Holi Kyu Manate Hai | History of Holi in Hindi (2024)

Hello Friends, Hindustan me rehne wale sabhi log Holi ke tyohar ke baare me to jante hi hai. Lekin Holi kyu manate hai iske baare me bhut hi kam logo ko pata hai. Aaj is post me hum yahi batane wale hai Holi Kyu Manate Hai aur Holi manane ka sahi tarika kya hai.

Holi ko hum Prachinkaal se manate aa rahe hai. Is tyohar ke sath bhut si kahaniyan judi hui hai unhi kahani ke baare me aaj hum aapko batayenge. Holi ko do din manaya jata hai. Pehle din hum Holika jalate hai. Jise Holika dehan kaha jata hai. Dusre din ek dusre ke rang lagakar gale milte hai aur khushiyan manate hai.

Is din khane me bhi bhut se pakwan banaye jaate hai. To chaliye jante hai akhir Holi kyu manaya jata hai aur Holi manane ka sahi tarika kya hai.

Holi Kyu Manate Hai (Holi Kyu Banai Jati Hai)?

Holi kyu manate hai

Holi tyohar se judi sabse famous kahaniyo ke baare me hum aapko bata rahe hai. 

Kahani No. 1 – Holi Kyu Manai Jati Hai?

Himalaya ki putri Parvati ji Shiv ji se vivah karna chahti thi jiske liye woh bhut kathor taap karne lagi. Parvati ji ke kathin taap ko dekhte hue sabhi devta bhi yahi chahne lage ke Shiv ji ka vivah Parvati ji se ho jaye. Aur Indra bhagwan ko pata tha Tadkasur ka vadh Shiv aur Parvati ke putra ke hatho hi hona hai.

Shiv ji tapasya me jute hue the dusri or Indra Bhagwan intejar me the kab unki tapasya puri ho aur woh Parvati aur Shiv ji ke vivah ke liye unko manaye. Parvati ji bhi puri tarah jaap me lagi hui thi. Tabhi Indra devta ne socha kyon na Shiv ji ki tapasya bhang kar di jaaye.

Unhone is kaam ke liye kamdev ko bheja lekin Krodh me aaye Shiv ne usko bhasam kar dala.

Isi beech Indra devta ne Shiv ko Parvati ke sath vivah ke liye taiyar kar liya. Falgun purnima ko Shiv Parvati ka vivah hua aur tabse hi isi din Holi manayi jane lagi. Is din ko sabhi devtao ne badi dhoom dham ke sath manaya.

Aur tabse aaj tak hum sab log bhi Holi ka tyohar badi dhoom dhaam aur pyar se manate hai.

Ye thi Holi ke tyohar ki pehli kahani. Chaliye dusri kahani kya hai thoda uske baare me jante hai.

Ye bhi padhe:-

Kahani No. 2 – Holi Kyon Manai Jati Hai?

Prahlad aur Holika ki kahani aapme se jyadatar sabhi logo ne suni hogi. Kyonki ye sabse famous hai. Is kahani me Hiranyakashyap naam ka ek balshali asur hua karta tha. Jise Brahma devta dwara vardan mila tha kabhi na marne ka.

Jise koi insan na hi koi janwar mar sakta tha. Na hi kisi astra se ya shastra se, Na hi dharti me na hi akash me, Na ghar ke bhitar na bhar, Na hi din me na hi rat me. Isi aseem shakti ki wajah se woh bhut ghamandi ho gaya tha. Jo ki apne aap ko hi bhagwan samajhne laga.

Apne rajya ke sabhi logo ke sath bura bartav karta tha. Sabko apne naam ka jaap karne ke liye kehta. Vastav me woh Bhagwan Vishu se apne chote bhai ki maut ka badla lena chahta tha. Jise Vishnu bhagwan ne mara tha.

Hiranyakashyap ka ek putra the jiska naam Prahlad tha. Prahlad ek asur ka beta hone ke bavjud Vishu bhagwan ka jaap karta tha hamesha unhi ki bhakti me leen rehta tha. Jabke dusri or rajya ke sabhi log Hiranyakashyap ke dar se uska jaap karte the. Ye baat Hiranyakashyap ko bilkul pasand nahi aayi.

Usne pehle to Prahlad ko pyar se samjhane ki bhut koshish ki lekin jab Prahlad ne unki ek na suni to unhone apne hi putra ko maarne ka faisla kiya. Is ghatiya kaam ke liye unhone apni hi behan Holika se sahayta maangi.

Holika ko Shiv ji dwara vardan me ek kapda mila tha jisme jabtak woh kapda Holika ke sharir par rehta unhe koi jala nahi sakta tha.

Is baat ka fayda uthakar Hiranyakashyap ne ek yojna banayi. Jisme usne Holika se kaha ke woh aag me apni goud me Prahlad ko leke baith jaaye. Jisse vardan me mile kapde ki wajah se Holika ko to kuch nahi hoga. Lekin Prahlad aag me jal kar bhasam ho jayega.

Isse rajya ke sabhi logo ko ye sabak mil jayega agar kisi ne bhi uski aagya ka palan nahi kiya to unka bhi yahi haal hoga.

Jab Holika Prahlad ko lekar aag me baithi to us time woh Vishu bhagwan ka hi jaap kar rahe the. Bhagwan ka sabse bada kartavya yahi hota hai woh apne bhakto ki rakhsha kare.

Uhnone aesa toofan laya jiski wajah se Holika ke sharir par lipta kapda hawa ke sath ud gaya. Aur vardan paane wali Holika aag me jalkar bhasam ho gayi. Jabke Prahlad ko Agni dev ne chuha tak nahi.

