Hello Dosto, Pichli post me humne bat ki thi Domain kya hota hai. Aaj hum bat karenge ussey hi jude ek important topic par वेब होस्टिंग क्या है? What is Web Hosting in Hindi (Web Hosting meaning in Hindi).
Agar aap Blogging karna chahte hai ya phir koi website banane ke baare me soch rahe hai to aapko Domain aur web hosting ke baare me pata hona chahiye. Web hosting kya hai (Web hosting meaning in Hindi) aur website banane ke liye ye dono hi kyon zaruri hai.
Jo bhi beginners hote hai unhe hosting ko lekar kaafi sawal hote hai ek achchi hosting kaise aur kahan se le. Aap post ko last tak read kariye aapko aapke sabhi sawalo ke jawab mil jayenge.
Web Hosting Meaning in Hindi (वेब होस्टिंग क्या है?)
Web hosting ko samajhne ke liye aapko internet ke baare me pata hona zaruri hai. Kyonki Internet ke baare me agar aap jante hai to aasani se aap Web hosting kya hai iske baare me bhi samajh jayenge.
Internet ka matlab hai online ek dusre computer user ke sath connect karna. Jab hum ek computer se dusre computer me koi data file, information, Images, Video transfer ya receive karte hai to dono computer users ke beech ek chota sa connection ban jata hai. Jise hum internet keh sakte hai. Chaliye ab Jante hai Web hosting kya hai.
Web hosting ek aesi service hai jo duniya ki sabhi websites ko internet me space deti hai. Space ka matlab hai jab aap koi website ya blog banate hai usme content, images, video ya phir koi bhi file upload karte hai to woh data web hosting ke server par save rehta hai.
Jab bhi koi user apne browser (Chrome, Mozilla, Opera ) me aapka domain name search karta hai. Uske bad internet aapke domain name ko aapke web server se connect kar deta hai. Jahan aapki website host hoti hai means jahan aapki website ki information pehle se save ho rakhi hoti hai. Connect hone ke baad blog ka saara data user ke browser me show ho jata hai.
Uske bad user apne hisab se Jo bhi view karna chahta hai woh kar sakta hai.
Web Hosting Kaise Kaam Karti Hai?
Jaise ki humne uppar baat ki Web hosting ke dwara aap internet me apni web storage (Jahan aapka data save hota hai) bana sakte hai. Jisse jab bhi koi user aapki website ko visit karta hai to aapka hosting server us user ke samne aapki post ya jo bhi information wo search karta hai woh show karta hai.
Web Hosting Ko Hum Do Tariko Se Kaam Me Le Sakte Hai
- Apna Khud ka hosting server bana kar website ko host kare
Apna khud ka web hosting server banane ke liye aapko iska experience hona bhut zaruri hai. Hosting server banane ke liye bhut badi costing lagti hai aur iske liye aapka computer 24*7 open rehna zaruri hai. Internet speed bhut achchi honi chahiye jisse aapki website kabhi down na ho.
Is tarah ki service ko badi companies ya organization hi use karte hai jaise Google, Facebook, Twitter.
- Kisi Dusri company ke Hosting server me apni website ko host kare
Jo companies hosting service provide karti hai wahan se hosting service le kar unke server par apni website ko host kar sakte hai. Jisme aapko service to achchi milegi hi dusra costing bhi aapko sirf monthy 500-600 hi aayegi.
Web Hosting Kahan Se Kharide?
Web hosting service provide karne wali companies duniya bhar me bhut si hai. Jo aapko best se best hosting service provide karti hai. But agar aap sirf India ke readers ko target karte hai to behter yahi rahega ke aap India ki hi kisi achchi company se hosting kharide. Kyonki aapka hosting server jitna pass rahega utna hi kam time website ko access karne me lagega.
Nichey aapko kuch companies ke naam bataye hai jo best service deti hai aur trustworthy hai.
- HostGator
- Bluehost
- SiteGround
- Reseller Club
- BigRock
वेब होस्टिंग कौनसी कंपनी से खरीदें?
Aaj ki date me bhut saari companies hai jo web hosting ki service deti hai. But aapko pehle ye decide karna hoga aapki zarurat kya hai. Phir uske hisab se aap hosting le sakte hai. Jis bhi company se aap hosting leta hai aapki site ka server wahin hota hai. Server par aap apne hisab se kitna bhi space le sakte hai woh MB ya GB me hota hai.
Maine nichey kuch tips di hai jo aap web hosting kharidne se pehle follow kar sakte hai:-
- 1 Disk Space
Disk space ka matlab hai aapki hosting ki storage limit. Jaise aapke phone me GB ke hisab se space hota hai. Usi tarah hosting me bhi aapko storage ka option milta hai. Ho sake to unlimited storage wali hosting choose kare. Jisse aapko future me storage full hone ki koi tension nahi rahegi.
- 2 Bandwidth
Bandwidth ka matlab hai ki ek second me aapko website ya blog ko kitne log access kar sakte hai. Agar aapki bandwidth kam hogi to jyada traffic aane par aapki website down ho jayegi. Isliye jyada bandwidth ya unlimited storage wali hosting buy kare.
- 3 Customer Care
Hosting lete time ye dhyan rakhe company 24*7 support karti ho. Maine Reseller club ki hosting is blog ke liye use ki hui hai or filhal HostArmada ki hosting ka use is blog par ho raha hai.
