10 Best Hindi Motivational Movies – Jo Aapko Dekhni Chahiye

Best Hindi Motivational Movies – Friends, Movies dekhna to mostly sabhi log pasand karte hai. Movies sirf enjoyment, Fun ya phir time pass ke liye nahi dekhi jaati. Bhut baari aap movie dekhte dekhte kuch aesa seekh jaate hai jo aapke jiwan ko badal deta hai.

Aaj ki post me hum aesi hi 10 Hindi Motivational & Inspirational movies in Hindi ke baare me baat karne wale hai. Jinko aapko apni life me ek baar to jarur dekhna hi chahiye.

Bollywood hamesha aesi Inspirational movies banane me juta rehta hai jisko wo aam insan ki life se relate kar paaye. Ya phir sachchi kahaniyo pe aadharit movie banayi jaati hai. Jo ek aam insan ke struggle aur uske hard work ko dikhati hai.

Best Hindi Motivational Movies

Best Motivational Hindi Movies

1. Milkha Singh

Ye ek successful athlete ke jivan par bani Film hai jo real story par banayi gayi hai. Is Film me dikhaya gaya hai Kaise Milkha singh (Farhan Akhtar) apne jivan me aayi musibato se jujhta hua aage badhta hai.

Parivar me ek behan ke alawa sabhi logo ke maare jane ke baad Milkha Singh apni behan ke saath Pakistan se Bharat aata hai. Aur Sena me bharti hone ke sath sath race me pehle number par aakar Bharat ka naam roshan karta hai.

Milkha Singh Dialogue – Best Hindi motivational movies

“Log bure nahi hote hai, 

Halat bure hote hai”

“Paisa kamane ke liye bhi, 

Paise ki jarurat hoti hai”

2. Dangal

Ye film ek real life story hai. Jisme Mahavir Singh Phogat (Aamir Khan) jo ki khushti ka ek acha khiladi reh chuka hota hai. Mahavir ka sapna Bharat ke liye Gold medal jitna hota hai. Lekin wah sapna pura nahi kar pata.

Usne khud se vada kiya hota hai jo wo nahi kar paya uska beta karega. Lekin shadi ke bad lagatar char betiyan hone par wo niraash ho jata hai. Uska manna hota hai ladkiyan khushti ke layak nahi hoti.

Ek din Mahavir ki do betiyan do ladko ki pitai kar ghar wapas aati hai. Usdin Mahavir ko ehsas ho jata hai choriyan choro se kam nahi hoti. Aur usdin ke bad se wo apni ladkiyan ko khusti ki practice karana shuru kar deta hai. Unhe ek ache level ka pehlwan banata hai.

Dangal Best motivational Hindi movie dialogue 

“Medalist ped par nahi ugte unhe banana padta hai,

Pyar se, Lagan se, Mehnat se…”

“Mai hamesha sochta raha ki chora hota to desh ke liye Gold lata.

Ye baat mere samaj me na aayi ki Gold to Gold hota hai,

…Chora laave ya chori ” 

3. Lakshya

Is Movie me dikhaya gaya hai jab kisi Naujawan ko nahi pata hota usey life me aage kya karna hai, to wo apni jindagi mauj masti, Ghumne phirne me nikal deta hai. 

Jab usey apne lakshya ka pata lagta hai to wo us lakshya ko paane ke liye kuch bhi kar guzarta hai. Yahan tak ki wo apne pyar tak ko chohd aage nikal jata hai. Aur apne Goal ko hasil karke hi dum leta hai. Is Movie me Hrithik Roshan dwara main kirdar nibhaya gaya hai.

Lakshya Movie Best Motivational dialogue

“Sirf sochne se kaam nhi chalega.. 

Kuch karna bhi padta hai”

“Cheezen jabtak perfect na hoon, 

Theek nhi lagti”

4. 3 Idiots

3 idiots ek aesi movie hai jo lagbhag sabhi college students se judi hai. Har ek student khud ko isse connect kar pata hai. Movie me 3 dost dikhaye gaye hai jo Engineering student hote hai. Unme se do dost average student hote hai. Baki ek students (Aamir Khan) Bhut Genius aur creative hai.

Movie me dikhaya gaya hai hume dil ki baat sunni chahiye. Aur padhne ke liye nahi kuch sikhne ke liye padhna chahiye. Ye ek motivational film hai. Jo ki aapko dekhni hi chahiye.

3 idiot Best Motivational Bollywood Movie dialogue

“Bachcha kabil bano, kabil..

kamyabi toh saali jhak maarke peeche bhagegi”

“Life is a race … 

If you don’t run fast, You will be like a broken Undaa”

5. Manjhi- The Mountain Man

Ye ek aadmi jiska naam Dashrat Manjhi hai uski sachchi kahani hai. Jisme Wo sirf ek cheni aur hatode ki madad se pure pahaad ko kaat deta hai.

Pahaad ko kaatne ke piche ek bhut badi wajah chupi hoti hai. Manjhi ki patni labor pain me hoti hain. Kuch doori par hi hospital hota hai. Lekin pahaad ki wajah se 15 minute ka rasta ghanto ka ban jata hai aur uski patni ki maut ho jaati hai.

