Valentine Day Kya Hota Hai | Valentine Day Kyu Manaya Jata Hai?

Valentine Day kya hota hai aur Valentine Day kyu manaya jata hai, Hello Dosto, Sabse pehle aapko Happy Valentine Day. Jaisa ki aap sab jante hi hai Valentine Day har saal 14 February ko manaya jata hai. Sab log apne apne tarike se pyar ki feeling ko ek dusre ke sath share karte hai.

Log apna rishta majboot banaye rakhne ke liye is din apne Partner, Dost, Family ke liye kuch na kuch special karne ki koshish karte hai. Jisse unka relation aur jyada gehra ho jaye. Yeh din zindagi ko aur bhi khaas banata hai. Aesa nahi hai baaki din khaas nahi hai. Lekin Jaise hum Festivals ko ek particular day celebrate karte hai.

Aur har festival ko celebrate karne ke piche koi na koi history judi hui hai. Same Waise hi is din ko Pyar ke din ke roop me manaya jata hai. Is post me hum aapko yahi batane wale hai Valentine Day kya hota hai, Valentine day kyu manate hai (History of Valentine day in Hindi), Valentine day par kya hota hai, Valentine Day kaise manaye aur Valentine day ko special kaise banaye.

Kaha jata hai Valentine day ki shuruaat kisi Sant Valentine ke naam par 14 February ko hui thi. Ye kahani Roman ke king aur Sant Valentine ki hai Jisne king ke order ko maanne se mana kar diya tha. Order ka palan na karne ki wajah se usko maut ki saja mili thi.

Marne se pehle Sant ne apne pyar ke liye ek khat likha tha. Jise aaj “Love letter” ke naam se bhi jana jata hai.

Isi Sant Valentine day ki yaad me Valentine day celebrate kiya jane laga. Lekin kya yeh pura sach hai? Chaliye aage iske baare me thoda aur detail me jante hai.

Valentine Day Kya Hota Hai?

Valentine day kya hota hai

Valentine Day 14 February ko celebrate kiya jane wala din hai. Jise duniya bhar ke log manate hai. Is din ki khasiyat ye hai premi aur premika is din ka badi be-sabri se intezar karte hai aur bade dhoom dham se ise manate hai.

Waise to ye English boli jane wali jyadatar countries me traditional day hai. But aaj ise duniya bhar ke sabhi log manate hai. Chaliye iske baare me thoda aur detail me baat karte hai.

Ye Bhi Padhe:-

Valentine day kyu manaya jata hai?

Teesri sadi, me kaha jata hai Valentine day ka naam Sant Valentine ke naam par rakha gaya tha. Us time me kayi santo ke naam Valentine the lekin usme se ek ka naam Sant Valentine tha. Us time Rome me Claudius naam ke raja ka shasan hua karta tha.

Ek bar Sant Valentine ki Claudius se baatchit hui Jahan unhe apna dharm chodkar Roman Paganism religion apnane ke liye kaha gaya tha. Unhone iske saaf inkaar kar diya aur Roman paganism dharm apnane ki jagah ulta Claudius ko hi Christian religion apnane ke liye keh diya.

Jo ki Claudius raja ko bilkul nagawar gujra aur unke dwara Sant Valentine ko maar diya gaya. Aesa kaha jata hai marne se pehle unhone ek khat (Love letter) apne pyar ke liye likha tha. Jo ki ek Jailor ki beti thi aur andhi hone par Valentine ne usko thik karne ka chamatkar kiya tha.

Dheere dheere unme dosti ho gayi aur phir pyar. Jis din unko maara gaya tha usdin 14 February ka din tha aur uske bad se is din ko Valentine day ke roop me manaya jaane laga. Valentine ke jaane ke baad sabhi paadri ise Holiday ke roop me manate the. Jabke aaj saari duniya ise pyar ka din maan kar celebrate karti hai.

History of Valentine Day in Hindi

Ye kahani Valentine day se koi mel nahi kha pa rahi thi na hi iska prem ke saath koi relation connect ho pa raha tha. To logo ne iske baare me bhut si kahaniya banani shuru kardi aur kuch samay baad Dant kathaao ne hi Valentine ke karan ki jagah le li.

Bani hi kahaniyo me se ek kahani bhut hi jyada popular hui jise aaj Valentine day celebrate karne ka main adhar maan liya gaya hai. Chaliye iske baare me thoda jaan lete hai.

Is kahani ke adhar par Valentine ko champion padri ke roop me dikhaya gaya hai. Jahan unhone Roman ke Raja ke aadesh ka palan karne se inkar kar diya tha. Kahani ke anusar Raja ne jawan ladko ko shadi karne se mana kara hua tha. Unka manna tha shadi ke baad ladke ghar grehasti ke chakkar me ulajh jaate hai.

Parivar ke baare me sochne lagte hai ke unke marne ke bad unka kya hoga. Jisse woh kamjor ho jaate hai. Roman ka Raja Claudius chahta tha uske paas jitne bhi sipahi ho saare takatvar ho jinhe kisi baat ki chinta na ho.

