Google History Kaise Delete Kare | My Activity Delete Kaise Kare?

Aap Google par jo bhi search karte hai woh aapki history me save ho jata hai. Aaj hum aapko Google History Kaise Delete Kare is baare mei janakari denge. Jisse aap aasani se Google history delete kar sakte hain.

Jaisa ki aap sab jante hai Google duniya ka sabse jyada popular search engine hai. Jyadatar log Google aur uski baaki services jaise ki YouTube, Google Maps, News ya phir Gmail ka use karte hi hai. Aur jo bhi hum log Google ki services me search karte hai woh data history me save ho jata hai.

Search history se matlab hai Maan lijiye aapne YouTube par kisi bhi cheez se related koi video search ki to YouTube history Google account me save ho jayegi aapne kis date ko kya searches kiye. Aur aesa sirf YouTube ke liye hi nahi Google ki koi bhi service aap use karte hai sabki history Google account me save ho jati hai.

Google humari activity ko kyon save karta hai kabhi socha hai aapne? Agar aap jante hai to bhut achchi bat hai agar nahi jante to chaliye yahan aapko bata dete hai.

Humari activity ka data isliye save kiya jata hai jisse hamari activity aur searches ke according hume result dikhaye ja sake.

Jaisa ki aapne notice kiya hoga YouTube par aap jis bhi topic se related video dekhte hai usse related Ads aapko dikhaye jaate hai aur suggestion me waisi hi video aapko dikhayi deti hai.

But agar aap privacy banaye rakhna chahte hai to aap aasani se Google search history ko delete bhi kar sakte hai. Aur settings bhi kar sakte hai jisse aapki activity Google ki history me save na ho sake.

To chaliye jante hai How to Delete Google History in Hindi.

Google History kaise Delete kare?

How to Clear Google History

Google history delete karne ke 2 tarike hai maine nichey dono tariko ke baare me Step by Step bataya hai aap apni sahuliyat ke hisab se kisi ka bhi istemal kar sakte hai.

Method 1:- Google History Delete Kaise Kare

How to Delete Google history
  • Step 2. myactivity.google.com open hone ke bad apne Google account ko Log In kare. Log In karne ke liye “Sign In” par click kare. Jaise nichey screen shot me dikhaya gaya hai.
Click on Sign In For Delete Google history
  • Step 3. Sign In karne ke baad aapke samne aapki activity ki saari details aajayengi. Aap yahan se apni Google history ko check kar sakte hai.
  • Step 4. Agar aap apni koi bhi Google activity ko delete karna chahte hai to aap “3 Dots (Bindu)” par click kare aur uske bad delete par click karde. Nichey screenshot me jaisa dikhaya gaya hai waise hi kare. Ab aapne jis bhi din ki history delete ki hogi ho woh Google search history se clear ho jayegi.
Google History Kaise Delete Kare
  • Step 5. Step 4 me aapko ek time ki history delete karna bataya gaya hai. Agar aap ek time me bhut saari yani ki Multiple history clear karna chahte hai to aap right side me top me 3 Dots par click kare. Uske bad “Select” par click kare.
Delete Multiple history

Ab aap ek sath bhut saari history ko select kar sakte hai aur apne hisab se jis bhi search history ko delete karna chahte hai kar sakte hai. Jis bhi history ko delete karna hai uske samne bane check box par tick kare. Aur Delete karne ke liye uppar jo “Delete” ka icon bana hai us par click karde. Nichey screenshot ki tarah.

For Multiple History Click on Delete

Delete icon par click karte hi aapke samne ek pop up box open hoga wahan “Delete” par click karde. Jaise nichey dikhaya gaya hai.

Click on Delete for Google History
  • Step 6. Uppar Step 5 me humne baat ki ek bar me hum multiple search history ko kaise delete kar sakte hai. Ab janenge ek baar me saari history kaise clear kare.
Delete activity by

Left side options me “Delete Activity By” par click kare ya phir uppar bane 3 Dots par click kare aur wahan “Delete Activity By” par jaaye.

Ab aapke samne jo new page open hoga wahan options me.

1. Delete by Date me ALL TIME
2. ALL PRODUCTS Select kare (Products me aap apne hisab se select kar sakte hai).
3. Delete par click kare

Select Details for Delete Google History

Delete par click karte hi aapke samne ek pop up box open hoga wahan “Delete” par click kare.

Aese aap aasani se Google search history delete kar sakte hai.

