Cloud Computing Kya Hai in Hindi – Aaj tezi se badh rahi technology ne duniya badal ke rakh di hai. Inhi me se ek technology ka naam hai Cloud computing ye naam aapne kabhi na kabhi kahin suna ya padha jarur hoga.
Ye technology pure world me teji se apna dab daba banati ja rahi hai. Waise to iska connection IT aur Computer network field se hai. Lekin iska use har koi kisi na kisi roop me kar raha hai. Chahe wo mobile phone se hi kyon na ho.
Aaj is post me hum yahi batane ja rahe hai Cloud computing kya hai, What is Cloud Computing Definition in Hindi, Cloud computing kitne types ki hoti hai, Iska use kaise kare aur iske kya benefits hai.
Cloud computing se judi puri jankari ke liye post ko last tak jarur padhe.
Cloud Computing Kya Hai in Hindi?
Ye ek internet based computing hai. Jo internet dwara ki jati hai. Aasan bhasha me bataye to Jab hum apne kisi bhi Data, Software, Programs ko computer ki hard drive me save na karke use internet par upload karte hai. Aur internet ki madad se store kiye data ko access karte hai to ise cloud computing kehte hai.
Aesa nahi hai ke data ko online store karna hi kewal cloud computing kehlata hai. Jab hum internet ki help se apne email id aur password dwara online kisi bhi service ka use karte hai to wo cloud computing me aata hai.
Cloud Computing Meaning in Hindi (What is Cloud Computing With Example in Hindi)
Facebook, Twitter, LinkedIn, YouTube, Google Drive, Drop box, One drive, Gmail, Yahoo, Hotmail, Picasa, Flikr etc. Ye sabhi cloud computing ke examples hai. In sabhi services ko hum user name aur password ki help se kahin se bhi access kar sakte hai.
Agar humare pass acha internet connection hai to jo software hum apne pc ya laptop me chala nahi pate. Ya jo games hum khelna chahte hai lekin hamara pc us level ka nahi hai jo humari pasandida games ko support kar paye. To woh sabhi games hum internet ki help se online khel sakte hai. Ye bhi cloud computing kehlayega.
Online data manage aur access karne ke liye Google docs aur spreadsheet cloud computing ka bhut hi badhiya example hai.
Aapka Phone/Computer kharab ya chori hone par bhi aap apne data ko cloud computing services ki help se naye device me aaram se wapas la sakte hai.
Shared Computer Processing Data ko Computers aur dusri Devices ko On Demand Provide karti hai. Cloud computing ne aaj har ek individual aur enterprise ki life ko bhut jyada easy aur secure bana diya hai.
Jahan pehle badi enterprises aur organizations ko apni company ka data aur files store rakhne ke liye khud ka infrastructure lagakar bhut kharcha karna padta tha. Wahan aaj market me bhut saari companies aesi hai jo cloud computing ki services provide kar rahi hai.
Bhut kam kharche me aap apne business ke liye cloud computing services ki help se apna saara data aur files securely online store kar sakte hai.
Cloud Computing Kitne Types Ki Hoti Hai?
Cloud computing ko aamtaur par location ke aadhar par classified kiya jata hai ya phir cloud dwara offer ki jane wali services par.
Neeche diye gaye types me hum Cloud location ke aadhar par cloud ko baant sakte hai.
Types of Cloud:-
Public:-
Is prakar ki cloud computing me publicly data available rehta hai. Jise koi bhi dekh sakta hai aur download kar sakta hai. Isme individual user ka koi control nahi rehta. Ye kam secure hai.
Private:-
Is tarah ki cloud computing bhut hi jyada secure hoti hai. Kyonki iska pura control individual user ke haath me hota hai. Google photos aur Google drive iska best example hai. Kyonki ise aap apni Gmail id aur password ke dwara hi access kar sakte hai.
Hybrid:-
Hybrid cloud me private aur public cloud computing dono ka use kiya jata hai. Ye totally aapke purpose par depend karta hai.
Example:- Kisi site par users se interact karne ke liye public cloud ka use kiya jata hai. Jabke dusri aur unke data ko secure rakhne ke liye private cloud ka use hota hai.
Community:-
Is tarah ke cloud ka use kisi organisation ke members ya groups dwara kiya jata hai. Jise kewal us organisations ke members hi access kar sakte hai.
