20+ Teachers Day Quotes in Hindi | Teachers Day Quotes Messages (2024)

Jaisa ki aap sab jante hi hai hum har saal 5th September ko Teachers day celebrate karte hai. Teachers ko Thanks aur unke prati respect zahir karne ke liye hum is post me aapke sath 20+ Teachers day quotes in Hindi share kar rahe hai.

Jinhe aap apne sabhi pasandida teachers ke sath share karke is saal ke shikshak diwas ko aur jyada behterin bana sakte hai.

Asliyat me is din Dr. Sarvepalli radhakrishnan ji ka janamdin hota hai. Inhone apni life me siksha ko bhut hi jyada importance di hai. Inka shiksha me bhut hi gehra vishwas tha. Ye ek bhut achche shikshak hone ke sath ek Great Philosopher bhi the.

Aaj hum aapke sath share karenge happy teachers day kab hai, Happy teachers day hindi quotes, Teachers day wishes quotes, Teachers day quotes in Hindi, Teachers day wishes messages, Shikshak diwas essay in Hindi, Shikshak diwas speech in Hindi, Teachers day ke bare mein do line kaise likhe, History of teachers day in Hindi, Shikshak diwas in Hindi ityadi.

Teachers Day Quotes in Hindi (Happy Teacher Day In Hindi)

Teachers Day Quotes in Hindi

Maata Pita ke baad ek Guru (Teacher) hi hamare jiwan ko sahi margdarshan dete hai. Sahi galat ka fark sikhate hai. Humare jiwan ko nikharne ke liye kadi mehnat karte hai.

Unko dhanyawad aur samman dene ke liye Unko neeche di gayi Lajawab Quotes jarur share kare.

Happy Teacher day in Hindi
#1

Aapse hi sikha, Aapse hi jana,
Aap hi ko humne guru hai mana,
Seekha hai, Sab kuch aapse humne,
Kalam ka matlab aapse hai jana.

Lines for Teachers in Hindi
#2

Jo banaye hume insan,
Aur de sahi galat ki pehchan,
Desh ke un sabhi nirmatao ko,
Hum karte hai, shat-shat pranam.

Teachers Day Wishes in Hindi
#3

Satya nyay ke paath par chalna,
Sikshak hume batate hai.
Jiwan hai sangharsho se ladna,
Sikshak hume sikhate hai.

Teachers Day Quotes Messages
#4

Akshar askhar hume sikhate,
Shabd shabd ka arth hai batate,
Kabhi pyar se kabhi daant se,
Jiwan jeena hume sikhate.

Teacher Day Hindi SMS
#5

Gumnaami ke andhere me tha, Pehchan bana diya,
Duniya ke gum se mujhe anjaan bana diya,
Unki aesi kirpa hui,
Mere Guru ne mujhe ek achcha insan bana diya.

Teachers Day Wishes Quotes
#6

Ek mahan sikshak kewal gyan hi nahi deta,
Balki chatra ko prerit bhi karta hai.

The Best Teachers Day Quotes

#7

Maata Pita hume jiwan dete hai,
Lekin ek achcha jiwan kaise jeena hai,
Yeh ek sikshak hi batata hai.

Lines for Teachers in Hindi
#8

Apne shikshak ko du kya Guru dakshina,
Kuch samajh na ab meri ye aaye.
Jiwan chahe sara vaar du un par,
Kabhi karz Guru ka na chuk paaye.

Special Shikshak diwas wishes
#9

Jab girne ko hua mai,
Mujhe uthaya aapne,
Meri raah meri manzil ki aur mujhe badhaya aapne,
Anjana tha mai khud ki kabiliyat se,
Mujhe khud se vakif karaya aapne.

Teachers Day Quotes For Favorite Teacher
#10

Anubhav ek kathor sikshak hai,
Kyonki woh pariksha pehle leta hai.
Aur paath bad me sikhata hai.

Teacher day quotes
#11

Ek shikshak jo ki apne shishyo ko gyan arjan ke liye prerit kiye bina sikhane ka prayas karta hai,
Vastav me thande lohe par hatoda chalata hai.

Happy Teacher day status in Hindi
#12

Shiksha Se Hi Ban Sakta Hai Mera Desh Mahan,
Hume Shikshit Banane Me Guru Ka Hota hai sabse bada Yogdaan.

Teachers day wishes quotes in Hindi
#13

Jise Deta Hai Har Vyakti hirday Se Samman,
Jo Karta Hai Shikshit Veero Ka Nirman,
Jo Banata Hai De Kar Shiksha, Insaano Ko Insaan,
Aese Guru Ko Ham Karte Hai, Hirday Se Pranam.

Hindi Teacher Day Quotes
#14

Maine sikha ki galtiyan bhi utni achchi shikshak ho sakti hai,
Jitni ki Safalta.

Teachers Day Wishes Messages
#15

Jiwan me kabhi har na manna,
Sangharsho se kabhi na bhagna,
Musibato ka karna datt kar samna,
Ho kuch bhi sachchai ke marg par chalna,
Ye aap hi to hume sikhate hain,
Isliye shikshak kehlate hai.

Teachers Day Quotes Thank You

#16

Sabse achcha shikshak aapko uttar nahi deta,
Woh aapke andar uttar khud dhundne ki chingari jala deta hai.

Lines for Teachers in Hindi
#17

Kaise chukau mol,
hove hai kimat heere-moti ki,
Par guru hove hai anmol.

Teachers day Hindi quotes
#18

Shikshak wah vyakti hai,
Jo apne anubhavo ka nichod apne chatro ko batlata hai,
Aur galtiyon se seekh lene ko prerit karta hai.