Reseller Club company humari hi bhasa Hindi me support karti hai aur support ke mamle me yeh company mujhe personally bhut achi lagi.
HostArmada ka use maine kuch months pehle karna shuru kiya hai. Customer support ke liye maine abhi inka chat support liya hai. Jo ki yakeen maaniye bhut hi badhiya hai.
Abhi tak mujhe HostArmada ki service bahut hi achi lagi. Lekin ek beginner ke liye HostArmada kaafi costly hai. Isliye aap ResellerClub ya phir HostGator se start kar sakte hai.
Aage hum HostArmada or Reseller club hosting ke baare me ek detailed post likhenge. Jisse aapko iske Advantages or Disadvantages ke baare me pata lag jayega.
Agar aap in dono company me se koi hosting buy karna chahte hai to aap kar sakte hai. Reseller club aapko cheap price me mil jayegi. Lekin HostArmada iske comparison me bahut costly hai. Iske alawa HostGator ya Bluehost bhi achchi company hai.
- 4 Uptime
Uptime ka matlab hai aapka blog ya website kitne time Up yani ke active rehta hai. Kabhi kabhar kuch reasons ki wajah se website down ho jati hai matlab open nahi ho paati ya bhut slow khulti hai use Downtime kehte hai. Aaj kal lagbhag sabhi companies 99.9% uptime ki Guarantee deti hai.
Ye sab features agar aapko koi bhi company de rahi hai to aap wahan se hosting khareed sakte hai.
Types of Web Hosting (Web Hosting कितने प्रकार की होती है)?
Aap ye to samaj hi gaye honge Web hosting kya hai (What is web hosting meaning in Hindi). Ab baat karte hai web hosting kitne prakar ki hoti hai.
- Shared Web Hosting
Shared web hosting ke naam se aapko kahina kahi samajh aa hi gaya hoga ki is hosting ko share kiya jata hai. Ji haan, Shared web hosting ko hum usi tarah share karte hai jaise maan lijiye aap koi PG (Paying guest) ya Hotel ke room me rehte hai. Aur wahan aap apne friends ke sath room share karte hai aur jo rent hota hai wo sabhi members me divide ho jata hai.
Usi tarah shared hosting hazaaro website ke data ko ek hi server par store rakhti hai. Aur sabhi sharing members ko ek hi CPU RAM milti hai.
Isme problem tab hoti hai jab kuch websites par jyada traffic aane lagta hai to baaki website sath me slow ho jaati hai. But agar aap beginner hai to isse starting kar sakte hai aapke liye acha hai. Kyonki starting me aapki website ka traffic kam hota hai aur shared hosting hone ki wajah se iske rates bhi kam hote hai.
Jab aapki site par jyada traffic aane lage to aap hosting plan change kar sakte hai.
- VPS (Virtual Private Server)
VPS hosting thik usi tarah hai jaise PG ka ek room pura aapka ho. Yahan aapko kisi ke sath hosting share nahi karni padegi. VPS hosting me CPU RAM sab aapka hi rehta hai. Baaki logo ki website se aapka koi lena dena nahi hota na hi usse aapki website par koi fark padta hai.
Ye aapko thoda sa mehanga padta hai. But secure aur best performance dene wali hosting milti hai. Is hosting ko jyadatar woh log use karte hai jinki site par traffic jyada aata hai.
- Dedicated Hosting
Dedicated hosting me aap apni website ke liye pura server use kar sakte hai. Jis tarah sabse pehle aapne PG ya hotel ka room share kiya. Phir aapko pure room ki zarurat padi to aapne woh pura room liya, Uske baad maan lijiye aapki family ya relatives us hotel me rehne ke liye aaye aur phir aapko pura PG ya hotel rent pe lene pada.
Usi tarah, Shared hosting me hum hosting share kar rahe the, thoda traffic badhte hi humne VPS ko select kiya, Aur jyada zarurat padne par dedicated hosting ko kharidna pada. But ye hosting bhut costly hoti hai. Aur ise badi companies ya e-commerce site hi buy karti hai jaise ki Facebook, Amazon, Flipkart etc.
- Cloud Hosting
Cloud hosting kuch is tarah ki hosting hoti hai. Jahan dusre clustered servers ke resources ka use hota hai. Basically, Iska matlab ye hai ki aapka blog ya website dusre servers ke resources ka use karti hai.
Yahan security ka bhut hi khas dhyan rakha jaata hai. Cloud hosting me Cluster of Servers ko hi Cloud kehte hai. Jiska matlab hai bhut saare server ka ek samuh ya phir Jhund. Ye bakiyo ke comparison me costly hoti hai. But yahan high traffic ko bhi achche se control kiya ja sakta hai.
Reseller Club Hosting Buy Karne ke liye neeche di gayi Video dekhe:-
Conclusion
Is post se aap achche se samaj gaye honge Website hosting meaning in Hindi kya hai, What is Web Hosting in Hindi (वेब होस्टिंग क्या है), Web hosting kitne prakar ki hoti hai aur Web hosting kaha se kharide.
Phir bhi aapka koi sawal hai to aap hume comment box me puch sakte hai. Aage bhi hum Web hosting se jude aur bhi topics par baat karenge to aap is blog ke Notifications ko ON kar lijiye jisse sabhi latest update aapko mil sakey.
Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.
Ye post informative laga to ise social site par zarur share kijiye aur aese hi apna support karte rahiye.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-
amazing broo??
Thanks Dear
thanks sharing to
My pleasure 🙂