Method 2:- Google ki History Kaise Delete Kare

  • Step 1. Sabse pehle aapko Google par jana hai. Uske bad aapke samne Google ka home page open hoga.
  • Step 2. Aapko right side par niche 3 options dikhenge usme se “Settings” par click kare.
  • Step 3. Settings par click karte hi aapko kuch options dikhenge usme se “History” par click kare.
  • Step 4. Agar apne Google account me Log In nahi kiya hua hai to ye aapko Sign In karne ke liye kahega. “Sign In” par click kare.
  • Step 5. Ab aapke samne left side me bhut se options aajayenge “Data & personalization” par click kare. Uske bad jo page open hoga usko scroll down kare Activity aur timeline me “My activity” par click kare. Jaise nichey screen shot me diya gaya hai.

How to clear Google history in Hindi

  • Step 6. Ab aap uppar 1st Method me bataye gaye steps ko follow karke Google search history delete kar sakte hai. Baki ka procedure same hi rahega.

Google Search History Disable kaise kare (How to Disable Google search History)

Google history ko save hone se rokne ke liye Right side me top par bane “3 Dots” par click kare. Ab jo options aayenge usme se “Activity controls” par click kare. Ya phir left side me diye gaye options me se Activity controls par jaaye.

Disable Google Search History

Ab aapke samne Activity controls ka page open hoga. Yahan aap kisi bhi search history ko save hone se rok sakte hai. Jis bhi history ko aap save nahi rakhna chahte uske samne wale button ko disable karde. Jaise nichey screenshot me dikhaya gaya hai.

Click on Disable for Google Search History

Ab aapke samne jo pop up box khulega wahan “pause” par click kare. Ab Google account me aapki search history store nahi ho payegi.

Chrome Browser History Delete Kaise Kare (How to Delete Chrome History)

Jaisa ki uppar humne abhi tak baat ki “Google se search history kaise delete kare” ab baat karenge Google chrome browser ki history kaise delete kare (How to Delete Chrome History). Dono me antar yahi hai My activity me aap Google ke kisi bhi product ki history ko delete kar sakte hai.

Aur chrome browser me aap Google chrome par kiye gaye searches ko hi delete kar sakte hai. Chaliye dekhte hai kaise.

Google chrome browser ki history ko aap kayi tariko se delete kar sakte hai. Yahan maine sabse simple 2 tariko ke baare me Step by Step bataya hai.

Method 1:- Chrome Browser History Delete Karne Ka Tarika:-
  • Step 2. Apne keyboard me (Ctrl+Shift+Delete) press kijiye. Ab aapke samne ek pop up window open ho jayegi. Yahan browsing history ke samne bane check box par tick karke “Clear data” par click kar dijiye. Aap yahan time range bhi select kar sakte hai.
  • Last hour:- Isko select karke aap last ghante me save hui history ko delete kar sakte hai.
  • Last 24 Hours:- Yahan aap pichle 24 ghante ki history ko delete kar sakte hai.
  • Last 7 Days:- Yahan aap pichle 7 hafto me save hui history ko delete kar sakte hai.
  • Last 4 Weeks:- Isko select karke aap last 4 hafto ki browsing history delete kar sakte hai.
  • All Time:- Is option ko select karke abhi tak jitni bar bhi aapne Google chrome browser me searches kiye hai woh saari history aap delete kar sakte hai.

Nichey screenshot me aap dekh sakte hai.

How to Delete Chrome history in Hindi

Method 2:- How to Delete Chrome History:-

  • Step 1. Sabse pehle apne Computer ya phir Laptop me Google Chrome Browser open kar lijiye.
  • Step 2. Right hand top par bane 3 Dots (Bindu) par click kijiye.
  • Step 3. Ab aapke samne kaafi saare options aayenge. Yahan “History” par mouse ka cursor le jaaye. Ab aapke samne left side me ek box open hoga jaise nichey screen shot me dikhaya gaya hai. Wahan History (Ctrl+H) ke uppar click kar dijiye.

Clear Chrome Browsing History in Hindi
  • Step 4. Ab aapke samne aapki browsing history aa jayegi. Jis bhi history ko aap delete karna chahte hai uske samne bane check box par tick karke Uppar aarahe icon “Delete” par click kijiye. Ya jo searches aapne kiye hai unke samne 3 Dots bane hai wahan click karke “Remove from history” par click kar dijiye.

Clear Google chrome browser History

Ya phir aap left side me “Clear browsing data” option par click karke uppar 1st Method me bataye gaye steps ko follow karke browsing history ko delete kar sakte hai.

In 2 steps ko follow karke aap aasani se Chrome browser ki history ko delete kar sakte hai.

Conclusion

Maine aaj aapko Google search delete kaise kare, Google se history kaise delete kare aur Chrome browser ki history kaise delete kare (How to Delete Chrome History) ke baare me bataya hai. Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke jarur bataye.

Post pasand aaya to social sites par share karna na bhoole.

Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

Leave a Comment