5 Second Me Photo Ka Background Change Kare Online

5 Second Me Photo Ka Background Change Kare Online – Friends, Kabhi kabhar hume apne photo ka background change karne ki jarurat pad jati hai. Aese me hum App ya phir kisi software dwara photo edit karne me lag jate hai. 

Jiski wajah se humara kaafi sara time waste hota hai. Aur utni achi quality me photo edit nahi ho pati jitna hum karna chahte hai.

Aaj is post me hum isi problem ka solution laaye hai. Jiske dwara aap aasani se 5 second ke andar apne photo ka background hata sakte hai. Woh bhi badhiya quality me.

Bus aapko post ko dhyan se padhna hai aur aap bhi automatic background remover, Change photo background online ka use karke apne photo/image ke background ko remove kar sakte hai.

To chaliye jante hai aesa konsa automatic background remover hai. Jiske dwara aap bina quality gawaye photo ka background hata sakte hai.

Photo Ka Background Kaise Change Karte Hain

Remove Photo Background Just 5 Seconds

Agar aap ek YouTuber ya phir Blogger hai to aapko bhut baari image ka background change karne ki jarurat padti hogi. Aese me agar hum aapko photo ka background change kaise kare ye batate hai to isse aapki kaafi help hogi.

Aapka time save hoga, Aapko zara bhi mehnat nahi karni padegi. Bus aapko ek image upload karke photo ko download karna hoga.

फोटो का बैकग्राउंड कैसे चेंज करें (Photo Ka Background Change Karna है कैसे करें)

Photo ka background change karne ke liye neeche bataye gaye steps ko follow kare.

  • Step 1. Sabse pehle apne Computer/Laptop/Mobile me koi bhi ek browser open karle.
  • Step 2. Browser open karne ke bad remove.bg website open kare.
  • Step 3. Website open hone ke bad aapke samne neeche screenshot me dikaya gaya interface show hoga.
Photo ka background kaise remove kare

Yahan aapko 2 tarike se image upload karne ka option diya jata hai.

1. Select a photo

Isme aap apne computer/laptop/mobile se direct photo upload kar sakte hai.

2. Enter a URL

Yahan aapko jis bhi image ka background remove karna hai uska URL enter karna hoga.

Dono me se aap kisi bhi method ka use kar sakte hai.

Humne yahan “Select a Photo” wala option choose kiya hai.

  • Step 4. Photo upload karne ke baad 1-2 second ki processing hogi. Ukse bad aapki photo ka background puri tarah remove ho jayega.
  • Step 5. Ab aapko image “Download” karni hai. Jiske liye again aapko 2 option diye jate hai. 

Option select karne ke liye download ke samne bane arrow par click kare. Click karte hi aapke samne options aajayenge. Jaisa neeche screenshots me dikhaya gaya hai.

Remove photo background online
Remove photo background online free
  • Download Preview Image
  • Download Full Image

Koi bhi ek option select karke image “Download” kare.

Is tarah aap automatic background remover ka use karke aasani se kisi bhi photo ka background hata sakte hai.

Agar aap photo ko wall ya phir tiles par print karwana chahte hain to aap wallpics.com jo ki ek professional editor site hai isko bhi visit kar sakte hain.

Photo Ka Background Kaise Change Kare Editing Ke Sath

Background hatane ke alawa aap photo ko edit bhi kar sakte hai. Bus aapko edit button par click karna hai.

Photo Ka Background Change Kare Online

Uske bad aap photo me koi bhi background laga sakte hai. Aapko yahan kaafi saare options bhi milte hai.

change photo background fast

Background remove aur change karne ke bad “Download” button par click karke image download kare.

How to remove background from image in 5 Seconds iske liye humne ek video bhi banayi hai. Jise aap jarur dekhe isse aapko aur bhi aasani hogi samajhne me.  

Video neeche share ki gayi hai. 

Video dekhne ke bad humara YouTube channel jarur SUBSCRIBE kare. Yahan hum aapko Blogging, SEO, Make Money Online, Internet, Affiliate Marketing, Technology, Tips & Tricks se judi taza jankari share karte hai.

Photo Ka Background Change Karne Wala App (फोटो के पीछे बैकग्राउंड हटायें)

  • Remove.bg 
  • Apowersoft Background Eraser
  • Pixelmator
  • Background Remover Pro
  • Cut Paste Photo Background
  • Ultimate Background Eraser
  • Background Eraser
  • Pic Eraser Free
  • Automatic Background Changer

Photo Ka Background Change Karne Wala Software (फोटो का बैकग्राउंड हटाने वाला सॉफ्टवेर)

  • Adobe Photoshop
  • PhotoPad
  • PhotoPlus
  • GIMP
  • Teorex PhotoScissors
  • Super Photocut (Mac)
  • InkScape
  • Corel Paintshop

Conclusion – Photo ka background kaise change karen

So friends, Photo background kaise change kare, Photo Ka Background Change Kare Online, Pic ka background kaise change kare, Remove photo background online I hope aapko ache se samajh aa gaya hoga.

Umeed karte hai post aapko pasand aayi hogi aur aapko isse kuch help jarur mili hogi.

Phir bhi post se juda aapka koi sawal ya sujhav hai to aap hume apni baat comment box me comment karke bata sakte hai.

Post pasand aaya to apne friends ke sath social sites par share karke apna pyar ❤️ aur support jarur de.

Agar aap Mujhse YouTube par judna chahte hai to Neeche bane button par click karke Mera channel jarur SUBSCRIBE kare.

Swasth Rahe, Khush Rahe!!!

Ye bhi padhe:-

2 thoughts on “5 Second Me Photo Ka Background Change Kare Online”

Leave a Comment