WhatsApp ki jankari Hindi me | WhatsApp Kya Hai Kaise Use Kare? (2024)

WhatsApp ki jankari Hindi me – WhatsApp ke baare me aaj kaun nahi janta. Aaj ki date me kisi ke smart phone me koi App ho ya na ho lekin WhatsApp App jarur hoga. Aaj hum isi popular App WhatsApp kya hai ke baare me baat karenge.

Jisse aap jaan payenge What is WhatsApp in Hindi, WhatsApp kaise chalate hai aur ye itna jyada popular kyon hai.

Aapko shayad hi pata ho WhatsApp ko 2009 me hi design kar liya gaya tha. Lekin market me isko nahi laya gaya kyonki isko aur jyada behter banana tha aur jo kamiya thi unhe dur karna tha.

WhatsApp ko Brian Acton aur Jan koum dwara banaya gaya tha jo ki Yahoo company ke employees the. Is post me humne aapko complete WhatsApp ki jankari Hindi me di hai.

To chaliye jante hai aakhir WhatsApp hai kya aur isko kaise chalate hai.

WhatsApp Ki Jankari Hindi Me

WhatsApp ki jankari Hindi me

WhatsApp ek behterin free messaging App hai jiske dwara aap internet ki help se kisi ko bhi message kar sakte hai chahe wo person aapki city me rehta ho ya phir city se bhar. Is App ke dwara aap sirf message hi nahi audio, video, contact, location, voice message, video call jaisi bhut si cheeze kar sakte hai.

Ye App bhut hi jyada secure hai kyonki isme end-to-end-encryption ka use kiya gaya hai. Jiske dwara koi bhi insan aapke photos, videos aur messages nahi dekh sakta hai. Iske popular hone ka main reason yahi hai ek to ye bhut hi jyada aasan hai chalane me dusra update ke time par WhatsApp hamesha kuch na kuch naya jarura lekar aata hai.

Is App ko aap kisi bhi smart phone me download kar sakte hai. Download ke liye aap WhatsApp ki website par ja sakte hai ya phir aap Android user hai to Google play store, iOS user hai to Apple store, Window phone user hai to Window store se download kar sakte hai.

WhatsApp History in Hindi

WhatsApp kya hai ke baare me to aap uppar ache se jaan hi gaye hai. Ab baat karte hai WhatsApp ki history kya hai. Basically is App ko 2009 me bana liya gaya tha lekin kuch cheezo ki kami hone ki wajah se ise market me lana thik nahi samjha gaya.

Bad me iske founder Brian Acton and Jan koum ne ek Russian coder ki help se isme jo bhi kamiya thi unko pura karke improvement ki. Aur isi tarah yeh sabse jyada use kiya jane wala messaging App ban gaya.

WhatsApp Founder Story in Hindi

Chaliye thoda is popular App ke founders ke baare me jaan lete hai. In dono ki story bhut motivational hai. Brian Acton ne apna bachpan central Florida me bitaya. 1994 me Stanford University se computer science me degree li. Aur uske bad inhone Apple company me as a software engineer join kiya.

Uske bad 1996 me Yahoo me join kiya. WhatsApp ko banane ka khayal inke dost koum ke man me aaya. Jab ek din woh movie dekh rahe the. Aur movie dekhte dekte inhone socha kyon na ek aesa App banaya jaye jis ki help se free me hum kisi ko bhi movie ke baare me messages bhej sake.

Jan koum ka janam ek bhut hi jyada simple parivar me hua tha. Inka janam 1976 me Ukraine ke ek chote se gaon me hua. Koum ke father ek construction company me worker the jo schools aur hospitals banane ka kam karti thi. Mother house wife thi.

Kaum ne San Jose state university se computer science aur Maths ki padahi puri ki thi.

Jab Koum ne apne dost Brain se is App ko banane ke baare me baat ki to unko ye bilkul practical nahi laga. Par bad me Brain ne isme interest dikhaya aur phir dono ne yeh App bana dala.

WhatsApp par Account kaise banaye?

WhatsApp par account kaise banaye

WhatsApp par account banane ke liye maine neeche kuch steps bataye hai. Jinhe follow karke kuch hi minutes me aap WhatsApp par account bana sakte hain.

  • Step 1. Sabse pehle aapko WhatsApp Download karna hai. Is link se aap direct ja sakte hai Download WhatsApp Ya phir Google play store se download kar sakte hai
  • Step 2. Download karne ke bad aapko ise install karna hoga. Install karne ke liye aapse mobile number pucha jayega. Apna mobile number enter kare.
  • Step 3. Uske bad aapke number par ek text message me verification code aayega.
  • Step 4. Code ko enter karte hi aapka account create ho jayega.
  • Step 5. Account create hone ke bad aap apna user name set kare.
  • Step 6. Aap apni profile pic aur about bhi add kar sakte hai.
  • Step 7. Isi tarah aap WhatsApp ka use aasani se kar sakte hai.

Kya WhatsApp Free Hai?

