Dussehra Par Nibandh Hindi Mein – Har saal October ke mahine me 9 din ke navratre pure hone ke baad Dusve din Dussehra manaye jata hai. Ye din burai par achchai ki jeet ka prateek hai.
Is tyohar ko manane ke piche kya karan hai aur is din Ravan ka putla banakar kyon jalaya jata hai. Ye sabhi baate har ek ko pata honi chahiye.
School me padh rahe students ko Dussehra par nibandh likhne ke liye kaha jata hai. Lekin jyadatar students ko iske baare me puri jankari nahi hoti ke kya likhe aur kaise likhe.
Aaj is post me hum aapko Dussehra Par Nibandh in Hindi, Dashara ka nibandh likhna bta rahe hai. Jisse aapko Dussehra celebration ke baare me sahi se jankari mil sakegi aur aapka gyan bhi badhega. To chaliye shuru karte hain.
Dussehra Par Nibandh Hindi Mein?
Dussehra Hindustan me manaye jane wale sabhi tyoharo me se ek bhut hi bada tyohar hai. Jise pure Bharat me badi dhoom dham aur harsh ullas ke sath manaya jata hai.
Yeh tyohar ashwin mahine ke shukal paksh me pure 10 din tak manaya jata hai. Logo ke vishwas anusar Durga devi ke 9 roop hai. Aur 9 din tak Durga devi ke un 9 roopo ki puja ki jati hai. Jise durga puja bhi kaha jata hai.
Bharat ke sabhi rajyo me Dussehra manane ki alag-alag prampraye aur tarike hai. 9 din ka upvaas karne ke bad 10ve din ek badi Ramleela ka ayojan kiya jata hai. Mela lagta hai jahan bachche aur bade khoob masti karte hai.
Ramleela me log Bhagwan Ram ke jivan ko natak ke roop me darshate hai. Akhir me Ravan ka putla jalake pathaako ki gunjti awaz ke sath Bhagwan Ram ki jeet ka jashan manaya jata jata.
Is saal Dusshera 12th October 2024 ko manaya jayega.
Ye bhi padhe:-
Long Essay On Dussehra In Hindi (Importance Of Dussehra)
Dussehra par nibandh 2024, Essay on dussehra in Hindi, Vijayadashmi par nibandh, Dussehra in Hindi, Information about dussehra in Hindi, Why do we celebrate dussehra, Ravan ko har sal kyon jalaya jata hai.
Vijaya dashmi ke naam se jane wala tyohar Dussehra har saal Diwali se 20 din pehle manaya jata hai. Dussehra hindu dharam ka bhut hi bada tyohar hai. Is tyohar ko bade harsh ullas ke sath manaya jata hai.
Dusshera burai par achchai ki jeet ko darshata hai. Bharat ke alag alag chetro me is tyohar ko manane ki prampara alag hai.
Vijayadashmi wale din se 9din pehle tak upvaas kiye jate hai. Durga mata ki puja ki jati hai. Kuch log pehle aur akhiri din ka upvaas karte hai. Aur kuch log ashtmi karte hai matlab 8 din tak upvaas karte hai.
Jabke kuch log 9 din ka upvaas rakhte hai. 9 din lagatar puja paath me lage rehne ke baad. 10ve din Ramleela ke ayojan me ek vyakti Shri ram ka roop dharan karke Ravan ke putle ko jalake uska vadh karta hai. Aur is tarah Dusshera celebration kiya jata hai.
Dusshera kyon manaya jata hai? (Why Do We Celebrate Dussehra in Hindi)
Purane samay me Shri Ram ko 14 saal ke liye vanvaas bhej diya gaya tha. Tabhi bache kuch saalo me Ravan ne Sita mata ka apharan kar liya. Unko ravan ke chungal se bachane ke liye Lanka me Ravan aur Shri Ram ka bhut hi jyada bhayanak yudh hua.
Jiske chalte Ram ne Vijayadashmi wale din Ravan ka vadh karke vijay prapt ki aur usi din Ayodhya wapas laute.
Tabse har saal is din ko yaad karke Dusshera ke roop me manaya jata hai. Aur ye yad dilaya jata hai burai par hamesha achchai aur sachchai ki jeet hoti hai.
Is tyohar ko manane ke piche Durga mata dwara mahishasur namak Danav ke vadh ko bhi mana jata hai. Aesa kaha jata hai is danav ne sabhi logo ko bhut pareshan kiya hua tha.
Devtao ne apni vedna Bramha ji se batayi. Unhone Durga ke roop me ek shakti ka nirmaan kiya. Us devi ne 9 din ke kadey sangram ke baad 10ve din us danav mahishasur ka vadhh kiya.
isliye 9 din tak upvaas karke navratre manaye jate hai. Aur 10ve din dusshera ka tyohar. Is karan is tyohar ko Durga puja aur shashtra puja ke roop me bhi manaya jata hai.
Ye bhi padhe:-
- 15th August essay in Hindi
- Friendship day messages for best Friend in Hindi
- Happy Govardhan puja in Hindi
Conclusion – Dussehra Par Essay in Hindi
Friends, Is post me humne aapko Dussehra par nibandh Hindi Mein, dussehra par lekh (Why do we celebrate Dussehra in Hindi) likhna bataya hai. Umeed karte hai aapko importance of Dussehra samaj aagaya hoga.
Post se juda aapka koi bhi sawal hai ya aap kuch puchna chahte hai. To hume comment karke jarur bataye.
Yahan hum Festival se judi jankari share karte rehte hai. Latest updates paane ke liye Blog ke Notifications ON jarur karen.
Post pasand aaya to apne friends ke sath social sites par share karke apna pyar aur support jarur de.
HAPPY DUSSHERA TO ALL
Aesi jankari Future me paane ke liye aap mujhe Facebook par follow kar sakte hai.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-