Diwali Par Nibandh in Hindi | दीपावली पर निबंध कक्षा 3,4,5,6,7 (2023)

Diwali Par Nibandh in Hindi – Diwali yani ke Deepawali Hindu dharam ka sabse bada tyohar hai. Jo har saal October ya phir November ke mahine me badi dhoom dhaam ke sath manaya jata hai. Is tyohar ko jeet ka prateek bhi mana jaata hai.

Is post me hum aapke liye Diwali par nibandh likh rahe hai. Agar aapke school ya phir college me aapne deepavali par nibandh likhna hai. To aap is post ko padhkar aasani se nibandh likh sakte hai. Humne Best Diwali wishes in Hindi par bhi ek bahut badhiya post likhi hai aap is post ko bhi padh sakte hain.

Is post me humne aapko Deepawali par nibandh, Diwali kyu manate hai, Importance of Diwali in Hindi ke baare me jankari di hai. Agar aap janna chahte hain Diwali Katha in Hindi kya hai to aap ye post jarur padhen.

Diwali Par Nibandh Hindi Mein (Essay On Diwali in Hindi)4

Essay On Diwali In Hindi

Deepawali (Deep + Awali) yani ke deepko ki katar. Diwali kahe ya Deepawali ye tyohar roshni ka tyohar hai. Is din har ghar me diye aur mombattiyo ki ek katar lagayi jati hai. Jo pure ghar ko roshni se bhar deti hai. Ye tyohar ek bhut hi bada tyohar hai.

Bharat me rehne wale sabhi dharam ke log is tyohar ko mil jul kar bade harsh-ullas ke saath manate hai. Bharat ke alawa dusre desh me reh rahe Hindu dharam ke log wahan bhi is tyohar ko khoob dhoom dham se manate hai.  Is din ko burai par achchai ki jeet ka prateek bhi mana jata hai.  

Diwali (Deepawali) Kyu Manate Hai?

Diwali manane ke piche bhut si purani kahaniya judi hui hai. Lekin sab jante hai. Diwali manane ke piche ka karan Bhagwan Shri Ram hai. Jo Rakshash Ravan ka vadh karke Sita mata aur Laxman ke sath 14 saal ke baad Ayodhya wapas laute the.  

Ayodhya wasiyo ne Shri Ram ke wapas aane ki khushi me pure Ayodhya ko rangoli, phoolo aur Deepko ki roshni se jagmaga diya tha. Tabse har saal is tyohar ko aese hi manaya ja raha hai.  

Ye bhi padhe:-  

Diwali Kab Manai Jati Hai?

Diwali ka tyohar kartik maas ki amavasya ke din manaya jata hai. Ye tyohar 5 din ka hota hai. Dhanteras, Choti Diwali (Narak chaturdashi), Badi Diwali, Govardhan puja, Bhai dooj.  

Waise to ye tyohar Hindu calendar ke mutabik tay kiya jata hai. Lekin ise har saal October ya phir November ke mahine me manaya jata hai.  

Ye tyohar hota to amavasya wale din hai. Lekin mombattiyo, diyo aur fancy lighto ki jagmagahat se Purnima ki raat jaisa lagta hai.  

Is saal Diwali ka Tyohar 12 November 2023, Sunday ko manaya jayega.  

Importance Of Diwali In Hindi (Diwali Ka Mahttav)

Diwali ka tyohar Hindu dharam ka sabse bada, Pavitra aur Sanskritik tyohar mana jata hai. Is din ko log bade reeti riwaz ke sath manate hai. Dusre desho me bhi Diwali ko utne hi bhav aur harsh-ullas ke sath manaya jata hai jitna ke bharat me manate hai.  

Diwali Kaise Manate Hai?

Deepawali Essay in Hindi 2023

Diwali ki taiyari 1 mahine pehle se hi shuru ho jati hai. Log apne gharo ki saaf-safai me jut jaate hai. Gharo ko rangwate hai. Naye se naye saaj sajawat ke saman laate hai.   Rishtedaro aur padosiyon ke liye pehle se hi taufo ka intejam kar liya jata hai.

Diwali wale din Ghar me rangoli ke badhiya se badhiya design banaye jaate hai. Fancy light se ghar ki sajawat ki jati hai. Jisse raatri hone par ghar jagmaga uthe. Tyohar wale din swadisht pakwan banaye jate hai.

Ganesh aur Laxmi ji ki puja ki jati hai. Ek dusre ko Mithai, Kheel, Khilone baante jate hai. Raat hone par Log pathako aur fuljhadiya jalakar khoob aatishbaji karte hai.  

Note:- Ab aatishbaji karna mana hai. Isse pollution ki matra badhti hai.   Diwali par kuch log juaa bhi khelte hai. Jo ki bahut hi galat baat hai. Aese shubh avsar par in sabhi bekar cheezo se door reh kar apne parivar ke sath samay bitana chahiye. Jisse tyohar ki khushiyan aur jyada dugni ho jaye.  

Ye bhi padhe:-  

दीपावली पर निबंध कक्षा 3,4,5,6,7 के लिए (Paragraph On Diwali)

Paragraph On Diwali in Hindi

Diwali ka tyohar sabke liye khushiyan lata hai. Bigde rishto ko bhi banata hai. Ye tyohar pure bharat me badi dhoom dham se manaya jata hai.

Diwali ki taiyari kaafi din pehle se hi shuru ho jati hai. Gharo ki saaf safai, Saaj sajawat ke saman ko khareeda jata hai. Diwali wale din Diye, Mombatti, Jagmag lights jalakar ghar ko roshan kiya jata hai.  

Diwali ka tyohar Hindu dharam ka sabse pavitra aur bada tyohar hai. Is din Bhagwan Ram, Sita mata aur Laxman ji 14 saal ka vanvaas pura karke Ayodhya wapas laute the. Unke swagat ke liye Rangoli, Phoolo se sajawat, Diye jalakar unka samman kiya gaya tha.

Tabse har saal kartik maas ki amavasya ko Diwali ka tyohar manaya jata hai. Is din Ganesh aur Laxmi ji ka pujan kiya jata hai. Mithai baanti jati hai. Naye kapde pehan kar log is din ko badi khushi ke sath manate hai. Gharo me mehmano ka aana jana laga rehta hai. Diwali ka tyohar jeet ka prateek hai.  

Conclusion

Friends, Umeed karte hai Diwali par nibandh in Hindi , Diwali kyu manate hai, Importance of Diwali in Hindi, Diwali par nibandh 10 line, दीपावली पर निबंध कक्षा 4,5,6,7 aapko pasand aayi hogi.

Aur aapko isse bahut kuch janne ke liye bhi mila hoga. Post se juda aapka koi bhi sawal hai ya aap kuch sujhav dena chahte hai. To hume comment box me comment karke jarur bataye.  

Post pasand aaya to apne sabhi Dosto, Rishtedaro ke sath social sites par share karke unhe Diwali ki shubkamnaye jarur de.  Humari aur se aapko aur aapke parivar ko Diwali ki bhut bhut badhai.  

Happy Diwali In Hindi

HAPPY DIWALI TO ALL!  

Agar aap is Blog ke Latest updates paana chahte hai to aap mujhe Facebook Page par bhi follow kar sakte hain.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!  

Ye bhi padhe:-  

Leave a Comment