ATM Se Paise Kaise Nikale | एटीएम से पैसे निकालने का तरीका (2024)

Aaj hum bat karne wale hai ATM se paise kaise nikale step by step in 2024. Aaj ke time me har kisi ke pass ATM card hota hai. Lekin sabhi logo ko ye nahi pata hota ke ATM se paise nikalna hai to kya kare.

Agar aap janna chahte hai ATM se paise kaise nikala jata hai to is post ko pura padhe. Yahan humne aapko pura process step by step bataya hai.

To sabse pehle ye jan lete hai ATM kya hai aur uske bad janenege ATM se paise nikalne ka tarika kya hai

ATM Kya Hai (ATM Se Paise Kaise Nikale Jaate Hain)

ATM se paise kaise nikale

ATM ka full form Automatic Teller Machine hota hai. Ye ek computer ki tarah hota hai. Jo Bank ke server se juda rehta hai.

Jab aap koi Bank account open karwate hai us time ATM card aapko milta hai. Jiska use aap Cash nikalne, Balance check karne, Mini statement ya phir kisi dusre account me paise transfer karne ke liye kar sakte hai.

Aaj kal jagah jagah par ATM ki suvidha uplabdh karwa di gayi hai. Lekin kayi villages me abhi bhi limited hi ATM hai.

Jarurat padne par aap ATM se 24*7 kabhi bhi paisa nikal sakte hai. Bus aapke pas ATM card hona jaruri hai. Chaliye jante hai ATM card kya hota hai.

ATM Card Kya Hota Hai?

ATM card ek plastic ka card hota hai. Jise Debit card bhi kaha jata hai. Jab aap kisi bhi Bank me khata khulwate hai us time aapko ATM card milta hai. Jiska use aap kisi bhi ATM me kar sakte hai.

ATM card ka ek secret PIN hota hai. Jiska use paise nikalte time ya phir kuch kharidari ke liye card swipe karwate time kiya jata hai. Ye pin secret hone ki wajah se kisi ko batana nahi chahiye. Warna aapke ATM card ka koi galat use bhi kar sakta hai.

ATM card ka size bhut chota hota hai jise aap apne purse, bag ya phir pocket me aaram se rakh sakte hai. ATM card ki help se aap bina Bank jaaye hi paise nikal sakte hai.

Bus aapko ATM jana hai aur Apna card ATM machine ke card slot ke andar dalna hai. ATM card dalte hi ye bank ke host processor se jud jata hai. Aur uske bad aap steps ko follow karke apni transaction puri kar sakte hai.

Ab jante hain ATM Se Paise Kaise Nikala Jata Hai.

ATM Se Paise Kaise Nikalte Hain (How To Use ATM in Hindi)

ATM se paise nikalna chahte hai to neeche aapko sabhi steps bataye gaye hai. Inhe follow karke aap aasani se ATM se paise nikal sakte hai. Yahan ATM machine me card kaise dale, Kisi ke atm se paise kaise nikale Iske baare me complete jankari di gayi hai.

  • Step 1. Sabse pehle apne pass ke kisi bhi ATM machine me jana hai.
  • Step 2. Uske bad apne ATM card ko diye gaye card slot me dale. Phir kuch second bad card ko bahar nikal le.

Yaad rakhe kayi ATM machine me card andar chala jata hai aur aapki transaction puri hone ke bad hi bahar aata hai.

  • Hindi
  • English

Ab jis bhi language me aap card use karna chahte hai uske samne bane button ko daba de. Agar ATM machine touch screen ki hai to aap us option par touch karke bhi select kar sakte hai.

  • Step 4. Language select karne ke bad aapko PIN number enter karne ke liye kaha jayega.

Note:- Dhyan rakhe kisi ko bhi apna PIN number na bataye ya phir koi aapka PIN number na dekh sake.

  • Step 5. PIN number enter karne ke bad aapke samne kuch option aayenge jaise ki:-

1. Fast cash
2. Cash withdrawal
3. Balance Inquiry
4. Mini statement

ATM se paise nikalne ke liye aap Cash withdrawal ke option par click kare.

