PayPal kya hai aur PayPal account kaise banaye – Hello Friends, Agar aap koi online business karte hai ya phir kisi bhi tarah ki online service lete hai to uski payment ke len den ke liye aapko kisi na kisi online mode ki jarurat padti hi hai.
Waise to hum jyadatar online payment Debit aur Credit card ke dwara karte hai. Lekin jab dusri country se payment receive karne ki baat aati hai to hume Google wallet, PayPal jaisi services lene ki jarurat padti hai.
India se payment lene ke liye aap apne Bank account ka use karte hai. Dusri country se payment lene ke liye aapko kisi third party gateway ka use karna padta hai. Jiski help se aap direct apne Bank account me paise le sakte hai.
Lekin usse pehle woh currency third party gateway ke pass jati hai aur woh use Indian currency me change karte hai. Uske bad aapke Bank account me transfer ki jati hai. Is service ke liye third party gateway us transaction par kuch commission cut karta hai. Aur isi tarah ki service PayPal aapko deta hai.
PayPal payment lene aur dene ke liye sabse purana aur trustworthy Payment gateway hai. Agar aap ek Freelancer ya phir Blogger hai to iska use aap Foreign clients ya phir kisi advertisement network se payment lene ke liye kar sakte hai.
Agar aap is prakar ka koi bhi kaam karte hai to aapke pass PayPal ka ek account hona jaruri hai.
PayPal Account Kaise Banaye in Hindi
India me agar aap PayPal ka use karte hai to aap apne Debit ya Credit card ko PayPal se connect karne ke bad turant payment bhejna shuru kar sakte hai. Lekin payment receive karne ke liye apne Bank account ko PayPal se connect karne ki jarurat padti hai.
PayPal aapke Bank account se paise withdraw karne ki limit ko hata dega. Aur aap apne Bank account me apne PayPal account se paise nikalne ke liye capable ho jayenge.
PayPal Ke Fayde
- Aap Foreign account se payment receive kar sakte hai.
- Agar aapke pas Credit card nahi hai to, Foreign country me payment karne ke liye aap apne Debit card ka use kar sakte hai. Isme ye aapki help karta hai.
- International transactions jaise ki online shopping ya hosting lene ke liye Paypal jyada trustable hai. Credit card ki details share kiye bina aap online payment kar sakte hai. Isse aapka Credit card bhi secure rehta hai.
- PayPal se aap Foreign country me payment bhej sakte hai. Aur apne Foreign clients ke liye Invoice bhi generate karke direct payment bhej sakte hai.
Paypal kya hai iske baare me to aap jaan chuke hai. Chaliye aage baat karte hai Paypal account create karne ke liye kin cheezo ki jarurat padti hai aur Paypal id kaise banaye.
PayPal Par Account Banane Ke Liye Kya Chahiye?
- Bank account:- Paypal se payment receive karne ke liye aapke pass ek Bank khata hona jaruri hai.
- Email id:- Account create karne ke liye aapke pass ek Email id hona bhi jaruri hai. Paypal me email account aapke Paypal account number ka kaam karta hai.
- PAN Card:- Aapko Pan card ki jarurat bhi padti hai. Aur aapka PAN number bank ke sath attach hona jaruri hai.
Aap Paypal account free me create kar sakte hai. Agar aap kisi ko Paypal se paise bhejna chahte hai to uske liye aapko uski Bank details ki jarurat nahi padegi. Bus aapko uske Paypal account ki email id pata honi chahiye.
PayPal Par Account Kaise Banaye 2024?
- Step 1. Sabse pehle PayPal par jaye aur “Sign up Now” par click kare.
- Step 2. Ab aapke samne 2 options dikhenge.
- Individual Account
- Business Account
Individual account unke liye hai jo online shopping karna chahte hai ya phir sirf payment send karna chahte hai.
Business account unke liye hai jo online paiso ka len den karte hai. Jaise ki Freelancers, Sellers & Businesses.
- Step 3. Individual account banane ke liye “Individual account” ko select kare aur uske bad “Next” par click kare Jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai.
- Step 4. Ab aapke samne new page open hoga. Jahan aapko by default Country India milegi. Aapko Email aur password enter karna hai. Uske bad password re-enter karke confirm kare. Sabhi details fill karne ke bad “Next” par click kare.
- Step 5. Jaise hi aap continue par click karenge aapke samne ek aur new page open hoga jahan aapko apni personal details fill karni hai.
Puchi gayi sabhi details sahi tarike se fill kare (Wahi details fill kare jo aapke PAN card me updated hai). Uske bad I agree ke samne bane check box par click karke “Agree and create account” par click kare.
- Step 6. Ab aapke samne Aapka Debit or Credit card add karne ka option aayega. Aap “I’ll link may card later” par click kare. (Aap bad me bhi apna Debit/Credit card add kar sakte hai). Uske bad “Yes, skip it” par click kare.
- Step 7. Ab aapka Paypal account create ho chuka hai. Aapke email address par ek confirmation mail aayega jahan aapko “Confirm Email Address” par click karke apna account verify karna hai.
- Step 8. Ab aap apna password enter karke apne PayPal account me login kar sakte hai.
Account create hone ke bad aap apna Credit or Debit card link kar sakte hai.
PayPal Business Account Kaise Banaye 2024?
- Step 1. Sabse pehle PayPal sign up par click kare.
