Computer Se Email Kaise Bheje – Email aaj ke time me ek bhut jaruri cheez ho gayi hai. Agar aapko kisi ko koi important document bhejna hai ya kisi cheez ke liye online apply karna hai ya phir interview ke liye gaye hai. To aapke pass ek email id hona bahut jaruri hai.
Kisi ko bhi email bhejne ke liye aapko ye pata hona chahiye aakhir email bhejte kaise hai, Email karne ka tarika kya hai ityadi.
Is post me hum aaj aapko apne computer aur mobile phone se mail karne ka tarika batane wale hai, Email kaise banaye, Email kaise dekhe Sabhi cheezo ke baare me humne jankari share ki hai.
Mail bhejne ke liye aapke pass ek email id honi chahiye. Agar aapne email id banai hui hai to bhut achchi baat hai nahi hai to aap is post ko padhkar Gmail id kaise banaye Ek naya gmail account bana sakte hai.
Computer Se Email Kaise Bheje (How To Send Email In Hindi)
Is post me hum aapko Gmail id se email kaise bhejte hai ye batayenge. Puri jankari ke liye post ko last tak jarur padhe.
Computer/Laptop se Email kaise bheje (Computer Se Email Kaise Bhejte Hain)
Kisi ko email kaise bheje maine neeche Step by Step detail me bataya hai:-
- Step 1. Sabse pehle apne computer ya phir laptop me Gmail.com par Login kare.
- Step 2. Login karne ke bad Left side top me bane “Compose” ke button par click kare.
- Step 3. Ab aapke samne ek new window open hogi. Jaise Neeche diye screenshot me dikhahi gayi hai.
To:- Is option me aapko us person ka email address dalna hai jise aap mail bhejna chahte hai.
Subject:- Mail jis baare me hai yahan aapko woh mention karna hai (Example:- CV, Assignments).
Blank section:- Yahan aapko woh sabhi cheeze likhni hai. Jo aap batana chahte hai.
Email se document kaise bheje – Agar mail ke sath koi document, photo, file, video kuch bhi send karna chahte hai. To “Attach file” icon par click kare.
Mail sahi tarike se likhne ke bad “Send” button par click kare. Is tarah aap aasani se kisi bhi person ko email send kar sakte hai. Bus uske liye aapke pas us person ka email account hona jaruri hai.
Aapke dwara bheji gayi mail successfully send hui ya nahi check karne ke liye left side me diye gaye options me se “Sent” par click kare. Yahan aapko woh sabhi emails milengi jo aapne send ki hongi.
Note:- Agar aapko kisi ne mail ki hai woh aap dekhna chahte hai to “Inbox” me jakar dekh sakte hai.
Email Kaise Bheje Mobile Se (Email Send Karne Ka Tarika)
Mobile se email bhejna bhut hi jyada aasan kaam hai. Aur agar aap ek android user hai to Gmail App by default aapke phone me aapko mil jata hai.
Mobile se email bhejne ke liye bus aapko neeche diye gaye kuch steps ko follow karna hai.
- Step 1. Sabse pehle apne phone me Gmail App open kare.
- Step 2. Yahan already aapka account login rehta hai. To aapko login karne ki jarurat nahi padti.
- Step 3. App open karne ke bad Right side bottom yani ke neeche ki taraf bane “Plus+” ke icon par click kare.
- Step 4. Ab aapke samne new page open hoga. Yahan aapko details fill karni hai.
- From:- Yahan already aapki email id mention hoti hai.
- To:- Yahan aapko us person ki email id dalni hai. Jisko aap email bhejna chahte hai.
- Subject:- Yahan aapko apna vishya batana hai. Email kis baare me hai.
- Compose email:- Yahan aapko jo bhi likhna hai. Jis bhi baare me aap us vyakti ko batana chahte hai. Woh sabhi cheeze yahan type kare.
- Koi file, photo, video, document bhejna chahte hai to right side top me bane “Attach” icon par click karke. File attach kare.
- Sabhi cheeze add karne ke bad attach ke bad bane “Triangle” icon par click karke mail send kare.
Friends, Dekha aapne kitna simple kaam hai mail bhejna.
Aap Chahe to Neeche di gayi video ko bhi dekh sakte hai. Yahan maine Computer/Mobile me mail kaise karte hai dono tarike bataye hain:-
Conclusion
Is post me maine aapko Mail karne ka tarika bataya hai Computer se Email kaise bheje, Computer me mail kaise karte hai, Mail kaise bheje Mobile se, Email bhejne ka tarika kya hai. Aasha karte hai ab aapko email kaise banaye is baat ki kabhi tension nahi rahegi.
Post se juda aapka koi bhi sawal hai ya aap humse kuch kehna chahte hai. To comment box me comment karke aapna vichar jarur share kare. Yahan hum aesi behterin jankari share karte rehte hai.
Post pasand aaya ya aapki isse kuch help hui to friends apne baaki dosto ke sath bhi ise social networking sites par share kare. Aur apna pyar aur support dete rahe.
Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-
Hello, I enjoy reading through your article post.
I like to write a little comment to support you.
Thanks Buddy.
Very nice article you have shared
Thanks Dear.