Hello friends, Agar aap online work karte hai to aapko pata hi hoga Google AdSense kya hai aur kaise kaam karta hai. Ho sakta hai bhut se aese bhi log ho jo online work to kar rahe hai lekin abhi tak unhe iske baare me jankari nahi hai.
Aaj is post me hum aapko yahi batane wale hai Google AdSense kya hai (Google AdSense in Hindi), AdSense kaise kaam karta hai aur agar aapka website ya blog hai to aap isse paise kaise kama sakte hai.
Basically, Google AdSense ek advertisement network ka kaam karta hai. Jiske jariye aap apne blog/website par ads dikha kar paise kama sakte hai. To chaliye detail me jante hai Adsense kya hai (What is google AdSense in Hindi).
Google AdSense Kya Hai?
AdSense Google ka hi ek program hai. Jinka blog ya website hai wo log publisher kehlate hai aur AdSense ke is program ke dwara wo apne blog/website par ads show karke online earning kar sakte hai. Chaliye jante hai kaise.
Isme 3 cheezo ka important role hota hai.
- Publisher:- Jinka blog ya website hai.
- Advertiser:- Jo log apne product ya service ki ads chalana chahte hai.
- Advertisement Network:- Jahan log apne product ke ads show karne aur apne website par ads dikhane ke liye judte hai.
AdSense Kya Hai Hindi Me?
Google AdSense ek advertisement network hai Jo Google dwara banaya gaya hai. Jahan publisher ki website/blog par ads dikhaye jate hai. Jisse advertiser ke product ya phir service ka promotion ho sake.
Is service ke liye Google advertiser se paise leta hai. Aur kuch percentage apne pass rakhta hai baki ke paise publisher yani jiski website/blog par ads dikhaye gaye hai unko deta hai. Jisse publisher ki online earning hoti hai.
AdSense se earning karne ke liye sabse pehle aapka account Google AdSense se approved hona jaruri hai.
Adsense approval lene ke liye aapke pass ek website/ blog hona chahiye ya phir agar aapka YouTube channel hai to aap usse bhi AdSense connect kar sakte hai.
Waise to market me bhut saare Advertisement network available hai. Lekin AdSense sabse jyada popular aur trustable network hai. Aaj jyadatar log Blogging karke AdSense se acha khasa paise kama rahe hai.
AdSense se aap 2 tarike se income kar sakte hai
- Click:- Ye aapke ads par kitne click hue hai uspar depend karta hai.
- Impression:- Ye aapke blog par kitne ads dekhe gaye uske hisab se paise deta hai. Daily 1000 views ke $1 ke around paise deta hai.
Aap yahan apni marji ke hisab se website me jahan ads dikhana chahte hai wahan dikha sakte hai. Yahan aap images, videos, auto ads ka bhi use karke apni choice ke according ads dikha sakte hai. Jyada visitor hone par aap jyada earning kar sakte hai.
Note:-
- Agar aap ek publisher hai to aapko Adsense par account banane hoga.
- Aur agar aap ek Advertiser hai to aapko Google AdWords par account create karna hoga.
Google AdSense kaam kaise karta hai?
Agar aap Youtube chalate hai to aapne dekha hoga bhut si videos ke beech me aapko kuch Ads dikhti hai to woh kya hai. Woh Google Adsense ki h ads hoti hai.
Aapko is blog me bhi kuch Ads dikh rahe honge to ye bhi Adsense ke hi ads hai.
Hota kya hai agar aapka blog ek technology ya phir health topic par hai. To aapke blog/website par usse hi related ads dikhaye jaynge. Youtube videos ke beech me aapko woh ads dikhaye jate hai jis cheez ke baare me aap jyada videos dekhte hai.
Aapka interest jis cheez me jyada hai usse related Ads aapko dekhne ko milengi. Us product ya service ko lene ke chances jyada badh jaynge kyonki us particular product me aapka interest hoga.
Interest hone par visitor ke Ads par click karne ke chances jyada honge. Aur usi hisab se Adsense per click aapko commission dega. CPC (Cost per click) ke hisab se aapko 68% dega baaki ka 32% khud rakhega. To isi tarah Google AdSense kaam karta hai.
Google AdSense Se Kitni Earning Ki Ja Sakti Hai?
Sabhi logo ke mann me ye khayal jarur aata hai ke Adsense se kitni earning ki ja sakti hai Koi limit hai ya nahi hai. To hum aapko bata dete hai AdSense se aap kitna bhi kama sakte hai ye totally aap par depend karta hai.
Jitne jyada visitors aapki website par lage Ads ko click karenge utna jyada paisa aap kama sakte hai. Ab aesa nhi h ke aap apne khud ke Ads ko jake click kare ya apne family member se karwaye.
Agar aap aesa koi kaam karte hai to Google aapka AdSense account disable kar dega. Kyonki ye natural traffic nahi hoga iske liye aap AdSense policy ko dhyan se padhe.