Isliye usne aesa aadesh diya jo ki Sant Valentine ko bilkul pasand nahi aaya aur unhone order ka palan na karte hue chori chippe jawan ladko ki shadi karwani shuru kardi.

Jiske baare me jald hi Raja ko khabar ho gayi aur unhone Valentine ko faansi ki saja suna di. Kaha jata hai Jis jail me unhe rakha gaya tha wahan Valentine apni faansi ki tarikh ka intejar kar rahe the.

Aur us jail me ek din ek Jailor aaya jiska naam Asterius tha uski beti andhi thi aur unhe Valentine ki divya shakti ke baare me pata laga ke woh logo ko rogo se mukt karne ki taakat rakhte hai aur bhut hi dayalu kism ke insan hai. Jailor ne unse madad maangi aur woh taiyar bhi ho gaye.

Valentine ne unki andhi beti ko thik kiya us dauran dono ki khub achi dosti ho gayi aur phir dosti pyar me badal gayi. Marne se pehle unhone apne pyar ke liye ek khat likha tha jisme unhone ye shabd likhe the.

From your Valentine, Matlab “Tumhare Valentine ke Dwara”

Tabse hi 14 February ko unki yaad me celebrate kiya jaane laga. Jabke is din ko bhut pehle se manaya jata hai. But ye kahani iski main wajah ban gayi hai aur ise ab isi najariye se dekha jata hai.

Valentine Day Kiske Saath Celebrate Kare?

  • Lover ke sath pyar majboot karne ke liye.
  • Apno ke sath rishta gehra karne ke liye.
  • Dosto ke sath friendship banaye rakhne ke liye.
  • Family ke sath aur jyada pyar se jude rehne ke liye.
  • Pets ke liye kuch khas karke unke prati apna pyar aur care dikhane ke liye.

Aasan bhasha me baat kare to jise aap apne dil ke kareeb samajhte hai. Jisse bhut pyar karte hai, jiski bhut care aur respect karte hai unke sath aap Valentine day ko celebrate karke apna aur unka din khas bana sakte hai. Chahe wo aapke partner, dost, family member ya phir aapke pets hi kyon na ho. Aakhir pyar to pyar hota hai chahe woh insaan se ho ya phir kisi janwar se.

Waise to Valentine Day se pehle kuch khas 7 se 8 din aur manaye jate hai. Jinhe mana kar aap Valentine Day ko aur khubsurat bana sakte hai.

Valentine Day se pehle jo din manaye jaate hai unki list neeche di gayi hai. Jise Valentine’ Day Date sheet bhi kaha jata hai:-

  1. 7 February:- Rose Day
  2. 8 February:- Propose Day
  3. 9 February:- Chocolate Day
  4. 10 February:- Teddy Day
  5. 11 February:- Promise Day
  6. 12 February:- Hug Day
  7. 13 February:- Kiss Day
  8. 14 February:- Valentine Day

Valentine Day Kaise Celebrate Karte Hai?
Happy Valentines Day in Hindi

Waise to Valentine day jyadatar log apne Lover ya phir partner ke sath manate hai. Is din ko aap kaafi saare tariko se khaas bana sakte hai Jinki list maine neeche share ki hai:-

  1. Apne Partner ko unke Favorite place par ghumane le jaaye.
  2. Partner ko unka pasandida gift de.
  3. Unko movie le jaaye.
  4. Partner ke liye special Dinner table book kare.
  5. Gift ke sath flowers de aur pyar bhara note likhe.
  6. Agar aap Husband/Wife hai to apne room ko partner ki pasand ke hisab se decorate kare.
  7. Partner ko us jagah le jaaye jahan aap first time mile the.
  8. Partner ke sath time spend karne ke sath sath guzre haseen palo ko yaad kare.
  9. Aap unke liye aesa kuch khaas kare jinse unhe special feel ho.
  10. Partner ka Valentine day special karne ke liye candle light Dinner par unki pasand ke song play karke unke sath dance kare aur unhe acha feel karwaye.

Har insan apne partner ke baare me ache se janta hai unhe kya pasand hai kya nahi. Aur woh kis cheez se khush hote hai. Unke liye aap aesa hi kuch khaas kare jinse unhe khushi ke sath special feel ho. Aur aapka rishta unke sath aur gehra ho jaaye.

Conclusion – Valentine’s day kyu manaya jata hai

Is post se aap samaj hi gaye honge Valentine day kya hota hai, Valentine day kyu manate hai (History of valentine day in Hindi kya hai), Valentine day ke din kya hota hai, Valentine day ka matlab kya hota hai.

Aage bhi hum Festival aur special day se related post share karte rahenge. Latest updates ke liye blog ke Notifications ON kar lijiye.

Agar aap bhi kisi se behad pyar karte hai to post ko uske sath jarur share kare aur Valentine day wale din kya hota hai use jarur bataye.❤️

Agar Aap mujhse Facebook par judna chahte hai to aap mera Facebook page follow kar sakte hain. Yahan aese sabhi updates ka notification sabse pehle milta hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Leave a Comment