Awesome Interview With Mangesh Bhardwaj (Backbone of Blogging QNA)

Interview With BloggingQNA Mangesh Bhardwaj – Hello Friends, Is blog par aapka swagat hai. Mera naam hai Nargis Praveen (Founder of hindiblogginghub.com). Aaj hum is blog par Mangesh kumar Bhardwaj ji ka interview lene wale hai. Agar aap Blogging field se hai to aapne inka naam suna hi hoga.

Agar aap blogging field me naye hai to chinta ki koi baat nahi hai. Aaj is interview se aapko bhut kuch seekhne ko milega. Jo ki aapki Blogging ya phir YouTube journey me aage badhne me help karega.

To chaliye friends, Mangesh ji se kuch helpful Tips or Secret jante hain.

Interview Start with Founder of Blogging QnA

Interview with Blogging QNA Mangesh Bhardwaj
Interview With BloggingQNA Mangesh Bhardwaj

Q:- Mangesh Kumar Bhardwaj Kon Hai or Kya Karte Hai? (Only For Newbies)

A:- Hello Everyone, Mera naam Mangesh Kumar Bhardwaj hai main 24 saal ka hu or main ek full time Blogger, YouTuber and Affiliate Marketer hu. Iske alawa main kuch micro niche blog bhi run karta hu or mera ek Facebook group or Telegram group bhi hai jisme abhi 4.66K+ subscribers hai.

Q:- Blogging or YouTube Se Pehle Kya Karte The?

A:- Blogging or Youtube se Pehle main job karta tha. Maine almost 1.5 Year job ki hai apni graduation complete karne ke baad.

Q:- Kya Blogging Ke Liye Aapne Koi Course Kiya Hai?

A:- Nahi Maine koi bhi course ya institute join nahi kiya tha. Bus apne college ke second year me ek choti si internship kari thi Digital Marketing me. Usse mujhe sirf pta chla tha tha blogging bhi kuch hota hai. Uske baad maine sab YouTube or Google se seekha. Usey apne blogs pe implement kiya and kafi baar fail hone ke baad kafi cheeje seekhi or bus aise hi aage work karta raha.

Q:- Blogging or YouTube Me Se Jyada Better Kya Hai?

A:- Mujhe Youtube pe jyada better lagta hai kyuki video banane me mujhe mazaa aata hai. Baki aaj ke time me log video ko thoda jyada consume karte hai as compared to blogging. But aisa nahi hai ki blogging better nhi hai. Dono ki apni apni value hai.

Q:- AdSense vs Affiliate Marketing vs Freelancing

A:- Main yha par kisi ko best nhi boluga. Depend krta hai ki aapke liye konsa best work krta hai. Jiske liye jo best work kare uske liye wo best hai. Mere case me meri majority of earning AdSense se hai and then Affiliate marketing se. Freelancing maine starting me sirf kuch time ke liye ki thi or usse bhi acchi earning hui thi.

So depend krta hai.

Q:- Aapke Hisab Se Hindi/Hinglish/Regional Blog Ka Kya Future Hai?

A:- Definitely bhut bright future hai. Hindi blog, Hinglish blog bhut kum hai or dheere dheere increase ho rhe hai. Or aisa nhi hai ki Hindi ya Hinglish blog pe traffic nhi aata. Shoutmehindi, hindme.net aapke samne live example hai iske.

So inka future kafi bright hai. Agar aap english me comfortable nahi ho toh Hindi/Hinglish/Regional language me blog start kar skte hain.

Q:- New Blogger Ko Blogging Start Karte Time Sabse Jyada Kis Cheez Ka Dhayan Rakhna Chahiye?

A:- Sabse main point jo har newbie ko dhyaan rakhna chahiye wo ye ki blogging koi scheme nahi hai jisme aap raato raat ameer ho jaoge. Jis tarah aap school me 12 saal invest karke, College me 3 se 5 saal invest karke ek achchi job paate ho. Usi tarah blogging me bhi investment or patience bhut jaruri hai.

Agar dusro ka paisa dekh ke aap blogging me aaye ho toh blogging me aapko success milna kafi tuff hoga. So hamesha time invest karo cheeje seekho, implement karo. Failure milega or bhi kafi experiences milege jinse seekhne ke baad aapko sucess milegi.

Q:- New Blogger Ke Liye Kuch Helpful Tips & Secrets Bataye?

A:- Sabse badi tips yahi dunga ki un niche ya topic me mat jaao jahan sabhi log ja rhe hai. Us niche me kaam karo jisme aapka interest hai chahe competition kitna bhi ho. Agar interest wale niche me jaoge toh success milne ke chances aapke increase honge. Ye main apne personal experience se bol rha hu.

Q:- Aapke Total Kitne Blog Hai?

A:- Mere pass abhi 7+ blog hai jisme se kuch money making blog hai or kuch experimental blog hai.

Q:- Aapki Abhi Tak Ki Total Income Blogging or YouTube Se? (Just For Motivation For Newbies)

A:- Meri audience ki demand pe maine kafi baar apne earning proof dikhaye hai apne YouTube channel or Blog pe. latest earning or future earning proof dekhne ke liye aap mujhe instagram pe follow kar skte ho. Instagram Link

Here are some earning proof:-

Q:- Coronavirus Ki Wajah Se Aapke Kaam Par Kya Effect Pada Hai?

A:- Corona se mere hi nahi pure world par effect pada hai. Or Digital world par bhi effect pda hai. Meri adsense ki earning 50% decrease ho gayi thi and affiliate marketing me bhi decline aaya hai.

Conclusion:-

So friends, Umeed karte hain aapko Interview With BloggingQNA Mangesh Bhardwaj pasand aaya hoga or aapko Mangesh ji ke experince se bhut kuch seekhne ke liye bhi mila hoga.

Mangesh ji is blog par apna experience share karne ke liye aapka bhut bhut sukhriya.

Aage bhi hum aese hi Successful Blogger or YouTubers ka interview is blog par karne ki koshish karte rahenge.

Iske liye blog ke Notifications ON jarur kare, Jisse aapko latest updates ka notification mil sake.

Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

13 thoughts on “Awesome Interview With Mangesh Bhardwaj (Backbone of Blogging QNA)”

  1. Great,, рдмрд╣реБрдд рдмрдврд╝рд┐рдпрд╛ рдФрд░ рдЬрд╛рдирдХрд╛рд░реА рд╕реЗ рднрд░рд╛ рд╣реБрдЖ рдЗрдВрдЯрд░рд╡реНрдпреВ рд╣реИ рдиреНрдпреВ рд▓реЛрдЧреЛрдВ рдХреЗ рд▓рд┐рдП ?тЭдя╕П

    Reply

Leave a Comment