- Step 2. Ab aapko 2 options dikhenge jaisa humne aapko uppar bataya tha. Yahan aapko “Business account” select karna hai.
- Step 3. Select karne ke bad “Next” par click kare.
- Step 4. Ab jo new page open hoga wahan Email id enter karke “Continue/Next” par click kare.
- Step 5. Next page par Password enter kare aur “Log In” par click karde.
- Step 6. Ab aapke samne jo page open hoga wahan aapko Apna Business type fill karna hai. Select karne ke bad “Continue” par click kare. Jaisa neeche image me dikhaya gaya hai.
- Step 7. Ab aapke samne ek form open hoga jaisa neeche screenshot me dikhaya gaya hai. Yahan aapko apne Business ke baare me jo details puchi gayi hai woh fill karni hai. Yahan aapko apna PAN number bhi enter karna hoga.
Sabhi details sahi tarike se fill karne ke bad “Continue/Submit” par click kare.
- Step 8. Ab aapke samne ek aur new form open hoga. Jahan aapko again Puchi gayi details fill karni hai aur uske bad “Agree and Continue” par click kare.
- Step 9. Ab aapko 6-7 options dikhenge jinhe pura karne ke bad aap apne PayPal account ka use kar sakte hai. Jinke baare me maine neeche bataya hai.
PayPal Account Create Karne Ka Tarika
- 1. First, let’s confirm your email address.
Ab aapka account create ho chuka hai. Aapke email inbox me ek verification mail aayega. Jise open karke aapko “Get Started Now” par click karne hai aur uske bad aapka account verify ho jayega.
- 2. Link a Bank account.
Is process ko complete hone me 2-3 working days lagte hai. Jaise hi aap “link a Bank account” par click karenge. Yeh aapse aapka Bank account Add karne ke liye kahega. Aapko puchi gayi sabhi details fill karni hai. Jaisa neeche image me dikhaya gaya hai.
1. Name on Bank account (Yeh name aapke PAN card se match hona chahiye)
2. Aapka Bank account Name
3. Bank ka IFSC code (Jis bhi bank me aapka account hai uska IFSC code aapko enter karna hai)
Agar aapko aapke bank ka IFSC code nahi pata to aapke pass us bank ki passbook ya phir cheque book hogi aap wahan dekh sakte hai. Ya phir Google par jakar apne Bank aur branch ka naam likh bhi kar search kar sakte hai.
Bank account add ho jaane ke bad Verification ke liye Paypal aapke account me do Small deposit bhejega. Jise aapke account me aane me lagbhag 6 Working Days ka time lagta hai.
Deposit aane ke bad aapko apne Paypal account me login karna hai aur deposit ka amount enter karke verification complete kare. Jaise hi verification complete ho jayegi aap apne PayPal account se transactions kar sakte hai.
Paypal Account me Bank verify kaise kare iske liye maine ek video bhi banai hai jise aap watch kar sakte hai.
- 3. Complete online verification to start accepting International Payments immediately.
International payments accept karne ke liye online verification complete kare.
- 4. Upload your Identity documents for verification to start accepting local payments.
Payments receive karne ke liye maange gaye document upload kare.
- 5. Choose your payment methods.
Yahan payment receive karne ke liye aapko 3 methods diye gaye hai. Apne comfort ke hisab se koi bhi method choose kare.
- 6. Raise limits to move money more easily.
Paypal account se apne account me paise transfer karne ki limit ko badhane ke liye apna Bank account ya Card verify karwaye.
Conclusion
Umeed karte hai is post ke madhyam se aapko samaja aagaya hoga PayPal kya hai aur PayPal account kaise banaye 2024 Me. Phir bhi aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment box me comment karke jarur bataye.
Is blog par hum aesi jankari share karte rehte hai. Latest updates ke liye blog ko subscribe kare.
Post ko Social sites par jarur share kare. Jisse baaki log bhi iske baare me jaan sake.
Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera YouTube channel jarur SUBSCRIBE kare.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-
Bahut achi information hai thank you very much
Paypal account ke baare mein vistar se bataya hai aapne. Itni achchi jankari dene ke liye aapko bahut dhanyawad.
Thanks Dear.
PayPal ke bare me apne aachi jankari di hai
Thanks Dear.
Hi Nargis, Paypal K Liye Pan Card Jaruri hai kya?
Ji, PayPal ke dwara Payment lene ke liye Pan Card jaruri hai.
itna aacha article likhne ke liye aapka bahut dhanyavaad. mujhe bhi ye sikhna hai. kripya guide karen…
Hanji bataye kya puchna hai aapko?
आप बहुत अच्छी जानकारी देते है। मुझे भी आपकी तरह एक ब्लॉगर बनना है। आप अपने ब्लॉग पर सभी जानकारी बहुत विस्तार से समझाते है। अगर आपको याद होगा तो मैंने पहले भी आपकी पोस्ट में कमेंट की है।
धन्यवाद सुनीता जी.
Pay pal se paisa nahi nikal raha yar hamara
Kya issue aaraha hai?
ab mene bhi paypal me easily account bana liya , dhanyawaad dost
My Pleasure.
Thanks a lot
My Pleasure.
very nice article, thanks for sharing.Really helpful.
Thanks, Keep visiting.
Bhai yah bahut he acha article likha hai aapne
Thanks, Keep visiting.