15th August Essay In Hindi | 15 August Speech in Hindi (2024)

15th August Essay In Hindi – Friends, Is post me humne bataya hai Independence day kyu manaya jata hai (Why is Independence Day Celebrated in Hindi) aur Independence day par essay kaise likhe.

Har saal 15th August स्वतंत्रता दिवस ke roop me manaya jata hai. Is din 1947 me humara desh aazad hua tha.

15th August 1947 ko India ka pehla Independence day manaya gaya tha. Ye din har ek hindustani ke liye bhut hi bada din hota hai.

Is din sabhi sarkari daftaro ki chutti hoti hai. School aur colleges me स्वतंत्रता दिवस ek din pehle hi celebrate kar liya jata hai.

Jisse sabhi log 15th August ke din स्वतंत्र hokar स्वतंत्रता दिवस celebrate kar sake.

15th August Essay In Hindi (Independence Day Par Speech)

15th August essay in Hindi

15th August 1947 ko Bharat desh aazad hua tha. Is din Pandit Jawahar Lal Nehru ji ne Madhya raatri me desh ko स्वतंत्रत ghoshit kar diya tha. Aur us din se har saal 15th August ka din स्वतंत्रता दिवस ke roop me manaya jata hai.

British shashan kaal se स्वतंत्रता paane ke liye bhartiya Senaniyo aur Krantikariyo ne milkar desh ko aazad karane ke liye bhut hi jyada sangharsh kiya tha.

Desh ko aazad karane ke is kadey sangarsh me na jaane kitne krantikari shahid hue.

Un sabhi krantikariyo ko shradhanjali dene aur unke is kadey sankalp ke liye unke samman me har saal Delhi ke Lal qile me jhanda feraya jata hai.

Independence Day wale din bharat ke Pradhan Mantri Desh ka jhanda fehrate hue bhashad dete hai. Jise sunne ke liye hajaro log ikaththa hote hai.

Essay on Independence Day in Hindi Language (15 August Essay in Hindi 10 lines)

Is saal Bharat ka 77th स्वतंत्रता दिवस Manaya jayega. Jo ki Narendra Modi ji dwara Jhanda feraya jayega.

Swatantrata divas har dharam jaati ke logo ke liye saman hota hai. Jise sabhi log milkar badi dhoom dham se manate hai.

Is din sarkari chutti hoti hai. School, Colleges aur institute wagerah me kayi tarah ke karyakarm aayojit kiye jaate hai.

Sabhi log apne apne tariko se is din ko celebrate karte hai. Jyadatar log Patang baaji karke is din ka aanand uthate hai.

Independence day celebration in Hindi

Kuch is din ghar baith ke TV par desh bhakti wali filme dekhte hai, Kuch Lal qile par aayojit program ko sidha live dekhte hai.

Bhut se log is din ki khusi me cinema hall me movie dekhne jate hai. Aur kuch apne gharo par Tiranga jhanda fehra kar apne desh par garv mehsus karte hai.

15th August (Independence Day) ko Bharat ki Rajdhani Delhi me bade dhoom dham se manaya jata hai. Pradhan mantri dwara Tiranga jhanda fehrane ke bad Rashtra Geet gaya jata hai.

Aur Tirange (भारतीय ध्वज), Shahid hue krantikariyo ke samman me aasman ki taraf 21 Banduko se firing karke sabhi ko salami di jati hai.

Itna bada din hone ki wajah se Desh ko aatankwadiyo se hamla hone ka khatra bhi bana rehta hai. Jiske liye Indian Army aur Police karmiyo dwara desh ke kone kone me High security ka intejam kiya jata hai.

History of Independence Day in Hindi (History of 15 August)

History of Independence day in  Hindi

Dusre Vishv yudh ke bad British sarkar ko is baat ka andaja ho gaya tha ke ab Hindustan par unka raub jamana mushkil hai. Us time bharat ke krantikariyo aur senaniyo dwara desh ko aazad karane ki koshishe badhti chali ja rahi thi.

Kuch time bad British sarkar ne India ko aazad karne ki sunwayi kardi. Phir 15th August 1947 ko Bharat desh aazad ho gaya.

Lekin isi dauran Hindu Muslim ke beech hinsa ho chuki thi. Aur 15th August 1947 ko Bharat – Pakistan ko do alag alag desho ke beech me baant diya gaya.

Is din Pandit Jawahar Lal Nehru Bharat ke aur Mohammad Ali Jinnah Pakistan ke Pehle Pradhan Mantri bane.

Tabse har saal Pakistan ka Independence Day 14th August ko manaya jata hai aur Bharat ka 15th ko.

Conclusion

Dosto, Desh ke liye na jaane kitne krantikari shahid ho gaye. Hum sabhi logo ko bhi apne desh ke liye hamesha aage rehna chahiye. Aur ekjut ho kar desh ki pragati ke liye kadam uthana chahiye.

Umeed karte hai aapko ache se samajh aagaya hoga Independence day in Hindi kya hai, Independence day kyu manaya jata hai, 15th August essay in Hindi me likhe.

Phir bhi post se juda aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment box me comment karke jarur bataye.

Is blog par hum aesi jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye blog ke Notifications ON karna na bhoole. Post ko Facebook, Twitter par share karke apna support jarur de.

Happy Independence Day to All. “Jai Hind”

Internet se judi jankari ke liye aap mujhe Facebook par bhi Follow kar sakte hain. Yahan aapko aese updates ka notification sabse pehle milta hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye Bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

Leave a Comment