Tabse Hindu dharam ke log is din ko burai par achai ki jeet ke roop me dekhte hai. Aur tabse hi Holi tyohar manane ki prampara shuru ho gayi.

Holi se ek din pehle log Holika dehan hota hai. Jisme log lakdi, Gobar, Ghaas se bane ek dher ko jalate hai aur uske charo or chakkar laga kar apni sabhi buraiyo ka khatam karte hai. Aur agle din se nayi shuruaat karne ka faisla karte hai.

Ye bhi padhe:-

Kahani No. 3 – Holi Me Ek Dusre Ko Rang Lagane Ka Riwaj Kaise Shuru Hua

Holi kyon manai jati hai

Holi me Rang gulal lagane ka riwaj Shri Krishna dwara shuru hua tha. Bhagwan Krishna Holi ka tyohar rango dwara manate the. Nagarwasi Radha – Krishna ke prem rang me doob jaate aur Holi ka tyohar dhoom dham se manate.

Dheere dheere Mathura Vrindavan ki holi rango se kheli jaane lagi. Ab sabhi log Holi ko rango ke sath khel kar badi dhoom dham se manate hai. Abhi bhi yahi riwaj chala aa raha hai.

Holi Festival Ki History (History of Holi in Hindi)

Holi Festival apni Sanskritik aur Paramparik maanyatao ki wajah se bhut purane time se manaya ja raha hai. Is ritual par log parko, sadko, mandiro ke aaspas khali jagah me Holika dehan ki rasam nibhane ke liye lakdiyo aur dusre jalne wale material ka dher banana shuru kar dete hai.

Bhut se log apne gharo ki saaf safai bhi karte hai. Aur alag alag tarah ke khane banate hai. Jaise Gujiya, Chips, Mithai, Malpua wagahera.

Holi ka tyohar Hindu dharam ke logo ke liye bhut bada tyohar hai. Holi ek aesa tyohar hai. Jise desh ka har praant dhoom dham se manata hai. Yeh tyohar hume ek dusre ke sath mil jhulkar rehne ki inspiration deta hai.

Holi Ka Tyohar Manane Ka Sahi Tarika Kya Hai?

Pehle ke time me rang natural cheezo se banaye jaate the jise Gulal kaha jata hai. Jo ki skin ke liye ache tha. But aaj ke time me jyadatar companies color banane ke liye chemicals ka use karti hai. Jo ki Gulal ke comparison me bhut sasta milta hai lekin skin ke liya utna hi hanikarak hota hai.

Chemical se bane rang se skin jaisi bimariyan hoti hai. Jo ki bhut problem karti hain. Neeche maine aapko bataya hai Holi tyohar ke din kya karna chahiye aur kya nahi.

Holi Ke Din Kya Karna Chahiye

  • Holi ke din aese kapde pehne jo aapki body ko puri tarah cover kare. Jisse jab koi aapko color lagaye to aapke kapdo ki wajah se color aapki skin par lagne se bach jaaye
  • Sir ke liye cap ka istemal kar sakte hai jisse baalo ko nuksan na pahunche.
  • Rang khelne se pehle apni body par koi bhi oil lagale jisse nahate time rang aasani se nikal jaaye.
  • Holi ke din organic color ka use kare jaise ki food dye.
  • Rang khelne ke baad skin me kisi bhi tarah ki problem lage jaise irritation ya phir kisi bhi tarah ke daane nikalna to turant kisi pass wale hospital me check karwaye.

Holi Ke Din Kya Nahi Karna Chahiye
  • Chemical se bane rang ka istemal bilkul bhi na kare.
  • Rango ko kisi ke bhi jabardasti na lagaye chahe wo ek insan ho ya phir janwar. Kyonki jitna khatarnak woh ek insan ke liye hai utna hi ek janwar ke liye bhi hai.
  • Holi ka din apni family ke sath celebrate kare. Ajnabiyo se dur rahe.
  • Rango ko kisi ki aankh, naakh, kaan me na daale.
  • Saste Chinese rango se dur hi rahe. Kyonki woh aapki skin ke liye bhut hanikarak hai.

Rango Ko Apni Body Se Kaise Nikale?
Holi kyu banai jati hai

Rang khelne se pehle aap body ko oil se ache se moisturize karle. Jisse jab aap rang khele to nahate time color aapki body se aasani se nikal jaaye. Jyada sukhe aur natural rango ka istemal kare. Jisse baad me skin me koi problem na ho paaye.

Is Saal Holi Kis Din Manayi Jayegi?

Is Saal Holi Monday, 25 March 2024 ko Manayi Jayegi.

Conclusion

Umeed karte hai aapko ye post pasand aayi hogi. Aur aapko yeh bhi pata chal gaya hoga Holi kyu manate hai (Holi kyon manai jati hai). To is saal khoob dhoom dham se Holi ka tyohar manaye aur khushiyan baante. Post ko lekar aapka koi sawal ya sujhav hai to comment karke jarur bataye.

Aage bhi hum Festival se judi jankari share karte rahenge. Regular updates ke liye Blog ke Notifications ON jarur kare.

Post pasand aayi to social sites par share karna na bhoole. Hindi Blogging Hub ki side se aapko “Happy Holi”

Agar Aap mujhse Facebook par judna chahte hai to aap mera Facebook page follow kar sakte hain. Yahan aese sabhi updates ka notification sabse pehle milta hai.

 Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

Leave a Comment