Instagram Kya Hai – Hello Friends, Jaisa ki aap sab jante hai aaj ki duniya me jyadatar log Social sites par apna samay bitate hai. Chahe wo personal use ke liye ho ya phir Business ke liye.
Aaj hum aese hi popular Social Media App ke baare me baat karne ja rahe hai. Jiska naam hai Instagram. Aaj hum baat karenge Instagram kya hai, Instagram kya chij hai aur Instagram App itna popular kyon hai.
Instagram ek Social Media Platform hai Facebook, Twitter aur WhatsApp ki tarah. Lekin is Platform ka use jyadatar photo aur video sharing ke liye kiya jata hai. To chaliye jante hai Instagram kya hai aur New Instagram account kaise banaye aur sath hi janenge Instagram features kya hai.
Instagram Kya Hai in Hindi (What is Instagram in Hindi)
Instagram photo aur video sharing ke liye use kiya jana wala sabse jyada popular Social Media App hai. Ye Application Kevin Systrom aur Mike Krieger ke dwara October 2010 me iOS device ke liye banaya gaya tha. Uske baad 2012 me Facebook ne ise khareed liya aur is App ko usi saal Android users ke liye aur kuch saal baad Window phone ke liye released kiya gaya.
Instagram App par aap WhatsApp ki hi tarah chatting kar sakte hai. Is App ko aap smart phone ke alawa PC (Computer aur Laptop) par bhi use kar sakte hai.
Instagram ko “IG” ke naam se bhi jana jaata hai. Yahan Aap jisko chahe follow kar sakte hai. Aapko apna account private karne ka bhi option diya jata hai.
Jisse agar koi bhi person aapko follow karna chahta hai to aapki permission ke baad hi woh aapko follow kar sakta hai. Aur uske baad hi aapki post, photo, video aur Instagram stories dekh sakta hai.
Facebook aur Twitter ki tarah hi aap yahan bhi hashtag ka use kar sakte hai. Instagram ko aap dusre social networking sites ke sath bhi connect kar sakte hai jaise ki Facebook and Twitter. Connect karne ka matlab hai aap apne dusre social profiles par bhi Instagram se photos share kar sakte hai.
Instagram Features in Hindi
Ab jaante hai Instagram ke features ke baare me. kyonki Instagram apne features ki wajah se hi itna jyada popular hai.
1. Instagram Stories
Instagram par aapko “stories” update karne ka option diya jata hai jo ki 24 ghante ke pura hote hi automatically hat jati hai. Ye feature same WhatsApp ki tarah hi kaam karta hai. Privacy settings hone par sirf aapke Instagram followers hi aapki story dekh sakte hai.
2. Instagram Direct
Instagram se aap direct chatting bhi kar sakte hai inbox icon par click karke. Jo ki aapko right hand side ke top par dikhega. Aap chahe to Instagram direct ke dwara kisi bhi person ya kuch logo ke group ko ek sath photo, video, locations share kar sakte hai.
3. Instagram Live Video
Aap Facebook ki tarah Instagram par bhi live video bana sakte hai. Woh bhi kaafi saare filters ke sath. Yahan aapko koi dusra App download karke photo editing karne ki jarurat nahi padegi.
4. Instagram Questions
Question sticker ek aesa feature hai Jahan aap apni story ke zariye apne followers se koi bhi sawal kar sakte hai. Jo bhi sawal aap question sticker me post karte hai. Uska response aapko ek alag screen par show hoga. Jahan aap apne followers ko unke response ka direct ya phir publicly bhi reply kar sakte hai.
5. Two-Factor Authentication (Secure Instagram Account in Hindi)
Two-Factor Authentication ek security feature hai. Jo ki aapke Instagram account ko secure karta hai. Ise enable karne ke bad jab bhi aap Instagram account me login karenge to aapke registered number par ek OTP (One Time Password) aayega jise enter karne bad hi aap Instagram log In kar sakte hai.
6. Reels
Yeh Instagram ka ek bahut hi badhiya feature hai jo ki India me Tik Tok Ban hone ke baad Launch kiya gaya tha. Ye Tik Tok ka alternative hai. Jahan aap 15-30 second ka video clip banakar music ke sath Instagram par upload kar sakte hai.
7. Other Features
Inke alawa aapko Boomerang, Rewind, Hand-Free jaise feature milte hai.
Ab tak humne baat ki Instagram kya hai (what is instagram in hindi) aur Instagram features kya hai. Ye sab janne ke bad baat aati hai Instagram par new account kaise banaye kare (How to create new Instagram account). To chaliye dekhte hai Instagram par account kaise banaye.
Instagram Par Account Kaise Banaye (How to create New Instagram Account)
Instagram par koi bhi person jiski age 13 saal hai ya usse uppar hai to woh account bana sakta hai. Aap Smart phone and PC (Computer aur Laptop) dono se Account create kar sakte hai. Maine neeche aapko dono tariko se account create karna bataya hai.
Create New Instagram Account From App:-
- Step 1. Sabse pehle apne smart phone par Instagram App download karke install kar lijiye.
- Step 2. Uske bad aapke pas option aayega “Sign Up With Email or Phone Number” to jahan bhi aap confirmation code lena chahte hai us par click kijiye. Maine yahan phone number se Sign Up kiya hai.
Aap chahe to Facebook account se bhi Log In kar sakte hai.
- Step 3. Aap jaise hi “Phone Number” par click karenge aapke samne phone number enter karne ka option aayega. Phone number enter karke next par click kar dijiye.
- Step 4. Phir aapke pas Instagram ke side se ek verification code ka text message aayega. Verification code enter karne ke bad jaise hi aap next par click karenge aapka number verified ho jayega.
- Step 5. Ab iske bad jo naya page open hoga wahan aapko apna username aur password banakar dalna hai. Uske baad next par click karte hi aapka Instagram account create ho jayega.
- Step 6. Account create hone ke bad aapko home page show hoga wahan aap apni profile picture, bio add kar sakte hai. Aur friend ko unke user name se search karke follow kar sakte hai ya phir apni contact list bhi jod sakte hai.
Create Instagram account on PC:-
- Step 1. Sabse pehle www.instagram.com par jaye.
- Step 2. Aapke samne ek form open hoga usey fill kare. Aapka Mobile number ya phir Email id, Full Name, Username aur Password create kare. Uske bad “Sign Up” par click kare. Aap chahe to Facebook se bhi Log In kar sakte hai.
- Step 3. Sign Up par click karte hi ek 6 Digit code aapke number par aayega code enter karte hi “Confirm” par click kare. Click karne ke bad aapka number verified ho jayega.
- Step 4. Ab aapka account create ho chuka hai. Uppar aapko jo bhi cheeze batayi gayi hai profile update ke liye aap unka use kar sakte hai.
Note:- Future me agar aap Instagram account delete karna chahe to aasani se kar sakte hai.
Conclusion
Umeed karte hai is post se aap achchi tarah samaj gaye honge Instagram kya hai (What is Instagram in Hindi), Instagram ke features kya hai aur Instagram account kaise banaye.
Aap chahe to apne Instagram account ko Business profile me bhi change kar sakte hai. Aane wali post me hum isi se related baat karenge. Latest updates paane ke liye is blog ke Notifications ON kar lijiye. Agar aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment box me puch sakte hai.
Post pasand aaya to jyada se jyada social site par share kijiye. Aur aese hi apna support karte rahiye.
Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke channel ko SUBSCRIBE jarur kare.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi badhe:-
thank you.
Welcome dear, Keep visiting:)