Dashrat manjhi decide karta hai jis wajah se uski patni ki maut hui aesi ghatna gaon me kisi ke saath na ho. Aur wo pahaad ko kaatne ka decision leta hai. Wo apni commitment ko pura karta hai. Ye kahani sabhi logo ko inspiration deti hai ke insan jo soch le wo pura kar sakta hai.

Manjhi- The mountain man, Best Inspirational movie Dialogue

“Jab tak todenge nahi..

Tab tak chohdenge nahi” 

“Pahad tode se bhi Mushkil…hai kya”

6. Neerja

Ye film 23 saal ki ladki Neerja Bhanot ke jivan par aadharit hai. Jo ek Flight attendant thi. Aur unhone ek flight ko Hijack se bachate time apni jaan gawa di thi. Unki is veerta aur smartness ke chalte kaafi saare passengers ki jaan bachi.

Neerja Bhanot ke marne ke baad unki veerta ke liye unhe desh ka nagrik samman Ashok chakra diya gaya. Is samman ko paane wali wo sabse kam umar ki mahila rahi. 

Neerja Hindi Motivational Movie Dialogue

“Agar yeh hota toh wo nahi hota…

Agar woh hota toh yeh nahi hota..

Hota toh wohi hai joh hona hota hai”

7. M.S Dhoni – The Untold Story

Cricket ke sitare M.S Dhoni yaani Mahendra Singh Dhoni ki ye real life story based movie hai. Is character ko Sushant Singh Rajput ne play kiya hai. Film me M.S Dhoni ke struggle ko dikhaya gaya hai. Financially strong na hone par bhi unhone kaise apne sapno ko pura kara.

Har choti se badi mushkilo ka jamkar saamna kiya. Khud ke tootne par khud ko sambhala. Aur pure India ka naam roshan kiya. Ye Movie hame prerna deti hai agar hum sachche dil se ek baar kisi cheez ko chahe le. To har cheez hum paa sakte hai.

M.S Dhoni Dialogue Motivational movie in Hindi

“Mujhe yakeen hai sirf shehar chote hote hai,

…Wahan ke log aur unke khwaab nahi”

8. Guru 

Ye film Dhirubhai Ambani ke jiwan par aadharit hai. Jise Abhishek bachchan dwara filmaya gaya hai. Dhirubhai Ambani ki puri life inspirational rahi hai to unki ye movie bhi inspiration se bhari honi hi thi. 

Dusri aur ye film Director Mani Ratnam ji dwara direct ki gayi hai. Film me dikhaya gaya hai kaise Dhirubhai Ambani ne ek chote se business ko ek bade Empire me badla. 

Guru movie sabhi youngsters ko bada sochne, Hard work karke successful kaise bana ja sakta hai is baat ko badhawa deti hai.

Guru Inspirational movie Dialogue in Hindi

“Jab log tumhare khilaaf bolne lage…

Samajh Jao Tum tarakki kar rahe ho”

“Main baniya hun sahab … 

Sab kuch bahut sambhaal ke kharch karta hun”

9. Airlift

Ye film Kuwait me rehne wale ek business man Ranjit Katyal (Akshay Kumar) ki sachchi kahani hai. Jinhone Kuwait aur Iraq ke beech jang chid jaane par 1,70,000 hindustaniyon ki jaan bacha kar unhe desh ki dharti par wapas laaya tha.

Airlift 1990 ke Gulf war ko dikhati hai. Hindustanyon ko unke mulk wapas surakshit laana Bharat ke liye sabse badi uplabdhi thi.

Ye ek bhut hi jyada inspirational film hai. Jo Desh prem aur ek nek insan ko dikahti hai.

Airlift Movie best dialogue

“Galati pe tokna bahut aasaan kaam hai…

Par galati karne ki himmat rakhna bahut mushkil”

10. Iqbal

Iqbal ek kisan ke bete ki kahani hai. Jo cricket ka diwana hai. Waise to Iqbal gunga aur behra hai. Lekin uski physical disability uske junun aur sapno ke beech nahi aati. Aur kadi mehnat aur discipline se wo apni manjil paa leta hai.

Is film se hume ye seekh milti hai. Agar hamare sapne sach me bade hai aur unhe pura rakhne ka hum hausla rakhte hai. To koi bhi cheez un sapno ko pura karne se hume nahi rok sakti.

Iqbal Hindi Motivational Movie Dialogue

“Yeh dimag ka khel hai..

Jo dil se khela jata hai”

Conclusion

Friends, Umeed karte hai post aapko jarur pasand aayi hogi. Aur kuch na kuch Motivation jarur mila hoga. Agar aapki bhi koi aesi Motivational movie download in Hindi, Motivational movies in Hindi dubbed, motivational movies ki list hai jisne aapki life me kuch changes kiya hai to comment me jarur bataye. 

Ye thi 10 Best Hindi Motivational Movies, Motivational movies Bollywood ki list. Aane wali post me hum aesi hi motivational cheezo ke baare me batate rahenge. Latest updates ke liye blog ke Notifications ON jarur kare.

Post pasand aaya to Facebook aur Twitter par share karke apna support jarur de.❤️

Aesi jankari future me paane ke liye aap hume Facebook Page par bhi Follow kar sakte hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi Padhe:- 

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

2 thoughts on “10 Best Hindi Motivational Movies – Jo Aapko Dekhni Chahiye”

Leave a Comment