Google AdSense se aap kitna kama sakte hai?
Ye kuch important points par depend karta hai jaise ki:-
- Aapki website/blog kis topic par hai.
- Aapke blog par kitna traffic aata hai.
- Kis country se traffic aata hai.
- Kitne high paying keywords ka use aapne kiya hai.
- Ads kis tarah se place ki gayi hai.
Google AdSense Se Payment Kaise Milti Hai?
Adsense account approved hone ke bad jab aapke account me 10 dollar ho jate hai. To Google aapke dwara diye gaye address par ek Address verification PIN code bhejta hai. Jisse ye verify ho jaye ke ye aapka hi account hai.
10 dollar complete ho jane ke bad aapko AdSense account Identity Verification aur Bank add karne ke liye kaha jata hai.
Aur jab aapke account me 100 dollar complete ho jate hai to woh amount aapke Bank account me transfer kar diye jate hai. Minimum 100 dollar hone ke bad hi aap AdSense se payment le sakte hai.
Google AdSense Account Kaise Banaye?
Adsense par account banane ke liye aap neeche diye gaye simple steps ko follow kijiye.
- Step 1. Sabse pehle apne browser me adsense.com open kijiye.
- Step 2. Uske bad “Sign Up Now” par click kare.
Gmail account nahi hai to iske liye hamari post read kare Gmail id kaise banaye
- Step 3. Aapke samne jo page open hua hai wahan sabhi details sahi tarike se fill kare.
Your Website
(Apne website/blog ka URL enter kare)
Your Email Address
(Apni Email id enter kare)
Get helpful AdSense info at that email address
Yes ke samne bane check box par click karke “Save And Continue” par click kare.
- Step 4. Next page par aap Country select kare yaad rahe country ekdum sahi select karni hai.
Uske bad neeche Terms & conditions di gayi hai.
“Yes, I have read and accept the agreement” ke samne bane check box par click karke “Create Account” par click kare.
- Step 5. Next page par aapko other details fill karne ke liye kaha jayega. Puchi gayi sabhi details sahi tarike se fill kare.
1. Account type (Agar aapki website ya blog hai to individual select kare).
2. Name and address (Apna name aur address fill kare).
Details fill karne ke bad “Submit” par click kare.
- Step 6. Aapka AdSense account create ho chuka hai. Ab aapke samne ek code aayega use copy karne ke bad apne blog/website ke head section me paste kare.
WordPress user iske liye “Header and Footer” ka plugin use karke aasani se code insert kar sakte hai.
Ab Adsense team aapki application ko review karegi. Isme 2-3 ya phir 10 days ka bhi time lag sakta hai tab tak aap wait kare.
Application approved hone ke bad aapke Gmail account par confirmation mail bheji jayegi. Account approved ho jane ke bad aap apne website/blog me Ads laga sakte hai.
Agar aapka account reject ho jata hai to aap AdSense dwara batayi gayi mistakes ko thik karke again apply kar sakte hai.
Google AdSense Related FAQ’S
Ji nahi, Iske liye aapko kisi bhi tarah ka koi charge nahi dena padta. Ye bilkul free hai.
Jo log internet se paisa kamana chahte hai, Jinke pas khud ka blog/website ya phir YouTube channel hai woh log AdSense account bana sakte hai.
AdSense account apply karne se pehle Aapke blog me sabhi jaruri pages hone chahiye. Jaise ki About, Contact us, Privacy policy, Terms & conditions, Disclaimer.
Minimum 25 post 1000 words ki unique likhi ho.
Thoda bhut Organic Traffic aata ho website par. (Minimum 100 Page views daily).
Blog/website ko Google search console aur Analytics se jarur connect kare.
Ye fix nahi hai, Apply karne ke bad 48 hours ke andar bhi aapko approval mil sakta hai aur 10 days tak ka bhi time lag sakta hai.
Google AdSense Kya hai Neeche diye gaye video ke madhyam se bhi samajh sakte hai.
Conclusion
So friends, Umeed karte hai post aapko informative laga hoga. Aapko samajh aagya hoga Google AdSense kya hai (What is google AdSense in Hindi), Google Adsense par account kaise banaye or ye kaam kaise karta hai.
Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai to hume comment karke jarur bataye. Is blog par hum blogging, Internet se judi jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye blog ke Notifications ON jarur karen.
Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.
Post pasand aaya to apne friends ke sath social sites par jarur share kare. Jisse woh log bhi jan sake AdSense se online earning kaise ki ja sakti hai.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-
nice article
Thanks Dear. Naye updates ke liye blog visit karte rahiye.
Nice information thanks for sharing this post.
Thanks Dear,Keep Visiting 🙂
काफी अच्छी जानकारी हैं एडसेंसे के बारे में।
Thanks. Aesi helpful information ke liye blog ko visit karte rahiye.
veri nice artical