3 Types of Cloud Computing (Jo Ki Cloud Dwara Di Jane Wali Services Ke Aadhar Par Hai)
1. Infrastructure as a service (IaaS)
IaaS cloud computing ki sabse basic category hai. Jo aapko cloud providers se aapke dwara pay kiye charges ke anusaar IT infrastructure (Data storage disks, Virtual servers aur Networking) kiraye par provide karati hai.
Example:- Amazon Web services (AWS), Google compute engine (GCE), Rackspace.
2. Platform as a service (PaaS)
Isme ek development platform provide kiya jata hai. Jahan aap bina kisi infrastructure, network, database, storage, managing ki chinta kiye bina Web ya phir Mobile application design kar sakte hai.
Isme Operating system, Database, Web server, Programming language execution environment shamil hai.
Example:- OpenShift, Magento Commerce Cloud.
3. Software as a service (SaaS)
SaaS ek software distribution model hai. Jisme ek third party vendor dwara applications ko host kiya jata hai aur internet par customers ke liye available karaya jata hai.
Software ke liye user subscribe bhi kar sakte hai aur Web ya vendor APIs dwara unhe access kiya ja sakta hai.
Example:- Mailchimp, Hubspot, Google Apps.
Cloud Computing ke Fayde (Benefits Of Cloud Computing in Hindi)?
Cloud computing ko use karne ke bhut se fayde hai. Even ye aapke kaam ko aur jyada aasan banata hai. Neeche humne cloud computing ke fayde ki list share ki hai.
- Ise use karne par aap apne data ko kabhi bhi aur kahin se bhi access kar sakte hai.
- Iske liye aapko hamesha apna computer ya laptop sath rakhne ki jarurat nahi hai. Kyonki ise aap kisi bhi device se access kar sakte hai. Apne mobile se bhi.
- Cloud computing ke liye aapko kisi bhi prakar ka hardware use nahi karna padta.
- Cloud computing ki madad se aap kisi bhi size ki file ko online share kar sakte hai. Iske liye koi limitation nahi hai.
- Isme aap apne documents, files ko online edit bhi kar sakte hai.
- Phone, Laptop ya phir computer ke chori ya kharab ho jane par data ke lost hone ka koi khatra nahi rehta.
- Ise Use karna bhut hi jyada aasan hai.
- Is facility ko aap free me use kar sakte hai.
Cloud Computing Ka Use Kaise Kare (How to use Cloud computing in Hindi)?
Cloud computing ko use karne ke liye aapko sabse pehle cloud storage service dene wali websites par account banana hai. Uske bad aap aasani se cloud computing ka anand utha sakte hai.
Maine yahan cloud storage use karne ke liye Google drive ke baare me bataya hai. Aap apni koi bhi file, Documents, Video cloud storage me store karne ke liye neeche diye gaye steps ko follow kare.
- Google drive me apna data store karne ke liye aapke pas sabse pehle ek Gmail account hona bhut jaruri hai.
Agar aapke pass Gmail id hai to bhut achchi baat hai. Otherwise aap ye post padhke New Gmail id create kar sakte hai.
- Agar aapne pehle se Gmail id banayi hui hai to apna gmail account login kare.
- Login karne ke bad Right side top me bane “Doted square” par click karke Google drive par jaaye.
- Google drive open hone ke bad “+ New” icon par click kare.
- Ab aapke samne bhut saare option aajayenge “File upload” par click karke apni photo, video, files ko upload karde.
Haina! Tha na ye kitna easy.
Note:- Upload kiye gaye data ko aap apni Gmail id aur internet ki help se kahin se aur kisi bhi device se access kar sakte hai.
Google drive ki jyada jankari ke liye humare dwara likhi ye post padhe What is Google drive in Hindi
Conclusion
Friends, Umeed karte hai aapko achche se samajh aagaya hoga Cloud Computing Kya Hai in Hindi, What is Cloud computing in Hindi aur ise kaise use kare. Phir bhi post se juda aapka koi sawal hai ya aap kuch puchna chahte hai to comment karke jarur bataye.
Is blog par hum Technology & Internet se judi information share karte rehte hai. Latest updates paane ke liye Blog ke Notifications ON jarur kare.
Agar aap humse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke humare channel ko SUBSCRIBE jarur kare.
Post information laga ya aapki isse kuch help hui to apne friend ke sath share karke unhe bhi iski jankari de. Jisse wo log bhi iska fayda utha sake.
Swasth Rahe, Khush Rahe!!!
Ye bhi padhe:-
I first time visit this website. This website is Amazing. Article has full details.
Thanks you so much. Adhik jankari ke liye blog visit karte rahiye 🙂