Difference Between Gmail and Email in Hindi – Friends, Aaj ke samay me jyadatar log internet ka use karte hai. Chahe wo computer me ho ya phir mobile phone me. Lekin abhi bhi bhut se aese log hai jinhe Email aur Gmail me kya antar hota hai is baat ko lekar confusion rehti hai.
Aaj is post me hum aapko detail me batayenge Gmail aur Email me kya antar hai (Difference between Email and Gmail in Hindi). Jisse aapki saari confusion clear ho jayegi. Complete information ke liye post ko last tak padhe.
Gmail Aur Email Me Kya Antar Hai? (Difference Between Gmail And Email in Hindi)

In dono ke beech kya difference hai janne ke liye hume sabse pehle ye janna hoga Gmail Kya hai (What is Gmail in Hindi) aur Email kya hai (What is Email in Hindi).
Gmail aur Email dono ke baare me janne ke baad aap achche se in dono ke beech ka antar samajh jayenge.
Email kya hai (What is Email in Hindi)
Email yani ki electronic mail. Jaise hum purane jamane me ek dusre se contact karne ke liye khat bheja karte the. Waise hi aaj ke time me hum internet ki madad se kisi se baat ya business deal ke silsile me discuss karne ke liye email ka use karte hai. Is baat cheet karne ki prakariya ko hi email kaha jata hai.
Technology ki wajah se hum email ke zariye kisi ko kuch bhi type karke bhej sakte hai sath hi video, photo ya phir kisi bhi tarah ka koi document send kar sakte hai.
Gmail Kya hai (What is Gmail in Hindi)
Gmail Google ki ek service hai Jiske madhyam se aap email bhej sakte hai. Online letter likh kar bhejne ke process ko email kehte hai.
Jabke Gmail ek post office ki tarah kaam karta hai. Jaise humne khat likha ye email ho gaya. Lekin khat ko ek jagah se dusri jagah bhejne ke liye post office ki jarurat padhti hai. Same waise hi email ko bhejne ke liye ek online service ki jarurat padhti hai. Jise Gmail kehte hai.
Aesa nahi hai ke kewal Gmail hi email bhejne ki service deta hai. Iske alawa Hotmail, Rediff mail, Yahoo mail, Outlook ka bhi use karke aap email bhej sakte hai.
Agar aap Android phone use karte hai ya kisi company me job karne ki soch rahe hai to aapko Gmail id ke baare me pata hona bhut jaruri hai.
Kyonki Android phone use karne ke liye aapke pass Gmail id honi jaruri hai. Aur kisi company me kaam karne ke liye aapko pata hone chahiye Gmail kaise use karte hai.
Gmail id Kaise Chalaye?
Gmail id ko chalana bhut hi aasan kaam hai. Bus sabse pehle aapko Gmail par account bana lena hai.
Gmail account bann jane ke baad jaise hi aap ise open karenge, Aapko left side me bhut saare options dikhenge. Jinme se humne jyadatar use hone wale options ke baare me neeche detail me bataya hai.
- Compose:- Sabse pehla option aapko compose ka dikhega. Jiske samne Plus ka sign hoga. Iska use kisi ko mail likhne ke liye hota hai. Compose par click karke aap kisi ko bhi mail bhej sakte hai.
Note:- Mobile App me aapko mail banane ke liye “Pencil” icon par click karna hai.
Jaise hi aap “Compose” par click karenge aapke samne ek window open hogi. Jahan aapko “To” ke samne us person ki email id enter karni hai. Jise aap mail bhejna chahte hai.

Uske bad “Subject” me mail kis baare me hai short me likhe. Aur neeche di gayi jagah me apna mail type karke “Send” button par click kare.
Is tarah aap kisi ko bhi aasani se email bhej sakte hai.
- Inbox:- Is option me aapko woh sabhi mails milengi jo aapko kisi aur dwara bheji gayi hongi.
- Starred:- Is option ki help se aap apni sabhi jaruri emails ko star mark de kar unhe important mails ki category me daal sakte hai. Starred mark dene ke liye emails ke aage bane “Star” icon par click kare. Start mark dete hi aapki mail starred wale option me chali jayegi. Jise aap jarurat padne par aasani se dekh sakte hai.
- Send:- Yahan aapke dwara send ki gayi mail aapko dikhengi.
- Drafts:- Jo mail aap banate hai Lekin send nahi karte wo drafts wale option me save ho jati hai.
- All Mail:- Yahan aapko sabhi mails dekhne ko mil jati hai.
- Trash:- Aapke dwara delete ki gayi emails Trash me chali jati hai.
- Spam:- Yahan jyadatar promotional ya phir spammy mails aapko dekhne ko milti hai.
- Settings:- Agar aapko kisi bhi trah ki settings karni hai to aap “Settings” ke option par jake kar sakte hai. Settings option ke liye right hand top me bane “Gear” icon par click kare.
Ye kuch basics the Gmail ke jo aapko shuruaati samay me pata hone chahiye.
Conclusion
So Friends, Umeed karte hai aapko achche se samajh aagaya hoga Email aur Gmail me kya antar hai (Difference between Email and Gmail in Hindi).
Post se juda aapka koi bhi sawal hai ya aap kuch suggestion dena chahte hai to comment karke jarur bataye. Yahan hum aesi jankari share karte rehte hai. Latest updates paane ke liye is blog ke notifications ON karna na bhoole.
Post informative laga to social networking sites par share karke baki logo ki help jarur kare.
Internet se judi jankari ke liye aap mujhe Facebook page par bhi Follow kar sakte hain. Yahan aapko aese updates ka notification sabse pehle milta hai.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi Padhe:-