Subdomain Kya Hai | cPanel Me Subdomain Kaise Create Kare (2024)

Friends, Aaj is post me hum baat karenge Subdomain ke baare me. What is Subdomain in Hindi (Subdomain kya hai) aur cPanel Me Subdomain Kaise Create Kare?

Agar aap ek Web developer hai ya phir koi blog chalate hai to aapko subdomain ke baare me pata hi hoga. Shayad aapne subdomain create bhi kiya ho. 

Lekin sab log iske baare me nahi jante or jo jante bhi hai unko iske benefits ke baare me nahi pata. Aaj hum yahi sab janne wale hai. Aap subdomain create karke iska use kaise kar sakte hai.

Subdomain ke baare me janne se pehle jo log naye hai unka Domain Name ke baare me janna bhut jaruri hai.

To chaliye sabse pehle jante hai Domain Kya hai?

Domain Kya Hai? (What is Domain in Hindi)

Domain name ko aapke blog/website ka address kaha jata hai. Jis tarah sabke ghar ka address unique hota hai. Waise hi internet ki duniya me sabki website ka domain name unique hota hai. 

Domain name ek IP address se juda hota hai. Jo kuch is tarah ka dikhta hai 31.13.75.36 Is tarah ke IP address ko dhyan me rakh pana aasan nahi hai. Isliye websites ko unke domain name ke madhyam se search kiya jata hai.

Ab aapko samajh aagaya hoga Domain Name kyon jaruri hai.

Aasan bhasha me kahe to internet par har ek website kisi na kisi IP address se judi hai. IP Address (Internet Protocol Address) ko yaad nahi rakha ja sakta. Isliye Domain name banaya gaya. Jisse websites ka naam aasani se yaad reh sake.

Jaise ki meri website ka Domain name hai hindiblogginghub.com isko aap yaad rakh sakte hai. Lekin kisi IP address ko dhyan nahi rakh sakte.

Domain name bhut se types ke hote hai. 

Maine Domain name se related ek detailed post likhi hai. Adhik jankari ke liye aap is post ko padh sakte hai Domain name kya hai or ek acha Domain buy karte time kin baato ka dhyan rakhna chahiye.

Chaliye ab Subdomain ke baare me jante hai.

Ye bhi padhe:-

What is a Subdomain in Hindi (Subdomain Kya Hai)?

Subdomain Domain name ka hi ek hissa hota hai. Ye ek branch (शाखा) ki tarah hota hai. Jis tarah ek Tree ki bhut saari branches hoti hai. Lekin tree ek hi hota hai. 

Usi tarah subdomain hota hai. Maine aapke sath neeche kuch examples share kiye hai:-

Domain name:-

google.com

Subdomain:- 

Docs.google.com

Play.google.com

News.google.com

Drive.google.com

business.google.com

Analytics.google.com

Aap dekh sakte hai google.com ek Domain name hai. Jabke baki sabhi subdomains hai.

Isi tarah dusra example

Domain name:- 

quora.com

Subdomain:-

hi.quora.com

Subdomain ka use tab kiya jata hai jab hume ek hi Domain par bhut saari services ya phir alag alag tarah ke kaam karne hote hai.

Jaisi ki google.com ek website hai. Lekin iski bhut saari services hai jaise ki Google play store, Google Docs, Google Drive to isne ek hi domain name me subdomain create kar diye. Jisse baaki ki sabhi service ek hi domain par chal sake.

Or sabko pata rahe ke ye google.com ka hi subdomain hai.

I hope aapko ache se samaj aagaya hoga subdomain kya hai. Ab baat karte hai Subdomain kaise create kare or uske baad janenge subdomain ke kya fayde hai.

Ye bhi padhe:-

cPanel Me Subdomain Kaise Create Kare?

How to create Subdomain in Cpanel in Hind

Agar aap WordPress user hai ya phir kisi dusre platform par aapne website create ki hui hai. Jiske liye aapne Web hosting ki service le rakhi hai. Uske sath aapko ek cPanel milta hai. 

cPanel ka milna ya na milna ye totally aapki Web hosting par depend karta hai. Konsi Hosting aapne buy ki hai or aapko uske sath cPanel mila hai ya nahi.