Ji ha, Ye App bilkul free hai iske liye aapko kisi bhi tarah ke koi charges nahi dene padte. Jab ye App launch kiya gaya tha tab ye paid tha. But 2014 me Facebook ne isko khareed liya aur tabse ye free hai. Bus ise chalane ke liye aapke pas internet hona chahiye.

WhatsApp Features in Hindi
WhatsApp Features in Hindi

Waise to Market me bhut se messaging Apps available hai. Lekin WhatsApp me aese bhut se features hai jinki wajah se ye bakiyo se alag hai. Unhi features ke baare me humne neeche baat ki hai.

  • 1. Text messages

Iski help se aap apne dosto aur relatives ko free me messages kar sakte hai. Bus aapke phone me internet hona chahiye. Internet se chalne ki wajah se aapko messages ka koi charge nahi dena padta hai.

  • 2. Photos aur Videos

Isme aap aasani se photo aur video share kar sakte hai. Aap direct camera ka use karke bhi photo click karke share kar sakte hai. Internet slow hone par bhi isme photos aur videos aasani se share ki ja sakti hai.

  • 3. Documents

Yahan aap koi bhi Document, PDF, Spreadsheets, Slideshows ko aasani se share kar sakte hai . Iske liye aapko kisi bhi tarah ke sharing app ya phir email ki jarurat nahi padti hai.

  • 4. Voice Messages

Kayi baari hume type karne ka man nahi karta ya phir hum bahar hote hai to us time me voice message ka feature bade kam me aata hai. Iski help se aap bina kuch like bus bolke apna message kisi ko bhi bhej sakte hai.

  • 5. Group Chat

Ye feature bade hi kamal ka hai. Iski help se aap apna group bana sakte hai chahe wo aapke friends, Relatives ya phir Co-workers ho. sabhi ke sath aap group me photos, videos aur documents share kar sakte hai. Aur agar sabhi ko koi important information deni hai to ek hi baar me message karke sabhi ko bata sakte hai.

  • 6. WhatsApp Voice aur Video Call

Is feature ke dwara aap voice aur video call kar sakte hai. Aur iske liye aapko koi alag se plan lene ki jarurat nahi padegi. Ye kaam aapke internet se hi hoga. Aur is feature se aap India me hi nahi balki kisi bhi country me voice aur video call ka use kar sakte hai.

  • 7. WhatsApp Web aur Desktop me use

Iska use aap web aur desktop me bhi kar sakte hai. Aap apni sabhi chats ko computer ke sath sync kar sakte hai. Jisse jab aapka man chahe aap us device se WhatsApp chala sakte hai. Iske liye aapko desktop App ka use karna hoga. Aur WhatsApp web ka use karne ke liye aap web.whatsapp.com ko visit kar sakte hai.

  • 8. End to End encryption ka hona

Isko security purpose ke liye banaya gaya hai. Jisse aap aur jisko aapne message, photo ya video send kiya hai uski chat aap dono ke alawa koi aur na padh sake. Jab aapki chat ko End to End encrypted kiya jata hai to aapki chat bhut hi jyada secure ho jati hai.

  • 9. Status

Is feature ki help se aap koi bhi Photo, Video, GIF apne status me lagakar apne contacts ya sabhi ko show kar sakte hai. Is feature ko aap apne hisab se customize kar sakte hai.

  • 10. Location

Yahan aap kisi ko bhi apni location share kar sakte hai. Is feature ki help se aap jahan bhi hai wahan ki location aapke receiver ko pata lag jayegi.

  • 11. Gallery

Is feature ki madad se aap apni Gallery se koi bhi Photo, Video, Document share kar sakte hai.

WhatsApp Business Kya hai?

Yeh ek Android App hai. Aur yeh un logo ke liye banaya gaya hai jin logo ka business hai. Iski help se aap apne customers ke sath bhut hi aasani se deal kar sakte hai.

Unke messages ka jald reply de sakte hai. Isme aapko aese bhut se features milenge jo aapke liye bhut helpful hai.

Ye aap normal WhatsApp se thoda different hai. Lekin use karne me aasan hai.

Agar aapka bhi koi small business hai to uski growth ke liye aap iska use jarur kare aapke liye bhut beneficial rahega.

Conclusion – WhatsApp ke bare mein jankari

Umeed hai ki aap WhatsApp kya hai ke baare me ache se jaan gaye honge. Is post me humne aapko complete WhatsApp ki jankari Hindi me (WhatsApp information in Hindi) me di hai. Sath hi ye bhi bataya hai WhatsApp par account kaise banaye or WhatsApp kaise chalate hain aur isme aapko kya features milenge.

Post ko lekar aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke bata sakte hai. Aage bhi hum aesi jankari share karte rahenge. Latest jankari ke liye blog ke Notifications ON karna na bhoole.

Post pasand aaya ya helpful laga to social sites par jarur share kare. Aur aese hi apna support dete rahe.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:- 

Leave a Comment