Shikshak diwas ki shubkamnaye
#19

Guru ki koi umar nahi hoti,
Agar aap apne se choti umar ke insan se bhi kuch sikhte hain,
To woh aapka guru hota hai.

Best Shikshak diwas quotes
#20

Gyan to kitabo me bhi likha hota hai,
Us gyan ko jiwan ke anubhav ke sath jodkar,
Shikshak hume jo shiksha dete hai. Wah humara jivan sarthak banati hai.

Teacher day WhatsApp status
#21

Guru teri mahima ko main kaise karu bayan,
Likhne baithu jo teri mahima to yeh ambar chota pad jaye,
Aese mere Guru hain, Jo sab ko insaniyat ka paath padhaye,
Unke charno me hum sheesh jhuka kar shraddha suman arpit karte jaaye.

Teachers Day Quotes For Mother
#22

Shiksha jiwan me safalta paane ki kunji hai,
Aur shikshak apne chatro ke jiwan me chirsthayi prabhav dalte hain.

Shikshak Diwas Speech In Hindi (Teachers Day Ke Bare Mein Do Line)

Teachers Day Ke Bare Mein Do Line

Agar aap Teachers day par speech dene wale hai ya dena chahte hai. To humne aapke liye neeche bhut hi badhiya speech likhi hai. Jisse aap apne sabhi shikshako ko dhanyavad karke unka dil ❤️ jeet sakte hai.

Aadarniye Pradhana charya, Shikshako aur mere pyare mitro ko shikshak diwas ki hardik shubhkamnaaye!

Jaisa ki hum sab jante hai aaj 5th September yani Teachers day hai. Aur aaj hum sab is din ko manane ke liye yahan ikhatte hue hai.

History of Teachers day in Hindi

1962 se pratek varsh Teachers day manaya ja raha hai. 5th September ko Dr. Sarvepalli Radhakrishnan ji ka janam hua. Yeh Bharat ke sabse yogya shikshak rahe.

Unhone aagrah kiya ke unke janam diwas ko Teachers day ke roop me manaya jaaye. Jisse sabhi shikshako ko hum har saal samman de sake.

Mai aaj bhut hi jyada prasann hu ke mujhe aaj ke din apne shikshako ke prati mera samman aur pyar prakat karne ka sunhera mauka mila.

Shikshak samaj ko aage le jane ka sabe badha aadhar hain. Humare jiwan ko sahi disha dikhane ka kaam bhi shikshak hi karte hai.

Kayi saalo se Guru aur shishye ke beech bhakti aur sampran bhavna ki prampara chali aarahi hai.

Shikshak hi hume sahi-galat sochne aur dekhne ki raah dikhate hai. Sabhi shishyo ko samaan shiksha pradaan karke humare charitra ka nirman karte hai.

Hum kisi bhi field me ku na ho agar hum kisi se kuch seekh rahe hai jo humare jiwan ko ek sahi disha de raha hai. To wo bhi humara shikshak hi kelayega. Hume apne sabhi shikshako ko aabhar prakat karna chahiye.

Unke dwara diye gaye prem aur samarthan ko kabhi nahi bhoolna chahiye.

Ek bar phirse Meri taraf se sabhi shikshako ko Teachers day ki bhut bhut shubkamnaye! 

Mujhe ek achcha insan banane le liye aapka bhut bhut dhanyavad!

Shikshak Diwas Essay In Hindi (Essay on Teachers Day in Hindi)

Pratek varsh 5th September ko Bharat me Shiksha diwas ke roop me manaya jata hai. Aur sabhi shikshako ko samman diya jata hai.

Aesa kaha jata hai ke shikshak banne se jyada badhya aur koi pesha nahi hai. Ek shikshak ka samaj me jo mulay hota hai woh kisi ka nahi hota.

Teachers day ko Dr. Sarvepalli Radhakrishnan ki yad me manaya jata hai. Unke janam diwas ko samaj me sabhi shikshako ke samman aur yogdan ko badhawa dene ke liye is din ko school, colleges, Institute, University wagerah me badi dhoom dham se manaya jata hai.

Pura din alag alag tarah ke karyakarm chalte hai. Schools me students teachers banke ek din ke liye apne teachers ki life gujarte hai.

Aaj kal Teachers day celebrate karne ka style kaafi badal chuka hai. Students apne teachers ko Teacher day wish karne ke liye Gifts, Cards, Diary, Pen ya phir Flowers de kar unhe Shikshak diwas ki badhai dete hai.

Sabhi desh me Teachers day alag alag Date par celebrate kiya jata hai.

Teachers ka humare jiwan me bhut hi bada role hota hai. Hume sadev unka samman karna chahiye aur unke dikhaye sahi raste par chalna chahiye.

Sabhi Teachers ko meri aur se “Happy Teachers Day”.

Teachers Day Kab Hota Hai?

Teachers Day 5th September 2024, Thursday ko manaya jayega.

Conclusion

Friends, Umeed karte hai Teachers day quotes in Hindi, Quotes on Teachers in Hindi, Shikshak diwas speech in Hindi, Essay on teachers day in Hindi, Small quotes for teachers day, Teachers day quotes in Hindi shayari aapko jarur pasand aayi hoga.

Phir bhi post se juda aapka koi sawal hai ya aap kuch sujhav dena chahte hai. To hume comment karke jarur bataye. Is blog par hum aesi interesting jankari share karte rehte hai. Latest update ke notifications paane ke liye Blog ke Notifications ON jarur karen.

Post informative laga to apne sbhi Teachers, Friends ke sath social networking sites par share karke apna pyar aur support jarur de.

Latest update ke liye aap mujhe Facebook Page par bhi follow kar sakte hain.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

Leave a Comment