Ye sabhi baate aapko hosting buy karne se pehle dekhni hoti hai. Kyonki bhut saari companies aapko cPanel nahi deti or agar deti hai to aap Subdomain create kar sakte hai ya nahi. Agar kar sakte hai to uski kya limit hai.

Ye sab aapko ek achi hosting buy karte time dhyan me rakhna hai.

Agar aapko nahi pata ek achi Web hosting kaise buy kare or Web hosting kitne types ki hoti hai to aap ye post padhe Web Hosting meaning in Hindi .

Maine yahan Web hosting ke baare me detail me bataya hai.

Agar aapko cPanel mila hai to neeche diye gaye steps dekh kar aap aasani se Subdomain Add kar sakte hai.

Create Subdomain in cPanel in Hindi

  • Step 1. Sabse pehle aapko apna cPanel login karna hai. cPanel login karne ke liye aapko address bar me website ka domain name type karna hai uske bad /cpanel.

Example:- hindiblogginghub.com/cpanel

  • Step 2. Ab aapke samne login page open ho jayega. Yahan aapko cPanel ka username or password enter karke “Log in” par click karna hai.
How to make Subdomain in Hindi
  • Step 3. Login karne ke baad aapko neeche diye gaye screenshot ki tarah interface dekhne ko milega.
Add Subdomain in cPanel

Search bar me aapko type karna hai “Subdomains”. Aap chahe to scroll down karke bhi “DOMAINS” wale section me ja sakte hai. 

  • Step 4. Yahan aapko “Subdomains” ka ek option milega. Aapko us par click karna hai.
Subdomain create kaise kare
  • Step 5. Uske baad aapke samne new page open hoga. Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
Create Subdomain in cPanel

Yahan aapko wo name enter karna hai jis name se aap subdomain create karna chahte hai.

Subdomain:- Jaise maine “help” enter kiya hai. Waise hi aapko jo name chahiye wo enter kare.

Domain:- Yahan aapka Domain name by default aa jayega. Agar aapki Multi Domain Hosting hai or aapne ek se jyada domain name add kiye hue hai. To aap jis domain par subdomain create karna chahte hai usko select kare.

Document Root:- Yahan aapka Document root by default create ho jayega (Yahan aapko koi changes nahi karne hai).

  • Step 6. Sabhi detail fill karne ke baad “Create” par click kare.
  • Step 7. Jaise hi aap create par click karenge aapko “Success” ka message aa jayega ki aapka subdomain create ho chuka hai.
Subdomain created successfully

Uske baad aap public_html me jakar jis bhi domain ke andar aapne subdomain add kiya hai wahan check kar sakte hai.

Note:- Agar aapka single domain hai to aapko public_html me click karte hi aapka create kiya hua subdomain dikh jayega.

Aese hi aap dusre subdomain bhi create kar sakte hai.

Subdomain Create Karne Ke Kya Fayde Hai?

  • Aap ek hi Domain par ek se jyada website chala sakte hai.
  • Apne primary website ki copy banakar subdomain par rakh sakte hai. (Jisse jab bhi aapko koi changes karne ho to test purpose se aap pehle wahan check kar sakte hai).
  • Agar aap different languages me website banana chahte hai to easily bana sakte hai. Jaisa Quora or wikipedia ki sites hai.

Quora.com English platform hai. Jabke hi.quora.com Hindi platform hai.

Aap chahe to ?neeche di gayi video bhi dekh sakte hai. Maine Yahan Step by Step aapko bataya hai.

Conclusion

So, Friends aasha karti hu aapko ache se samajh aagaya hoga What is Subdomain in Hindi (Subdomain kya hai) aur cPanel Me Subdomain Kaise Create Kare.

Phir bhi post se juda aapka koi sawal hai ya aap kisi tarah ka koi sujhav dena chahte hai. To comment me jarur bataye. Aapke comment ka jawab aapko jarur milega.

Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.

Post helpful laga ho to apne Blogger friends ke sath share jarur kare or aese hi apna pyar or support dete rahe.❤️

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

2 thoughts on “Subdomain Kya Hai | cPanel Me Subdomain Kaise Create Kare (2024)”

  1. बहुत बहुत धन्यवाद सर , मै आपकी daily reader हूँ….आप बहुत अच्छा लिखते हो और सभी पोस्ट में काफी helpful जानकारी देते है …thank you sir

    Reply

Leave a Comment