  • Step 6. Cash withdrawal ke option ko select karne ke bad aapke samne 3 option aur aayenge.
  • Credit
  • Current
  • Savings

Agar aapka saving account hai to aapko “Savings” select karna hai. Aur agar current account hai to “Current” select karna hai. Paise dono method se nikal Jayenge.

  • Step 7. Ab aapke samne “Please enter amount” likha aayega. Yahan aapko woh amount enter karna hai jo aap ATM se nikalna chahte hai.

Amount aesa hona chahiye jo ATM me available ho jaise ki 100, 500, 2000. Agar aap 150, 250 ya phir 750 aesa kuch amount dalte hai to paise nahi niklenge.

  • Step 8. Amount enter karne ke bad screen par aapko 2 option dikhenge.

1. Press If Yes
2. Press If No

Agar aap paise nikalna chahte hai to “Yes” par press kare. Nahi nikalna chahte ya aapne galat amount enter kardi hai to “No” par press kare.

  • Step 9. Agar aapne Yes press kiya hoga to screen par likha aajayega “Your transaction being process please wait” aur uske bad machine me se vibration ki aawaz aana shuru ho jayegi.

Jisse pata lag jayega paiso ki ginti ho rahi hai. Aur kuch seconds bad ATM se cash bahar aajayega.

  • Step 10. Ab aapke samne transaction slip lene ka option aayega agar aap lena chahte hai to “Yes” press kare warna “No” press karke cancel ke button ko daba de.

Note:- Ho sakta hai kuch Bank ke steps uppar bataye gaye steps ke sequence me na ho. Lekin jyadatar yahi sequence aapko milega.

ATM Ke Fayde?

  • ATM se aap kisi bhi time paise nikal sakte hai.
  • paise nikalne ke liye aapko Bank jane ki jarurat nahi padegi.
  • ATM se paise nikalne ke liye aapko wait nahi karna padta. Kisi bhi din aap paisa nikal sakte hai. (Chahe Sunday ho ya phir koi Government Holiday).
  • Aapko aasani se ATM ki suvidha mil jati hai.

ATM ka use karte time kin baato ka dhyan rakhe

ATM Security

Aapko ye to samajh aa hi gaya ATM kaise use karte hain. Ab jaan lete hain ATM ka use karte time kin baato ka khaas taur par dhyan rakhna chahiye.

  • Debit card ka use karne ke liye sahi PIN ka istemal kare. Warna aapka card block bhi ho sakta hai.
  • Dhyan rakhe aapka PIN number koi nahi dekh raha ho.
  • ATM card ki details kisi ke sath share na kare.
  • Kayi baari ATM ka server down hone ki wajah se ATM kaam nahi karta. Iske liye aap dusre ATM me jakar paise nikal sakte hai.
  • ATM PIN ko kuch time ke bad change karte rahe.

Bahut se log internet par search karte hain State Bank of India ATM se paise kaise nikale. Neeche humne ek video share ki hai jiske madhyam se aap kisi bhi bank ke ATM se paise nikal sakte hain. Is Video se ATM se paise nikalna sikhe.

Conclusion

So friends, Umeed karte hai post aapko pasand aayi hogi. Aur aap jaan gaye honge ATM Card se paise kaise nikale jate hain, ATM kaise chalate hain, ATM kaise use karte hain, ATM se paise kaise nikale jate hain ya phir ATM se paise nikalna hai to kya kare.

Is post ko lekar aapka koi sawal ya sujhav hai to comment karke jarur bataye. Post informative laga to social sites par share kare. Jisse baki logo ko bhi ATM se judi jaruri jankari mil sake.

Aesi jankari ke liye aap humara Facebook page bhi Follow kar sakte hain. Wahan aapko aese updates ka notification sabse pehle milta hai.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Nargis Praveen

Mai ek Blogger hu! Logo ki online help karne ke liye maine ye blog banaya hai. Jisse mai apna experience aur knowledge logo ke sath share kar saku aur aap bhi kuch naya seekh paaye.

6 thoughts on “ATM Se Paise Kaise Nikale | एटीएम से पैसे निकालने का तरीका (2024)”

Leave a Comment