Google Ki Language Kaise Change Kare | Chrome Language Badle?

Google Ki Language Kaise Change Kare – Friends, Jaisa ki aap sab jaante hai Google chrome sabse jyada popular browser hai. Jyadatar log searches karte time chrome ka hi use karte hai. Google ka product hone ki wajah se ye bhut hi jyada secure aur fast browser hai.

Google Chrome ka use hum apni bhasha me bhi kar sakte hai. Aaj is post me hum baat karenge Google me language kaise change kare (Chrome me language kaise change kare), Google chrome language settings.

Google ki language kaise change kare

Jaise ki normally log English bhasha me hi chrome ko upyog karte hai. Iska reason ye bhi ho sakta hai woh log English me hi Google chrome browser use karne me comfortable hai.

Dusra reason, Ye bhi ho sakta hai ke woh nahi jante ke chrome ko apni bhasha me bhi use kiya ja sakta hai. Chrome browser me By Default English bhasha set hoti hai. But isko hum dusri languages me bhi use kar sakte hai. Google chrome browser me bhut saari languages available hai. Aap apni sahuliyat ke hisab se bhasha ka chunav kar sakte hai.

India me aap Hindi, Marathi, Punjabi, Bangla, Odia, Gujrati in sab languages ka use kar sakte hai. To chaliye ab jante hai How to change language in google chrome (Google chrome me language kaise change kare), Google chrome language settings.

Google Ki Language Kaise Change Kare (Google Ki Bhasha Kaise Badle?)

Google Chrome browser me aap bhut hi simple tarike se apni language badal sakte hai. Maine nichey Step by Step bataya hai. Jisse aap kuch hi seconds me bhasha change kar sakte hai.

Aap chahe to apne smart phone me bhi in steps ko follow karke Default chrome language badal sakte hai.

Chrome Ki Language Kaise Change Kare

  • Step 1. Sabse pehle apne Computer ya Laptop me chrome browser open kijiye.
  • Step 2. Google chrome language settings karne ke liye, Browser ke Top Right hand side par “3 Dots yani Bindu” par click kare.
Google chrome main Setting option

  • Step 3. Dots par click karte hi aapke samne ek pop up box show hoga. Wahan “Settings” par click kare.
  • Step 4. Aapke samne ab ek naya page open ho jayega. Wahan scroll down karna hai aur nichey aana hai. Ab aapko “Advanced” option dikhega us par click kare.
Advanced button

  • Step 5. Jaise hi aap Advanced option par click karenge aapke samne bhut saare options aajayenge. Aapko scroll down karna hai aur nichey “Language” option par Jaana hai.
Languages option

  • Step 6. Language option par click karne ke baad Google chrome language settings me English Default language show hogi. Language change karne ke liye drop down button par click kare uske bad apne hisab se bhasha select kare. Select karne ke liye “Add languages” par click kare.
Drop Down button
  • Step 7. Add languages par click karte hi aapke samne ek pop up window open ho jayegi. Wahan aap apni pasandida bhasha ko search kare ya phir drop down karke bhi bhasha select kar sakte hai. Jo bhasha select karna chahte hai uske samne check box par click kare. Phir “Add button” par click karde.
Add Language
  • Step 8. Ab aapki chuni hui bhasha chrome language me add ho chuki hai. Ise Default language set karne ke liye jo bhasha aapne select ki hai uske samne “3 bindu” par click kare.
  • Step 9. Ab “Display Google Chrome in this Language” ke samne jo check box hai usey tick kare.
Display Google Chrome in this language
  • Step 10. “Relaunch button” par click kare. Relaunch hone me kuch seconds ka time lag sakta hai. Ab aapki language select ki hui bhasha me badal jayegi.
Relaunch

Google Chrome me Add ki hui language ko kaise Remove kare?

Jaisa ki humne uppar baat ki aap default language ko change kar sakte hai aur apni pasand ki hui bhasha ko add kar sakte hai.

Ab aapko ye btade ke agar galti se aapse koi dusri language select ho jaati hai to use kaise browser se hataye.

  • Step 1. Uppar diye hue steps ko follow karte hue aap jab language add kar lete hai to Jo bhi language aapne select ki hai uske same “3 bindu” par click kare.
  • Step 2. Jaise hi aap Bindu par click karenge aapke samne choti si ek window open hogi. Wahan “Remove” option par click karke aap select ki hui language delete kar sakte hai.
Remove Selected Language

Google Chrome ki language kaise change kare iske liye neeche di gayi video bhi dekh sakte hai:-

Conclusion

Is post se aap achchi tarah samajh gaye honge Google ki language kaise badle, Google ki language kaise change karen aur Google par language kaise change kare. Agar aapka is post se related koi bhi sawal hai to aap hume comment karke bta sakte hai.

Aage bhi hum aesi jankari share karte rahenge, Iske liye aap is blog ko regular visit karte rahiye.

Aesi jankari future me paane ke liye aap Humara Facebook Page bhi Follow kar sakte hain.

Swast Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:- 

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

2 thoughts on “Google Ki Language Kaise Change Kare | Chrome Language Badle?”

Leave a Comment