hi karna padta hai. Aur social sharing ke liye bhi blog post ko manually share karna hota hai. But WordPress me aapko hazaaro plugins mil jayenge jo aesi zarurato ko pura karenge aur aapka time bhi save karenge.

Important WordPress Plugins (WordPress Plugin Hindi)

1. Contact form 7 – Readers ke comment accept karne ke liye yeh form provide karta hai.

2. Akismet Anti-Spam – Spam comment aur spam login se blog ko secure rakhta hai.

3. W3 Total cache, WP Super Cache, WP Rocket – Blog ko superfast load karne me help karta hai.

4. Yoast SEO/Rank Math – Search Engine Optimization ke liye best plugin hai.

5. One Signal Push Notification – Subscriber ko post publish aur update karne par notification send karne ke liye.

6. Flamingo – Contact form ke dwara send kiye gaye messages ka jawab sidha WordPress dashboard se dekhne ke liye.

7. Google analytics – Blog ke traffic ko dekhne aur complete blog ko analyze karne ke liye bhut zaruri plugin hai.

8. Jetpack – Bhut saare features ka ek set hai, Jisme aap Social media sites par post ko direct share sakte hai. Aur apni website aur blog ka stats bhi dekh sakte hai.

9. Table of content – Post me heading ko ek table ke dwara dikhata hai. Jisse reader dekh sakta hai ek post me kis-kis topic ko cover kiya gaya hai. 

Blog/Website banane ke liye Web Hosting me WordPress Kaise install kare. Iske liye humne complete video banayi hai. Jahan step by step aapko bataya hai:-

Conclusion:-

Umeed karte hai aapko achche se samaj aaya hoga WordPress kya hai, What is WordPress Meaning in Hindi , Importance of WordPress. Yeh WordPress series ki pehli post hai. Hum aage bhi WordPress se judi zaruri jankaari share karte rahenge. Blog ke latest updates paane ke liye notification zarur ON karle.

Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE kar sakte hain. 

Is Channel par aapko Blogging, Make Money Online, AdSense and YouTube se related jankari milti hai.

Agar yeh post aapko useful laga to ise social site par jyada se jyada share kijiye. Aur aese hi apna support dete rahiye.

Swasth Rahe, Khush rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

6 thoughts on “WordPress Meaning in Hindi | WordPress Kya Hai (2024)”

Leave a Comment