Gmail Account Phone Number Change Kaise Kare – Friends, Agar aap internet use karte hai to definitely aapke pass Gmail account hoga. Kyonki aaj ke time me Android phone ya phir Google ka koi bhi product use karne ke liye Gmail id ka hona bhut jaruri hai.
Aur aaj ke samay me password ko yaad rakhna bhut hi mushkil kaam hai. Ek phone ko secure rakhne ke liye bhi hum password set karke rakhte hai. Duniya bhar ke password ko yaad rakha nahi ja sakta.
Gmail account banate time aapko dhyan hoga humse recovery phone number aur email address manga jata hai. Woh isliye hi manga jata hai ke agar hum kabhi apna password bhool bhi jate hai. To recovery phone number aur email id ki help se hum password ko dubara reset kar sakte hai.
Agar aapki SIM band ho jaaye ya phir aapka mobile phone kho jaaye to aap Gmail me mobile number change kar sakte hai. Agar aap aesa nahi karte hai to hacker aapki khoyi hui sim ke dwara aapka Gmail account bhi hack kar sakta hai.
Behter yahi hai ke aap apna Gmail account recovery phone number change karle.
Ab aap soch rahe honge Gmail mobile number change kaise kare. Aaj is post me hum aapko yahi batane wale hai. Jisse aap aasani se apna Gmail id mobile number change kar sakte hai.
Gmail Account Phone Number Change Kaise Kare?
Gmail account ka phone number change karne ke liye neeche bataye gaye steps ko follow karen:-
- Step 1. Sabse pehle aap apna Gmail account login kare.
- Step 2. Login karne ke bad Right side top me bane square yaani “Google Apps” ke option par click kare. Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
- Step 3. Click karne ke bad aapko kaafi saare options dikhenge inme se “Account” par click kare. Uppar screenshot me 2 number ko dekhe.
- Step 4. Ab jo page aapke samne open hua hai wahan “Personal info” par click kare.
Note:- Aap direct is Link myaccount.google.com par click karke bhi is page par aa sakte hai. Maine aapko shuru se isliye bataya hai. Jisse future me aapko pata rahe Gmail me mobile number change kaise karte hai.
- Step 5. Ab aapke samne aapki personal details show ho jayengi. Jo aapne Gmail id banate time add ki thi.
Yahan aapko neeche scroll karke “Contact info” me phone par click karna hai.
- Step 6. Click karne ke bad aapke samne mobile number edit karne ka option aayega. “Edit icon” par click kare Jaise neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
- Step 7. Edit ke icon par click karte hi aapse dubara Login karne ke liye kaha jayega. Apna password enter karke “Next” par click kare.
- Step 8. Ab aapke samne Gmail id mobile number change karne ke liye dubara wahi page open hoga. Phir se “Edit” icon par click kare.
- Step 9. Ab aapke samne ek window open hogi jahan aapko “Update number” par click karna hai.
- Step 10. Update number par click karne ke baad aapko apna new recovery mobile number enter karna hai. Phir “Next” par click kare.
- Step 11. Ab aapke samne jo window open hui hai. Wahan “Get code” par click kare.
- Step 12. Code enter karke “Verify” par click kare.
Mubarak ho! Aapka Gmail account mobile number change ho chuka hai. Haina tha na kitna easy.
Google account me Recovery Mobile number aur Email address add karne ke kya fayde hai?
- Account hack hone ya phir dusre kisi device se Gmail id access hone par aapko notifications milte rehte hai. Jiski help se aap apne Gmail account ko secure rakh sakte hai.
- Password bhool jane par dubara reset kar sakte hai.
- Two Step verification enable kar sakte hai.
Gmail account ka Mobile number change karne ke liye neeche di gayi video bhi dekh sakte hai.
- Google Ki Language Kaise Change Kare
- How to delete YouTube history in Hindi
- Gmail account password reset Kaise kare
- YouTube se videos download kaise kare
Conclusion – Gmail ka Number kaise change kare
So friends, Ab aap ache se samajh gaye honge Gmail Account Ka Phone Number Change kaise kare (How to change Gmail mobile number in Hindi), Gmail number change kaise kare, Gmail account me mobile number change karne ka tarika kya hai ityadi.
Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke jarur bataye. Jisse hum aane wali post me aapko aur behterin jankari de sake. Blog ke Latest update paane ke liye Notifications ON karna na bhoole.
Post informative laga to social sites par jarur share kare aur aese hi apna support dete rahe.
Aesi jankari future me paane ke liye aap hume Facebook par bhi Follow kar sakte hai.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-
My email phone number check please help me
Hanji batayen kya issue hai?