Friends, Aaj hum baat karenge YouTube channel kaise banaye. Aaj ki date me lagbhag sabhi log YouTube par video dekhte hai like & share bhi karte hain.
Lekin bhut hi kam log aese hai jinhe pata hai YouTube par channel kaise banaye aur YouTube se kaise earning kare.
Ji haan, Aapne bilkul thik suna YouTube par channel banakar uspar videos upload karke aap paisa kama sakte hai.
Youtube aaj ki date me sabse jyada popular video sharing site ban chuka hai. Jahan har language me log video banakar upload kar rahe hai. Aur bhut se log iske zariye mahine ka laakho rupay kama rahe hai aur ise apna permanent income source bana chuke hai.
Jyadatar log YouTube ka istemal Movies, Songs, funny videos ya phir online kuch sikhne ke liye karte hai. Lekin aapne kabhi socha hai jo videos aap dekhte hai unhe kon upload karta hai.
Videos upload karne wale aap aur hum me se hi woh log hote hai jo kisi cheez ki knowledge rakhte hai ya phir videos banakar upload karne me unka interest hota hai. Unhe YouTuber kaha jata hai.
Aap bhi agar apna YouTube channel banakar videos upload karte hai to aap bhi Youtube se online paisa kama sakte hain. Ab aap soch rahe honge yahan tak to thik hai lekin apna YouTube par channel kaise banaye. To chaliye aage isi baare me jante hai.
Contents
YouTube Channel Kaise Banaye (How to Make YouTube channel in Hindi)?

Apna channel banane ke liye aapko alag se account banane ki jarurat nahi hai. Agar aapke pas Gmail id hai to aap direct usi Gmail id se Sign In karke apna Channel create kar sakte hain.
Aapne agar abhi tak Gmail account nahi banaye hai to is post ko padhe Gmail id kaise banaye humne yahan aapko step by step bataya hai.
Channel create karne ke liye aapko neeche bataye gaye steps ko follow karna hai uske baad aapka YouTube channel create ho jayega.
Ye bhi padhe:-
- YouTube se video download kaise kare
- Facebook par like kaise badhaye
- YouTube video me channel ka logo kaise add kare
Youtube Par Channel Kaise Banaye?
- Step 1. Sabse pehle youtube.com par jaaye. Uske bad Right side Top corner me bane “Sign In” ke option par click kare. Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai. Uske bad apne Gmail account se Login kare.

- Step 2. Login karne ke bad ab aapko Sign in ki jagah aapke Naam ka Pehla word dikhega ya agar aapne koi photo lagayi hui hai to wo dikhegi. Us image par click kare. Click karte hi aapke samne kuch options aayenge usme se “My channel” option par click kare.

- Step 3. Click karne ke baad aapke samne ek window open hogi. Jahan aapke samne pehle se hi by default woh naam show hoga jo aapne Gmail id banate time use kiya tha.

- Step 4. Ab agar aap same name channel ka rakhna chahte hai to “Create Channel” par click kare. Aur agar koi dusra naam rakhna chahte hai to “Use a business or other name” par click kare.
- Step 5. Click karne ke bad aapke samne new page open hoga, Yahab apna pasandida name enter karke “Create” par click kare.

Mubarak ho! Ab aapka channel create ho chuka hai.
Professional YouTube Channel Kaise Banaye?
Aapko apne channel ko ek professional look dene ke liye isme Apni profile aur cover photo add karni hai jaise Facebook par bhi karte hain. Neech humne aapko Professional YouTube Channel banane ke liye complete steps bataye hain.
- Step 1. Channel create hone ke baad aapke samne 2 options aayenge isme se “Customize Channel” par click kare.

- Step 2. Ab jo page open hua hai wahan aap apni profile photo upload kare.
- Step 3. Profile photo upload karne ke baad “Add channel art” par click karke cover photo lagayen. Ab Aapka channel ready ho chuka hai.

So Friends, YouTube channel create karna haina kitna aasan kaam. Ab aap apni banayi gayi videos YouTube channel par upload kar sakte hai aur chahe to YouTube se paisa bhi kama sakte hai.
YouTube channel par video upload karte time konsi baate dhyan rakhni jaruri hai?
Channel create karke videos to lagbhag sabhi log upload kar dete hai. Lekin Youtube ki guidelines ko follow karna bhool jaate hai. Jiske chalte channel delete bhi kiya ja sakta hai.
Behter yahi hai ke Youtube pe videos upload karne se pehle aap YouTube Guidelines sahi tarike se padhle. Jisse future me koi dikkat na aaye.
- Kisi ki bhi video ko copy karke ya phir kisi movie ka song apni video me daalne se aapke channel par copy strike aa sakti hai.
- Apna original content upload kare.
- Kisi bhi tarah ka sexual content upload na kare.
- Kisi dharm ya jaati ko lekar aesi koi video na daale. Jisse dusro ko koi chot pahunche.
- YouTube se Paise kamane ke liye uski kuch Terms hai usko dhyan se padhe.
Conclusion
So friends, Umeed karte hai aapko ache se samajh aagya hoga YouTube channel kaise banaye (How to make YouTube channel in Hindi). Phir bhi post se juda aapka koi bhi sawal hai ya aap koi sujhav dena chahte hai to comment me jarur bataye.
Aapke dwara diya gaya suggestion is blog ko aur bhi behter content dene me help karega. Blog Ke Latest Updates Ke liye Notifications ON jarur karen.
Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.
Post informative laga to social sites par jarur share kare. Jisse jo log kisi bhi tarah ka hunar rakhte hai. Woh log apna hunar video ke zariye YouTube par dikha kar paise kama sake.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-