Gmail id Kaise Banaye Mobile Se – Internet ki duniya me jyadatar kaam Google ya phir uski services dwara hi hota hai. Jaise YouTube, Google Drive, Google Map, Email service ya phir agar aap Android phone chalate hai to uske liye bhi Gmail account hona jaruri hai. Aaj hum isi baare me baat karenge Google par New email account banana hai to kya kare.
Waise to Email account banane ke liye aapko bhut saari websites mil jayengi jahan koi bhi person free me apni email id create kar sakta hai. Jaise ki Gmail, Yahoo, Rediffmail. But inme se sabse jyada popular hai Google ki service Gmail.
Jiske dwara aap Android phone me aasani se koi bhi App chala sakte hahi, Online shopping sites par account bana sakte hai. Aur kisi ko bhi mail ke dwara koi bhi message, document send aur receive kar sakte hai.
Is post me hum Gmail account new kaise banaye, Gmail par account banana sikhenge. Jiske liye maine yahan Google chrome browser ka use kiya hai. Agar aap koi aur browser use karte hai to ho sakta hai uska interface thoda alag ho.
Gmail id Kaise Banaye?
Gmail id create karna kuch hi steps ka kaam hai, Aap bhut aasani se Gmail account bana sakte hai. Aur ek Gmail account se aap Google ki sabhi services ka use kar sakte hai. Aapko alag-alag account banane ki jarurat nahi hai.
PC Se Gmail id Kaise Banaye (How to make Email id in Hindi)
- Step 1. Gmail Par Sign Up kare
Waise to Aap kisi bhi browser ka istemal kar sakte hai. But maine yahan chrome browser ka use kiya hai. Sabse pehle aap apne computer ya laptop me is link ko open kar lijiye Create New Gmail Account ab aapke samne nichey screenshot me jo page open hai waisa page open hoga.
- Step 2. Gmail id ke liye Details Fill Kare
1. Enter First and Last Name:- Ab jo page open hua hai is page me aapko apna FIRST aur LAST NAME fill karna hai. Jaise mera full name Nargis Praveen hai to First name Nargis aur Last name Praveen hoga.
2. Choose Username:- Ab aapko user name choose karna hai. Jo username aap select karenge woh hi aapka Gmail account hoga. Google ke har Gmail account holder ko ek unique username milta hai.
Agar aap aesa username select karte hai jo already kisi ne choose kiya hua hai to aapko koi different username lena hoga. Aap di hui suggestions ke hisab se bhi select kar sakte hai. Maine uppar screenshot me highlight bhi kiya hai.
- Step 3. Password Create Kare
Username choose karne ke bad aapko password create karna hai. Password ka istemal aapko Gmail account login karte time karna hoga. Strong password create kare jo aapko dhyan rahe aur password kisi ke bhi sath share na kare. Otherwise aapke Gmail account ka galat istemal bhi ho sakta hai.
Google ne user ki security ko strong karne ke liye password create karte time kuch restriction rakhi hai. Jaise ki:-
1. Password create karte time Uppercase Alphabet ka use kare.
2. Lowercase Alphabet ka bhi use kare.
3. Special character ka use kare jaise ki (#&@%*)
4. Password ki length 8 character se jyada ki honi chahiye.
Ab aapko dubara se apna password enter karke use confirm karna hoga. Jisse ye surety ho jaaye ke aapna galat password to nahi dala hai. Dono jagah sahi password enter karne ke bad “Next” par click kare.
- Step 4. Personal details Enter Kare
Ab aapko apni baaki personal details enter karni hai Jaise ki Mobile number, Recovery Email Address, Birthday, Gender etc. Uske bad “Next” par click kare.
- Step 5. Terms & Conditions Accept Kare
Ab “Terms & Conditions” ka page open hoga. Sabhi Terms & Conditions read karne ke bad “I Agree” par click karde.
Step 6. Gmail id Ban Gayi Hai
Ab Aapka account create ho chuka hai Gmail inbox link se aap direct apne inbox ka use kar sakte hai.
Gmail id Kaise Banaye Mobile Se (क्रिएट न्यू ईमेल अकाउंट)
Aap chahe to mobile me chrome browser ya phir App ke dwara bhi Gmail id bana sakte hai. Maine yahan aapko chrome browser ke dwara gmail id create karna bataya hai.
New Gmail account create karna hai to uske liye neeche diye gaye steps follow kare:-
- Step 1. Open Gmail
Mobile me Create Google account search kare ya phir direct is link ko open kare Create New Google Account
- Step 2. Fill Details
Ab aapke samne uppar diye gaye screenshot ki tarah page open hoga. Wahan details fill kare. First & Last name, Username create kare jaise uppar steps me aapko bataya gaya hai, Uske bad strong password create kare phir confirm karke “Next” par click kare.
- Step 3. Enter Phone number
Phone number enter kare jo bhi aap use karte hai. phir “Next” par click kare.
- Step 4. Enter Verification code
Ab aapke registered number par ek six digit ka verification code aayega. Code ko enter kare aur “Verify” par click kare.
- Step 5. Fill Other Details
Ab Aapke samne new page open hoga wahan jo bhi details hai unhe sahi dhangse fill kare. Recovery email address, Aapka Date of Birth, Gender Uske bad “Next” par click kare.
- Step 6. Skip Option
Ab jo new page aapke samne open hua hai wahan “Skip” par click kare.
- Step 7. Agree Terms & Conditions
Ab Terms & Conditions page me “I Agree” par click kare
- Step 8. Gmail id Create Ho Chuki Hai
Ab Aapki Gmail id mobile ke dwara create ho chuki hai. Aap ab email id ko use me le sakte hai.
Gmail id banane ke liye aap neeche di gayi video ko bhi dekh sakte hai. Yahan humne Computer/Laptop/Mobile ki help se Gmail id create karna bataya hai.
Conclusion
Friends, Is post se aap Gmail id kaise banaye Mobile Se, Gmail account kaise banaye, New email id create karna hai to kya kare, New gmail account banana hai to kya kare, Gmail new account open Hindi, क्रिएट न्यू ईमेल अकाउंट ke baare me jaan hi gaye honge. Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai to aap comment karke bata sakte hai.
Aage bhi hum Internet se judi jaruri jankari share karte rahenge. Post pasand aaya to social sites par jarur share kare aur aese hi apna support dete rahe.
Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-